♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Musa (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke,
wo kehte hain maine Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ko ek ya do baar hi nahi
balke mutaddad baar ye kehte huye suna Ke:
“Jab banda koi Nek Amal (pabandi se) kar raha ho,
phir koi Bimari ya safar usey mashgool kar de jis ki wajha se usey
wo na kar sake, to bhi uske liye itna hi sawab likha jata hai jitna ke
uske tandrust aur muqeem hone ki soorat me
amal karne par uske liye likha jata tha..”
English Ref: [Sunan Abi Dawud 3091-Hasan | In-book refe:Book 21, Hadith 3]
♥ SubhanAllah !!!
Allah Rabbul Izzat humey Kehne Sun’ne se Jyada Amal ki taufik Dey ,.. Ameen …
Related Posts: