Hadees: 4 Cheezein Badnaseebi ki Pehchan hai 4 Cheezein Badnaseebi ki Pehchan hai Hadees: Anas (R.A) se riwayat hai ke, Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: "4 Cheeze badnaseebi ki pehchan hai; (1) Aankho ka khushk hona, (2) Dil ka Sakht hona, (3) Ummidon ka lamba hona, (4) Dunia ki hirs wa lalach ka hona ." 📕 At-Targheeb wat-Tarheeb, Hadees 2647
Hadees: Kisi Nabeena ya Kamzor Nigaah wale ko rasta… Hadith: 22-June: Abu Zar (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: ❝ Kisi (Nabeena ya) Kamzor Nigaah wale ko rasta dikhana Sadqa (Sawaab ka kaam) hai. 📕 Jami` at-Tirmidhi 1956
Jannat ke Baag kya hai : Hadees Hadees: Abu Huraira (R.A) riwayat karte hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Jab tum Jannat ke baago me se guzro tou phal khao." Logo ne arz kiya "Ya RasoolAllah ! Jannat ke baag kya hai? aur uss se kya muraad hai?" RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Jannat ke baag Masajid hai aur phal 'SubhanAllah, Alhamdulillah, Allahu Akbar' ki tasbih hai.'" 📕 Mishkat Sharif, Hadees 674
Hadees: Jab Aadmi apni Biwi ko paani pilaata hai tou… Hadees: Irbaz bin Saariyah (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jab Aadmi apni Biwi ko paani pilaata hai tou uspar bhi Sawaab diya jata hai." 📕 Musnade Ahmed, Hadees 17155
Sabse Behtareen Sadqa aapas me Sulah kara dena hai Sabse Behtareen Sadqa aapas me Sulah kara dena hai Hadees: Abdullah Ibne Amr (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: ‟Sabse Behtareen Sadqa aapas me Sulah kara dena hai." 📕 Musnad al-Shihab, Hadees 1280
Allah ke Nazdeek Sabse Pyari aur Boori Jagah: Hadees Hadees: Allah Ke Rasool (ﷺ) farmate hai: "Allah ke Nazdeek Saari Aabadiyo me Sabse Pyari Jagah Uski Masjide hai aur Sabse Boori Jagah Bazar hai." 📕 Sahih Muslim; Hadees: 671 Beshaq Allah ko aisi Masjide Pasand hai Jaha Khalis Allah ki Ibadat ho, aur Jaha Kitabo Sunnat par Dars ho. Warna Surah Taubah me Allah Ta'ala ne Apne Nabi ko Ek aisi Masjid bhi Todney ka Hukm diya Jo Munafiqo ne Mehaz is liye Tamir Ki thi ke Ummat Me…
Hadees: Jhooti Qasam Gharo ko Veeran (barbad) karke… ۞ Hadees: RasoolAllah (SallAllahu Alaihi Wasallam) ne farmaya : ❝ Sila rehmi se ziyada jaldi sawab dilane wala jis mein Allah ki itaat ki jaye koi amal nahi aur Sarkashi (Zulm) aur qata rahmi se zyada jaldi saza dilane wala koi amal nahi, aur Jhooti Qasam gharo ko veeran (barbad) karke chorhti hai. ❞ 📕 Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees-Jild 1,155 📕 Al Baihiqi, 35 /10 -Sahih 📕 At Tabrani, 1996-Sahih See more: Qasam Sirf Allah Ki Khaye Jo Shakhs Jhoothi Qasam kha kar…
Hadees: Har Accha kaam Sadqah hai ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ ✦ Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Har Accha kaam Sadqah hai." 📚 Sahih Muslim; Hadees: 1005 Ek aur Riwayat me Aap (ﷺ) ne faramaya: "Har Neki Sadqa Hai !Tum Apne Musalman Bhai se Pyar se Galey milo, yeh bhi Neki hai." 📚 Musnade Ahmad Jild:5 Safa:111: 14715
