Anas bin Malik (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya –
“Jab Koi Shakhs Namaz ke liye Khada hota hai,tou goya wo Apne Rab ke Saath Sargoshi (yaani baate) karta hai.Ya Yu farmaya ki Uska Rab uskey aur Qibley ke darmiyan hota hai.”
Banda Apne Rab ke Qareeb Sajdey ki haalat me hota hai Banda Apne Rab ke Qareeb Sajdey ki haalat me hota hai Nabi-e-Kareem (ﷺ) farmatey hai: "Banda Apne RAB se Sabse Ziyada Qareeb Sajdey ki Haalat me hota hai,Lihaza (Sajdey me) Tum log Zyada e Zyada Dua kiya karo." 📕 Sunan Nisai 1137
Jabtak Banda apne bhai ki madad me laga rehta hai Jabtak Banda apne bhai ki madad me laga rehta hai Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: “Allah Ta'la us waqt tak Bande ki madad mein laga rehta hai jab tak Banda apne Bhai ki madad mein laga rehta hai.” 📕 Sahih Muslim, Hadees: 6853 (2699) Allah Ta’ala us ki Jarurat Poori Karega Abdullah ibn Umar (R.A) se riwayat hai ke,Allah ke Rasool (ﷺ) ne Farmaya: "Jo apne Bhai ki Jarurat Poori karega, Allah Ta’ala us ki Jarurat Poori Karega" 📕…
Jab Banda Namaz me Surah Fatiha padhta hai ۞ Bismillah-ir-Rahman-ir-Rahim ۞ ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) kehte hain maine RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ko farmate hue suna, "Allah Ta'ala farmata hain: maine namaz apne aur apne bande ke darmyan aadhi-aadhi taqseem kardi hai , Lehaza mera banda jo sawal karega usey milega - - Jab banda kehta hai ( Alhamdu-lillahi-Rabbil-Aalameen ) to Allah farmata hain mere Bande ne meri tareef ki. - Jab banda kehta hai ( Arrahmaan- nirraheem ) to Allah farmata hain mere Bande ne…
Sab se Behtar Banda koun? Dil mein Bughz rakhna kaisa hai Hadees Hadees-e-Nabwi ﷺ Abdullah bin ‘Amr (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya; "Logo me sab se Behtar wo hai jo Paak aur Saaf Dil wala ho aur Sacchi Zubaan wala ho, Paak-Saaf Dil wala woh Parhezgaar insan hai Jiske Dil me koi Gunaah, Zulm-o-Zyaadati, Jalan aur Hasad aur Nafrat na ho." 📕 Ibne Majah, Hadees 4216
Beshaq Namaz Behayai aur Burey Kamo se Rokti hai Beshaq Namaz Behayai aur Burey Kamo se Rokti Allah Ta'ala farmata hai: "Aye Rasool ! Jo Kitaab Tumhare Paas Nazil ki Gayi hai Uski Tilawat karo aur Pabandi se Namaz Parho, Beshaq Namaz Behayai aur Burey Kaamo se Baaz(Rokti) Rakhti hai aur Allah ki yaad yakinan bada Martaba rakhti hai aur Tum Log jo kuch karte ho Allah Uss se wakif hai." 📕 Al-Ankabut 29:45
Murgey ko bura bhala na kaho, Wo Namaz ke liye jagata hai Zaid bin Khalid (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Murgey ko bura bhala na kaho, kyun ke wo Namaz ke liye jagata hai." 📕 Sunan Abu Dawud, Hadees 5101-Sahih
Namaz ke liye Paaki haasil karna Farz hai Roman Urdu : Namaz ke liye Paaki haasil karna Farz hai ۞ Quran-e-Kareem me Allah Ta'ala farmata hai: "Aye eman walo! Jab tum Namaz ke liye utho tou apne munh ko aur apne haathon ko kohniyon samet dho lo aur apne siron ka masah karo aur apne paaon ko takhnon samet dho lo aur agar tum janabat ki halat me ho to Ghusul ker lo." 📕 Surah-e-Maidah 5:6 हिंदी : नमाज़ के लिए पाकि हासिल करना फ़र्ज़ है ۞ कुरआन में…
