Kya Biwi Shohar ko Zakaat dey Sakti hai? ۞ Mafhum-e-Hadees: Abdullah Ibne Masud (RaziAllahu Anhu) ka ibtedayi dour tha, Aapki Biwi RasoolAllah (ﷺ) ke paas aayi aur kehne lagi ke "Aye Allah ke Rasool (ﷺ) ! Meri Itni-Itni Zakat banti hai , Mai kis ko du, koun jyada Mustahik hai ?" Jab wo Aap (ﷺ) se Mas'ala daryaft kar rahi thi tabhi Abdullah Ibn Masood (R.A) piche se aaye aur kaha ke "Ya Rasool'Allah (ﷺ)! aisi Biwi ke bare me Aap kya farmayenge jo Zakaat tou deti hai…
Hadees: Jab tum me se kisi ka luqma gir jaye to usey… Hadith: 17-April: Anas (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ‟Jab tum me se kisi ka luqma gir jaye to usey saaf kar ke kha le, shaitan ke liye naa chhode. 📕 Sahih Muslim 2034 In-book reference : Book 36, Hadith 180 USC-MSA web (English) reference : Book 23, Hadith 5049 (deprecated numbering scheme)
Hadith: Jab tum me se koi paani piye tou bartan me… Hadith: 29-March: Abu Qatadah (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ‟Jab tum me se koi paani piye to usey chahiye ke bartan me saans na le. -Bukhari 154
Agar Tum Mout ki Raftar ko Dekh Lete tou ... Agar Tum Mout ki Raftar ko Dekh Lete Hazrate Ali (R.A) ka Mashoor aur maruf qoul hai ke - "Agar Tum Mout Ki Raftar Ko Dekh Lete Tou Tum Zaroor Ummeedo Aur Umango Se Nafrat Karte. Aur Hargiz Inn Me Maghroor Na Hote.." 📕 Bujurgo ke Aqwaal
Namaz ke liye Paaki haasil karna Farz hai Roman Urdu : Namaz ke liye Paaki haasil karna Farz hai ۞ Quran-e-Kareem me Allah Ta'ala farmata hai: "Aye eman walo! Jab tum Namaz ke liye utho tou apne munh ko aur apne haathon ko kohniyon samet dho lo aur apne siron ka masah karo aur apne paaon ko takhnon samet dho lo aur agar tum janabat ki halat me ho to Ghusul ker lo." 📕 Surah-e-Maidah 5:6 हिंदी : नमाज़ के लिए पाकि हासिल करना फ़र्ज़ है ۞ कुरआन में…
Maaf karne ki Hadees: Samjhote me Pahal Karne Wale… Maaf karne ki Hadees:Samjhote me Pahal Karne Wale ke Gunah Muaf Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya, "Do Jhagda Karne Walo me Pahle Sulah (Samjhota) Karne Wale ke Gunah Muaf Kar Diye Jate hai" 📕 Sahih Al Targeeb, Hadees 2759
Al-Quran: Aye aurto! Tum apne Gharon me thehri raho… Allah Taala Quraan me farmata hai: "Aye aurto! Tum apne Gharon me thehri raha karo aur Zamana-e-jahiliyat ki tarah be parda mat phiro." 📕 Surah Ahzab, 33:33
Jab Tum me se koi Shakhs kisi Aisey Aadmi ko dekhey… ♥ Mafhum-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya - "Jab Tum me se koi Shakhs kisi Aisey Aadmi ko dekhey Jo Maal aur Shakal aur Surat me Uss se Badhkar hai tou uss Waqt usey aisey Aadmi ka Khayal karna chahiye jo Uss se kum darje ka hai." - Sahih Bukhari, Vol-7, Hadith 6490
Al-Quran: Tum aise kanjus na bano ke ke apne hath ko… Tum aise kanjus na bano ke ke apne hath ko gardan se bandh kar rakho Allah Taala Quran me farmata hai: "Tum aise (kanjus) na (bano ke) ke apne hath ko gardan se bandh kar rakho aur na (aise fuzool karch ke) hath ko bilkul hi khula chdod do; ke jis ke nateeje me tumhe qabile malamat aur khali hath ho kar baithna padey." 📕 Surah Bani Israeel, 17:29
Kya Sayed Afzal hai aur Unpar Zakaat Haram hai ? ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ ✦ Sawal: Islam me Yakinan Khandani aur Rangat ke Aitbaar se Unch-Nich Ka Mumla Nahi Hai. tou fir kuch log aisa kyu tasawwur karte hai ke Sayed Unche hai aur baaki nichey. aur Kya Sayed par Zakaat Haram hai ? Aayiye Iski Hakikat Jan'ne ki koshish karte hai: Sabse pahli baat yeh hai ke “Sayed Afzal hai’ aisa logon ne kuch cheezo ko manmane dhang se bana liya, jabki Shariyat ne is cheez ki Ijajat nahi di.…
Tum Behtareen Ummat ho kyunki Allah Taala farmata hai: "Tum Behtareen Ummat ho jo logon ke liye nikaali gayi ho, (Tum Behtareen isiliye ho kyunki) Tum Neki ka Hukm dete ho aur Burayi se Rokte ho." 📕 Quran, 3:110 Amr Bil Maroof Wa Nahi Anil Munkar Meaning Neki ka Hukm dena aur Burayi se Rokna
Padosi ka haq Hadees: Jab Tum Salan Pakao Tou… Jab Tum Shorba (Salan) Pakao Tou Padosiyon ko bhi do ۞ Hadees : Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya : "Jab tum Shorba (Salan) Pakao tou usme paani jyada rakho aur padosiyon ko bhi yaad karo (diya karo)." 📕 Sahih Muslim, Hadees 6688 (2625)
Halaal Rozi Haasil karna Farz hai Mafhum-e-Hadees: 1). Abdullah bin Masood (R.A) se riwayat hai ki, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Shariyat ke Digar Faraiz ke baad Halaal Rozi haasil karna Farz hai." 📕 Bayhaqi, Mishkat Page-242 2). Abu Bakr Siddiq (R.A) se riwayat hai ki, Huzoor (ﷺ) ne farmaya: "Jis Badan ko Haraam Giza (Khana) diya gaya wo Jannat me Dakhil na hoga." 📕 Mishkat Page-243 3). Abu Hurairah (R.A) ne kaha ki, Huzoor (ﷺ) ne farmaya ke: "Logo par ek Zamana aisa bhi…
Hadees: Tum Qayamat ke din apne aur apne baap ke… Qayamat ke din apne aur apne baap ke naam se pukaare jaoge Abu Darda (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ‟Tum Qayamat ke din apne aur apne baap ke naam se pukaare jaoge, isiliye acche naam rakha karo." 📕 Abu Dawood, Hadees 4948
Allah ka Zikr karne wala Zinda aur na karne wala Murda hai Zinda aur Murda ki Misaal Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ka farman hai: "Us Shakhs ki Misaal Jo Apne Rabb ko Yaad Karta hai aur Uski Misaal Jo Apne Rabb ko Yaad nahi karta ZINDA aur MURDA Jaisi hai." 📕 Sahih Bukhari, Hadees: 6407