Jab kisi ko Namaz ke dauran Oongh ya Neend aaye to… Jab kisi ko Namaz ke dauran Oongh ya Neend aaye Ummahatul Momineen Aisha (R.A) se riwayat hai ki Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: "Jab Tum me se kisi ko Namaz ke Dauran Oongh ya Neend aaye to wo so jaye yaha tak ki Uski Neend puri ho jaye kyunki agar wo Unghte huye Namaz padhega to Shayad wo Astigfar karne ki jagah khud ko Baddua kar dega." 📕 Sunan Abu Dawud, Jild 1,1297-Sahih ✦ Hadees : Jab Neend Gehri ho to So jaye…
Ramadan Day 11 | Khajur se Iftar kare aur Khajur na… Ramadan Quotes: 11th Ramzan ✦ Roman Urdu Hadees: Salman-Bin-Amr (R.A.) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya:"Jab Tum me se koi Roza Iftar karne lage tou Khajur se Iftar kare aur agar Khajur na miley tou Paani se kare, Kyunki Paani Paak karne waala hai." [Sunan Ibn Majah 1699-Sahih]
Jisne Farz Namazo ke alawa Din Raat me 12 rakat ada… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Ummul Momineen Umm Habiba (RaziAllahu Anha) se Rivayat hai ki RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: "Jisne Raat Din me 12 Rakat (Sunnat) Namaz ada ki uske liye Jannat me ek Ghar banaya jayega, Umme Habiba (RaziAllahu Anha) ne kaha ki jab se maine ye Hadees RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se Suni, maine uske baad se un 12 rakato ko kabhi nahi chodha..." - (Sahih Muslim, Vol 1, 1694) ✦ Ulema-e-Deen ke hisab se Wo 12 Rakat Sunnat…
Mangne wale ko jhidka na karo (Agar ho tou do warna… ♥ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ♥ ‟ Mangne wale ko jhidka na karo (Agar ho tou do warna bhali baat kaho). ‟ मांगने वाले को झिड़का न करो (अगर हो तो दे दो वरना भली बात कहो)। ‟ मांगण्याराला हाकळवु नका (होत असेल तर द्या अथवा चांगले शब्द बोला). ‟ And do not rebuke the beggar. - (Al-Quran; Surah Zuha 93:10)
Jab 3 Shakhs saath baithey ho tou 2 shakhs Kaanafusi na kare Jab 3 Shakhs saath baithey ho tou Abdullah (R.A) se riwayat hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "jab Teen shaksh saath ho to teesre Shakhs ko chor kar Do log aapas me Kaanafusi (chupke se baat) na karey." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 6288
Hadees: Apne Khane ko Pakeeza bana lo tou tumhari… Apne Khane ko Pakeeza bana lo Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Apne Khane ko Pakeeza bana lo tou tumhari Dua Qabool ho jayegi." 📕 Targhib: Hadees 2484
Agar Duniya me Neymate Bagair Aazmayish ke Milti tou ۞ QAUL-E-MUBARAK ۞ Umar Bin Abdul Aziz (R.A.) farmate hai, "Agar Duniya me Neymate Bagair Aazmayish aur Takleef Ke Hoti tou Duniya hi Jannat hoti." 📕 Bujurgo ke Aqwal
Hadees: Jab Aadmi apni Biwi ko paani pilaata hai tou… Hadees: Irbaz bin Saariyah (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jab Aadmi apni Biwi ko paani pilaata hai tou uspar bhi Sawaab diya jata hai." 📕 Musnade Ahmed, Hadees 17155
Al-Quran: Jis Shakhs ne Dunia me Jarra barabar bhi… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Insan Apni Har acchayi aur Burayi Qayamat me dekh lega Allah Taala Quraan me farmata hai: "Jis Shakhs ne (Duniya) me Jarra barabar bhi koi burayi ki hogi tou wah usey aakhirat me dekh lega." 📕 Surah Az-Zalzalah 99:08
Agar Tum Mout ki Raftar ko Dekh Lete tou ... Agar Tum Mout ki Raftar ko Dekh Lete Hazrate Ali (R.A) ka Mashoor aur maruf qoul hai ke - "Agar Tum Mout Ki Raftar Ko Dekh Lete Tou Tum Zaroor Ummeedo Aur Umango Se Nafrat Karte. Aur Hargiz Inn Me Maghroor Na Hote.." 📕 Bujurgo ke Aqwaal
Jab Quran Parha Jaye tou Gaur se Suna karo Allah Taala farmata hai: "Aur Jab Quran Parha Jaye tou Tawajjo se Suna karo aur Khamosh Raha karo Taaki Tum par Reham kiya jaaye." 📕 Quran, Surah Al Araf 7:204
Hadees: Jisne Ramzan ke Roze rakhe aur is ke baad… Hadith: 6-June: ✦ Roman Urdu: Abu Ayyub (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ‟Jisne Ramzan ke Roze rakhe aur is ke baad Shawaal ke 6 Roze rakhe tou goya is ne poore saal ke roze rakhe." ✦ हिंदी हदिस: अबू अयूब (र.अ) से रिवायत है के, अल्लाह के रसूल (ﷺ) ने फ़रमाया: " जिसने रमज़ान के रोज़े रखे और इस के बाद शवाल के 6 रोज़े रखे तो गोया इस ने पूरे साल…
Agar kisi se milne jao tou andar dakhil hone se pehle Agar kisi se milne jao tou andar dakhil hone se pehle ijajat ۞ Hadees: Abu Musa (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: ‟Agar kisi se milne jao tou andar dakhil hone se pehle 3 martaba ijazat maang lo, agar ijaazat mil jaye tou thik hai, warna wapas laut jao 📕 Muslim, Hadees : 5753
Jis Shakhs Ko Sirf Duniya Ki Fikr Ho Tou .... ♥ Mafhoom-e-Hadees (Roman Urdu) Abdul Rahman (R.A) se riwayat hai ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya: "Jis shakhs ki fikr sirf duniya ho, Allah Ta’ala uske kaam me pareshani daal deta hai. Uski muflisi (ghurbat) dono aankhon ke darmiyan kar deta hai. Aur duniya usko sirf utni hi milti hai jitni uski taqdeer me likhi hoti hai. Lekin jiski niyat aakhirat ki taraf ho, Allah Ta’ala uske sab kaam durust kar deta hai. Uske dil me be-parwahi daal deta hai.…