Jo Shakhs logon ke liye Aasani aur Sahulat paida karta hai Hadees of the Day Jo Shakhs logon ke liye Aasani aur Sahulat paida karta hai TRANSLITERATION ★ Abdullah bin Masud (R.A.) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne faramya, ‟ Kya main tumko aise logon ke mutalliq na batauu jin par Dozakh ki aag haram hain aur wo aag par haram hain, har wo Shakhs jo apne qareeb ke logon ke liye aasani aur sahulat paida karta hai (un sab par dozakh ki aag haram hai)." HINDI ‟ क्या मैं…
Allah Hates: Allah Ta'ala uss shakhs se Nafrat karta… Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) ne irshad farmaya ke - "Allah Ta'ala uss shakhs se Nafrat karta hai jo sakht mijaz ho, Zyada khane wala ho, Bazaro me chikhne wala ho, Raat me murde ki tarah (padaa sota rehta) ho, din me gadhe ki tarah (duniyawi kaamo me zikr-e-ilahi ke bagair fansa rehta) ho, Duniya ke muamlo ka jaan'ne wala aur Aakhirat ke Umoor se bilkul jaahil (bekhabar) ho." 📕 Ibn Habban: 1/274
Hadees: Allah jab kisi Qaum par Azab nazil karta hai… Unn Fitno se bacho jo khaas Zalimon par hi nahi ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Tum un fitno se bachte raho jo tum mein se khaas Zalimon par hi nahi padhega aur jaan lo ki beshaq ALLAH subhanhu sakht azab karne wala hai." 📕 Surah Al-Anfal 8:25 Allah jab kisi Qaum par Azab nazil karta hai to wo acche aur bure sab logon par aata hai Hadees: Abdullah bin Umar (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "ALLAH jab kisi…
Nikah Nigaah aur Sharmgah ki hifazat karta hai aur… Nikah Nigaah aur Sharmgah ki hifazat karta Hadees: Abdullah bin Masud (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne Irshad farmaya - "Aye Jawaano Jo Tum me se Aurato ke Hakooq (Haq) ada karne ki Taaqat rakhta hai tou wo Nikah zaroor kare, Kyunki Nikah Nigaah ko Zukaata hai aur Sharmgah ki Hifazat karata hai Aur jo iski taaqat na rakhe tou woh Roza rakhe kyunki ye Sehwat (Waasna/S*x) ko kum karta hai." 📕 Bukhari Sharif, Jild 3,…
Hadees: Allah ke Nazdeek Izzat wala banda Allah ke Nazdeek Izzat wala banda Abu Huraira (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Hazrat Musaa (Alaihi Salam) ne Allah Taala se daryaft kiya ke Aap ke nazdik sabse jyada Izzat wala banda koun hai?" Allah Taala ne farmaya ke: "Jo badla lene ki Quwwat ke bawajud bhi muaf kar de." 📕 Sho'abul Iman 8327
Aur Baaz log Duwa karte hai ke Aye Hamare Rab Hum ko… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Roman Urdu ۞ Allah Ta'ala Quran-e-Kareem me farmata hai: ❝ Aur Baaz log Duwa karte hai ke Aye Hamare Rab Hum ko iss Duniya me hi de de, Aise Logon ka Aakhirat me koi hissa nahi hai aur Baaz iss tarah Dua karte hai ke, Aye Hamare Rab! Tu hume apni Neymat se iss Duniya me bhi Nawaaz de aur Aakhirat me bhi apni meharbaani se ata farma aur Dozakh ke azaab se bhi najaat De, inhi…
Namaz-e-Asar ki Ahmiyat: Jiski Namaz Asar Qaza Ho Gayee Uska Jiski Namaz Asar Qaza Ho Gayee Uska Hadees: Abdullah Bin Umar (R.A) se riwayat hai ki - RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Jiski Namaz-e-Asar Qaza ho Gayee (Yaani nahi padi Uski Misaal aisi hai ke) Uska Ghar aur Maal Sab Loot gaya." 📕 Sahih Bukhari, Namaz Ke Waqton Ka Bayan: Hadees 553