Jisne Quran Hadees ke Khilaf Apni Raay Rakhi woh Gumrah hua…

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

Allah aur Uskey Rasool (ﷺ) ki Nafarmani Kis tarha Gumrahi Laati hai Iskey Talluk Rabbul Izzat Ek Aayat me bayan farmata hai ke –

Kisi Momin Mard aur Momin Aurat ke Liye Jayaz nahi ke Jab Allah aur Uskey Rasool koi Baat ka Faisla kar de Unmey tou Wo kisi Kism ki Apni Raay Rakhe Uss Faisley me. Agar Jisne aisa kiya ke Allah aur Uske Rasool ka Faisla Aaney ke baad Apni Raay Rakhi woh Khuli Gumraahi me jaa fansa.

(Al-Quran; Surah Ahzab 33:36)

Tou Iss Aayat me Allah Rabbul Izzat ne Wajahat farma di ke –
“Allah aur Uskey Rasool ki Baat ko Chorna, Sunnat ko Tarq karna Jayaz nahi hai aur Jo aisa kare wo khuli Gumraahi me ja fansa.”

Lekin Aaj kitni baar aisa hota hai ke Sunnat-e-Rasool ko tarq karna tou humara Shaiwa ban gaya hai.

Jaise Rasool’Allah (ﷺ) Jamia Tirmizi ki riwayat me farmatey hai ke “Apne Momin Bhaiyo ko Salaam kiya karo.”

*Lekin humara mu’amla tou ye hai ke “Humse Hat-Kar Jiska Aqeeda ho! Aiso ko hum Salaam nahi karenge.”

Kyunki humare Falah aur Falah Saahab ne Fatwa jo diya hai … SubhanAllah.

Tou Goya aise Fatwo ki Ahmiyat humare liye Allah aur uskey Rasool ke Huqm se bhi badhkar ho gayi. (Maz’Allah! Summa Maz’Allah)

*Thoda tou Gour-o-Fiqr karo mere Azeezo!
“Jo Deen Dushmano se bhi Mohabbat karne ki Taalimat deta ho,
Wo kaise Apne Momin Bhaiyo me Nafrat ke Beez Boyega ? “

Yakinan wo Mafadparast Log hi hongey Jo Ummat me Inteshar Failane ka kaam karenge ..

*Warna hum Uss Nabi ke Ummati hai “Jo Tamam Aalam ke liye Rehamt hai.”

Tou Beharhaal! Allah ke liye baat ko Samjhey, Haalat aur Mouke ki Nazakat ko Samjhey..

“Mafadparast log chah rahe hai ke Hum alag ho aur Hum Wakay me Harkatey kar ke bata rahe hai ke Hum Alag hai …”


Allah Ta’ala hume Tamam Kism ki Gustakhiyo se bachaye,
*Mafadparasto ke fitno se humare imaan ki salamti ata farmaye,
*Jab tak hume Zinda rakhey Islam aur Imaan par Zinda rakhey,
*Khatma Humara Imaan par ho,

!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

© Ummat-e-Nabi.com

Leave a Reply