۞ Hadees: Buzurg Musalman ki Izzat karna Allah… ۞ Hadees: Hazrat Abu Musa Ashari (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki RasoolAllah )SallAllahu Alaihi wasallam) ne farmaya: "Allah Subhanahu ki tazeem ka hissa ye bhi hai ki Safaid baalo wale Musalman (yaani Buzurg) ki Izzat ki jaye aur Quran kareem ke haamil yaani (Hafiz, Qari ya Aalim) ki bhi Izzat ki jaye siwaye usmein gulu aur kami karne walo ke aur Aadil Baadshah ki bhi Izzat ki jaye." 📕 Sunan Abu Dawood, Jild 3,1415-Sahih ✦ Aadil Baadshah yaani Insaf…
Hadees: Jis Shakhs se kisi muamle me mashwara kiya… Hadith: 21-June: Abu Huraitah (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: ❝ Jis Shakhs se kisi muamle me mashwara kiya jaaye wo us me ameen (Amanatdar) hai, lihaja Amanatdari ke sath mashwara do. 📕 Jami` at-Tirmidhi 2822
Qayamat me RasoolAllah ﷺ ke Sabse Qareeb aur Door… Jabir bin Abdullah (R.A) se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Tum me se mujhe sab se zyada Mehboob aur Qayamat wale din mere sab se zyada Qareeb wo log honge Jo tum me se Akhlaaq me sab se zyada acche hongey. Aur tum me se sabse zyada mujhe Napasand aur qayamat wale din mujh se sabse zyada door wo log honge jo Takllluf se zyada baate karne wale, bacchey khol kar taweel guftagu karne wale aur takabbur karne…
Bhai ke samne Muskura dena bhi Sadqa hai : Hadees Bhai ke samne Muskura dena bhi Sadqa hai Hadees: Abu’zar (R.A.) ne kaha ke,Rasool’Allah (ﷺ) ne Irshad farmaya ke - Apne Kisi (Musalman) Bhai ke Samney (Khushi se) tumhara Muskura dena ye bhi Sadqa hai. Aur kisi ko Acchi Baat ka Hukm Dena aur boori baat se rokna ye bhi Sadqa hai, SABAQ: Bhai ke Samne Muskura dene se Muraad Apne Momin Bhai ko Dekh Khush'hali ka Izhaar karna hai Jo Allah ke Nazdik Ek Sadqa hai, thik Usey bhalayi…
Jo Shakhs Kamaata nahi aur logon se Maangta phirta… Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) farmate hai: "Jo Shakhs (logon se) maangne ka Darwaaza kholta hai, (Kamaata nahi hai aur logon se Maangta phirta hai) tou Allah Ta'ala us par Tangi (Financial Crisis) ka Darwaaza khol deta hai." 📕 Tirmizi, Hadees: 2325
Hadees: Haq baat na manna aur logon ko haqeer… Hadith: 5-May: Ibne Masood (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ‟Haq baat na manna aur logon ko haqeer samjhna Takabbur(ego) hai. -Muslim 275
Gaali Galoch karne Waale Shaitaan hai: Hadees Gaali Galoch karne Waale Shaitaan hai: Hadees Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaaya -"Gaali-Galoch karne waale Dono Shaitan hain,Woh Ek-Doosre par Ilzaam Lagaate aur Jhoot boltey hain." 📕 Musnad-e-Ahmad, Hadees: 17483 Ek aur riwayat me aata hai ke - Hadees: RasoolAllah (ﷺ) farmatey hai ke:"Ek Munafiq ki Alamat hai Gaali dena.” 📕 Sahih Al-Bukhari, Hadees: 2459 Afsos ki baat hai -- Aaj ye Khabahat yeh Burayi Ummat-e-Muslima ko Nasoor ki tarha lag gayi hai.- Chote Se Chote Ikhtelaf me bhi Gaali…