Insh Allah ka matlab (Meaning)
Insh Allah ka Matlab hota hai
“agar Allah ne chaha.”
(if Allah wills it)
Insh Allah ki Ahmiyat
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
“Aur Hargiz kisi kaam ke Nisbat na kaha karo ki
mai isey kal kar dunga, magar insh Allah keh kar
aur agar (insha Allah kehna) bhool jao tou
(jab yaad aaye) apne Parwardeegar ko yaad kar lo
(in sha Allah kah lo)
aur kaho ki ummid hai ke mera Parwardeegar mujhe
aisi baat ki hidayat farmaye jo rehnumayi me
uss se bhi jyada kareeb ho.”
✦ Mafhoom ✦
is Aayat ki Tafseer me Mufassareen likhtey hai ke:
Nabi-e-Kareem (ﷺ) ke paas kuch yahudi aaye aur aapse As’habe kahaf ka wakiya daryaft kiya.
Aap (ﷺ) ne in’sha’Allah kahe bagair unhe kal aane ko kaha.
Kyunki Allah Rabbul Izzat Aapko bajarye wahi Gaib ka ilm ata farmata isiliye Aap (ﷺ) ne unn yahudiyo se ek deen ka wakt manga. lekin mehaj in’sha’Allah bhool se na kehne par Aap par ek Arse tak Allah ne Wahi Ka Silsila rok diya.
Fir Allah Rabbul Izzat ne yaad dilaya ke
“Aye Mere Nabi ﷺ ! Aap koi cheez apne se nahi kar sakte jab tak ki Aapka Rab aapki madad na karey! Aapne in’sha’Allah kyu nahi kaha ?.”
(Mafhum-e-Tafseer Surah Kahf; Ayat 23,24)
✦ Sabaq ✦
Tou Beharhaal ! is Aayat me Nashist hai hum sabke liye ke Allah ki madad ke bagair hum kisi kaam ko anjaam nahi dey sakte.
♥ In sha Allah-Ul-Azeez !
Allah Rabbul Izzat hume kehne sun’ne se jyada Amal ki taufiq dey.
Hum tamam ko sahi taur par Deeno Shariyat par amal karnewala banaye,
Jab tak hume zinda rakhey Islam aur Imaan par zinda rakhey,
Khatma humara Imaan par ho.
Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen
Ameen Allahuma Ameen
Ma sha Allah