Subhanallah ki Fazilat, Alhamdulillah ki Fazilat,… Subhanallah ki Fazilat, Alhamdulillah ki Fazilat, Allahu Akbar ki fazilat Subhanallah ki Fazilat, Alhamdulillah ki Fazilat, Allahu Akbar ki Fazilat Hadees: Abdullah bin Amr (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: 'Do Aadatein aisee hain ki agar koi Musalman isko ikhtiyar kar le to wo Jannat mein jayega. Wo Dono aasan hain magar us par Amal karne wale bahut kum hain, 1). Pahli ye ki Har Namaz ke baad -Dus (10) baar SubhanAllah , 10 baar Alhamdulillah aur 10 baar Allahu Akbar kahe ,…
Juma ki Namaz kis par Farz hai? Hadees of the Day | Jumuah Series 4 logo ke Alawa har Musalman par Farz hai Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jumuah ki Namaaz Jama'at se Ada Karna har Musalman par Farz hai Siwaye 4 Logon: Ghulaam, Aurat, Nabaligh Bachcha aur Bimaar ke." 📕 Abu Dawood: 1067 (Sahih)
Islamic Quiz 372 : Inmein se Quran ki kaunsi Surah… Islamic Quiz 372 Inmein se Quran ki kaunsi Surah mein Yajuj Majuj ka qissa bayan kiya gaya hai? A. Surah Yaseen B. Surah Al-Baqarah C. Surah Al-Qasas D. Surah Al-Kahf GET ANSWER Sahih jawab hai : Option ( D ) ✅ Surah Al-Kahf Daleel : ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Al Quran: “Un logon ne kaha: Zulqarnain! Yajuj aur Majuj zameen mein fasad karte rehte hain. Kya hum aapke liye kharch ka intezam kar dein ke aap hamare aur unke darmiyan ek…
Jamat se namaz padhne ki Ahmiyat Hadees of the Day Jamat se namaz padhne ki Ahmiyat TRANSLITERATION Abu Darda (R.A) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Teen Aadmee kisi Basti ya Jangal me ho aur phir bhi wo Jamaat se Namaz na parhe tou Unn par Shaitan musallat ho jata hai, Isliye Tum Jamaat ko laazim kar lo. Kyunki Bhediya Ussi Bakri ko khata hai jo Galle se alag ho Jaye." 📕 Sunan Abu Dawud, Hadees 542
Ramadan Day 18 | Allah ki raah me Ek Din bhi Roza… Ramadan Quotes: 18 Ramzan ✦ Hadees: Abu Saeed Khudri (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ❝Jo Shakhs ek din bhi Allah Taala ki Raah me Roza rakhega, Allah Taala Jahannam ki Aag ko Uske chehre se Sattar Saal (70 Saal) ki Musafat tak ...
