Jo Shakhs Juma ke din Apni Biwi ko Gusal karwaye aur khud bhi Gusal kare
Aws bin Aws (R.A) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:
“Jo Shakhs Juma ke din (Apni Biwi) ko gusal karwaye aur khud bhi gusal kare phir namaz ke liye jaldi jaye, paidal jaye aur sawar hokar na jaye aur imam ke nazdeek hokar khutba suneyaur behuda baat na kare to uske har qadam par usko ek saal ke roze aur ek saal (Namaz ke liye)qayam karne ka sawab milega.”
Jisne Quran Hadees ke Khilaf Apni Raay Rakhi woh… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah aur Uskey Rasool (ﷺ) ki Nafarmani Kis tarha Gumrahi Laati hai Iskey Talluk Rabbul Izzat Ek Aayat me bayan farmata hai ke - Kisi Momin Mard aur Momin Aurat ke Liye Jayaz nahi ke Jab Allah aur Uskey Rasool koi Baat ka Faisla kar de Unmey tou Wo kisi Kism ki Apni Raay Rakhe Uss Faisley me. Agar Jisne aisa kiya ke Allah aur Uske Rasool ka Faisla Aaney ke baad Apni Raay Rakhi woh Khuli…
Jab koi Dua kare to Pehle Rab ki Tareef bayan kare Jab koi Dua kare to Pehle Rab ki Tareef bayan kare Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke: "Jab Tum me se koi Dua kare to Pehle apne Rab ki Tareef bayan kare, Phir Nabi ﷺpar Durood bheje, Uske baad jo chahe Dua mange." 📕 Abu Dawood, Hadees: 1481-Sahih
Ramadan Day 11 | Khajur se Iftar kare aur Khajur na… Ramadan Quotes: 11th Ramzan ✦ Roman Urdu Hadees: Salman-Bin-Amr (R.A.) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya:"Jab Tum me se koi Roza Iftar karne lage tou Khajur se Iftar kare aur agar Khajur na miley tou Paani se kare, Kyunki Paani Paak karne waala hai." [Sunan Ibn Majah 1699-Sahih]
Khutba-e-Juma ke Adaab Hadees of the Day Khutba-e-Juma ke Adaab Samura Ibne Zundab (R.A) ne kaha ki - Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya : "Hazir Raho Khutbey (Jumma ke Khutbe) ke Waqt aur Imaam se Qareeb raho Isliye ke Aadmi Jis Qadar door rahega usi Qadar Jannat me piche rahega agarche woh Jannat me Dakhil zaroor hoga." 📕 Sunan Abu Dawood, Hadees 1108
3 Tarha ke Logon ke khilaf Allah Khud Gawahi dega:… 3 Tarha ke Logon ke khilaf Allah Khud Gawahi dega: Hadees e Qudsi | (1). Ek tou wo shakhs jis ne mere Naam par Ahad (Waada) kiya aur phir waada khilafi ki ...
Kisi bhi Musalman Bhai ki taraf Hathiyar se Ishara na kare Kisi bhi Musalman Bhai ki taraf Hathiyar se Ishara na kare Abu Huraira (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Koi Shakhs apne kisi deeni bhai ki taraf hathiyar se ishara na karey kyunki wo nahi janta mumkin hai ke Shaitan uskey haath se chura de aur phir wo kisi Musalman ko maar kar uski wajah se jahannum ke Ghaddey me gir jaye." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 7072
Hadith: Jisne kisi ko bhalayi ka rasta dikhaya to us… Hadith: 8-April: Abu Masood Ansari (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ‟Jisne kisi ko bhalayi ka rasta dikhaya to us shakhs ko bhi amal karne wale ki tarah sawab milega. -Abu Dawood 5129
Jab 3 Shakhs saath baithey ho tou 2 shakhs Kaanafusi na kare Jab 3 Shakhs saath baithey ho tou Abdullah (R.A) se riwayat hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "jab Teen shaksh saath ho to teesre Shakhs ko chor kar Do log aapas me Kaanafusi (chupke se baat) na karey." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 6288
Tum hargiz Bhalai ko na pohochoge jab tak apni pyari… Tum hargiz Bhalai ko na pohochoge jab tak "Tum hargiz Bhalai ko na pohochoge jab tak apni pyari cheez Allah ki raah me kharch na karoge. aur tum jo kuch kharch karoge Allah Ta'ala bakhoobi janta hai." 📕 Al-Quran; Surah Aal-e-Imran 3:92
Hadees: Jo Shakhs Muamle ke Galat hone ka ilm hone… Jo Shakhs Muamle ke Galat hone ka ilm hone ke bawajood Naahaq Jhagda kare Abdullah ibn Umar (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jo Shakhs Muamle ke Galat hone ka ilm hone ke bawajood Naahaq Jhagda kare, woh jhagde se Nikalne tak Allah ke Gazab me rehta hai." 📕 Abu Dawood, Hadees 3597
Apni badhai aur taarif na kiya karo Apni badhai aur taarif na kiya karo Hadees: Zainab Binte Abi Salma (R.A) se mairwi ki,Unka naam badah (Nekokar) tha, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Apna tazkiya na karo (Yaani apni badhai aur taarif na karo) Allah ko malum hai ki tum me bura aur neki wala koun hai, uska naam Zainab rakh do." 📕 Islami Akhlaq-O-Aadab, Page No#269, Hadith 17 Allah Taala hum sabko kehne sunne se jyada amal ki toufiq de. Ameen Allahumma ameen.
Apne Aapko aur Biwi-Baccho ko Jahannum ki Aag se Bachaao Apne Aapko aur Biwi-Baccho ko Jahannum ki Aag se Bachaao ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Aye Wo Logo Jo Emaan Laaye Ho! Bachaao Apne Aapko aur Apne Ahl-O-Ayaal ko Uss Aag se jiska Endhan Insan aur Patthar honge." 📕 Surah: At-Tahrim 66:6 ♥ In sha Allah Ul Azeez! Allah Taala Hume Kehne Sun'ne se Jyada Amal Ki Taufik de, Ameen
Koi Momin Mard, Apni Momina Biwi se Bughz na rakkhe Koi Momin Mard, Apni Momina Biwi se Bughz na rakkhe Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Koi Momin Mard, Apni Momina Biwi se Bhugz (nafrat) na rakkhe, kyunki agar Us sey uss ki koi Aadat Napasand hai tou koi dusri pasand bhi hogi." 📕 Sahih Muslim, Hadees: 1467(3645)
Walidain ka Apni Aulaad par kitna Haq hai ? Hadees of the Day Walidain ka Apni Aulaad par kitna Haq hai ? Hazrate Abu Umama (R.A) riwayat karte hain ki,Ek aadami aaya aur uss ne arz kiya: Ya RasoolAllah (ﷺ)! Waliden ka apni Aulaad par kitna haq hai ? Aap (ﷺ) ne farmaya - "Woh (Maa-Baap) donon teri jannat hain aur dozakh." (yaani unki khidmat kar ke jannat haasil kar lo ya nafarmaani kar ke dozakh ke mustahiq ho jawo). 📕 Ibn Majah As-Sunan, 02/1208, Raqam-3662,📕 Mundhiri at-targhib wat-tarhib,03/216,…