✦ Hadith: Jandar ki Tasveer banane wale ke liye Azab
Hazrate Saeed bin Abul Hasan (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai, unho ne kaha ki Main Ibne Abbas (R.A) ke paas hajir tha tou achanak ek aadmi aaya aur kehne laga ki:
‘Aye Ibne Abbas (R.A) ! “Mai Ek aisa aadmi hu ki Meri Rozi ka jariya mere haath ki karigiri hai aur woh yeh ki mai Tasveere banaya karta hu.”
Ibne Abbas (R.A) ne farmaya ki ‘Mai tumse wohi Hadees bayan karta hu jisko khud maine Nabi-e-Paak (ﷺ) se suna hai ki “Jo Shakhs koi Tasveer banayega tou Allah Ta’ala usko uss Waqt tak Azaab deta rahega jab tak ki woh uss tasveer me rooh na fhunk de aur woh usme kabhi rooh nahi fhunk sakega.”
Yeh Hadees sunkar woh aadmi sakht laraz se kaanpne laga aur uska chahera pila pad gaya. Ibne Abbas (R.A) ne farmaya ki “Tum par Afsos hai agar tum Tasveer banana nahi chor sakte tou inn Darakht aur aisi cheezon ki Tasveer banao jin me rooh nahi hai.”‘
✦ English Hadith: Making Pictures, Images (animated objects) or Statues forbidden in Islam
Narrated Sa`id bin Abu Al-Hasan:
While I was with Ibn `Abbas a man came and said, “O father of `Abbas! My sustenance is from my manual profession and I make these pictures.” Ibn `Abbas said, “I will tell you only what I heard from Allah’s Messenger (ﷺ) . I heard him saying, ‘Whoever makes a picture will be punished by Allah till he puts life in it, and he will never be able to put life in it.’ ” Hearing this, that man heaved a sigh and his face turned pale. Ibn `Abbas said to him, “What a pity! If you insist on making pictures I advise you to make pictures of trees and any other unanimated objects.”
Reference:
– Sahih al-Bukhari 2225
– In-book: Book 34, Hadith 172
? Chapter: The selling of the pictures