Surah Ikhlas ki Fazilat aur Mukhtsar Sa Taruf Surah Ikhlas ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ قُلْ هُوَ اللَّـهُ أَحَدٌ﴾ 1 ﴿اللَّـهُ الصَّمَدُ﴾ 2 ﴿لَمْ يَلِدْ وَلَمْ يُولَدْ﴾ 3 ﴿وَلَمْ يَكُن لَّهُ كُفُوًا أَحَدٌ﴾ 4 ﴿ "Aye Nabi (ﷺ)! Aap Keh Dijiye,Woh Allah Ek Hai.Woh Maabood Barhaq Beniyaaz hai.Woh Na Kisi ka Baap Hai aur Na Kisi ka Beta hai,Aur Na koi Uska Humsafar hai." 📕 Surah Al-Iklaas 112 Tashreeh (Ahsanul Bayan) yaani sabhi us ek Allah ke mohtaaj hai, lekin wo kisi ka mohtaaj nahi -Wo na kisi se paida…
Jab Juma ke Din ki Namaz ke liye pukara jaye tou… Jab Juma ke Din ki Namaz ke liye pukara jaye tou Allah ki yaad ki taraf chal pado "Aye Imaan walo! Jab Juma ke Din ki Namaz ke liye pukara jaye tou Allah ki yaad ki taraf chal paro aur khareed-o-farokht chorh do, Yeh tumhare liye behtar hai agar tum jano. phir jab Namaz puri ho jaye tou zameen me fayl jao aur Allah ka fazal (rozi) talash karo aur Allah ko kasrat se yaad karo, taaki tum kamyabi pao." 📕 Surah Al-Jumu'ah 9-10…
Ye 3 Surah tumhe har cheez ke liye kaafi ho jayegi ✦ Hadith: Abdullah bin khubayb (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: 'Subah aur sham 3 baar Surah Al-Ikhlas , Surah Al-Falaq aur Surah An-Nas padh liya karo, ye tumhe har cheez ke liye kaafi ho jayegi (yani har tarah ki pareshaniyo se bachne ke liye ye kaafi hain) 📕Sunan Abu dawud, Jild 3, 1643-Hasan ✦ Hadith: Uqba bin Amir (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: "Har Namaz ke baad Aakhri teen Surah yani…
Jis Shakhs ke paas koi ilm mehfuz go aur wo usey… 📖 Hadith (Roman Urdu) Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya: "Jis shakhs ke paas koi ilm ho aur wo use chhupaye, to Qayamat ke din usay dozakh ki aag ki lagaam pehnayi jayegi." 📕 Sunan Ibn Majah: Arabic 272 | English 261 ✦ English Hadith It was narrated from Abu Hurairah (R.A) that the Prophet ﷺ said: "Whoever has knowledge and conceals it, will be brought on the Day of Resurrection bridled with reins…
Apne Musalman Bhai se 3 Din se Zyada Naraz naa rahey 3 din se Zyada Narazgi Hadees in Roman Urdu | Hadees: "Kisi Musalman ke liye ye Jayez Nahi ki Apne Bhai se 3 Din se Zyada Narazgi ki Wazah se Baat Chit Karna Chhor de." [Sunan Abu Dawood, Hadith 1483]
Jumma ke Din Ek Ghadi Aesi Aati hai Jis me Hadees of the Day | Jumuah Series Abu Huraira (R.A) riwayat karte hain ki.RasoolAllah (ﷺ) ne Jumme ke Zikr me Ek martaba farmaya - "Jum'ma ke Din Ek Ghadi aesi aati hai Jis me agar koi Musalman Banda Namaz padh raha ho aur koi Cheez Allah se mange tou Allah Rabbul Izzat Usey woh Cheez zarur deta hai. RasoolAllah (ﷺ) ne haath ke Ishare se bataya 'Woh Ghadi bahut thodi si hai.' 📕 Bukhari Sharif, Kitabul Jum'ma, Hadees 935
Islamic Quiz 303 : Wo Kaunsi Surah hai jiske Padhne… Wo Kaunsi Surah hai jiske liye RasoolAllah ﷺ ne farmaya ki jadugar uss (Surah ko padhne wale) ka muqabla nahi kar sakte ? | A).Surah Yaseen, B). Surah Al-Mulk, C). Surah Al-Baqrah , D). Surah An-Naas
Quran padhne Wale ki Fazilat Quran padhne Wale Nek Farishto ke Sath Honge Hadees: Aisha (R.A) se riwayat hai kiRasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: "Jo shakhs Quran padhta hai aur usko padhne me mahir ho,tou wo Shakhs aise likhne wale (Farishto) ke saath hoga. jo Buzurg aur Nekokar (Kiramin-Bararah) hain. Aur Jo Shaksh Quran padhta hai aur uske liye mushkil hota hai touusko Dohra (double) Ajar milega." 📕 Jami'at Tirmidhi, Hadees 813 ♥ Subhan'Allah ! Allah Rabbul Izzat hum Sabko Kehne Sun'ne se Jyada Amal Ki…
Aameen