Puraa Badla De Diya Jayega: Hadees Hadees: Hazrate Sa'ad bin Abi Waqqas (R.A) bayan farmate hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki - "Allah ki Raza (Allah ko Raazi Karne) ke liye jo bhi Tumne Kharch kiya Uska Tumhe Allah se pura pura badla de diya jayega, Yaha Tak ki Agar Tumne apni Biwi ke Mooh me Niwala bhi Rakha hoga tou uska bhi." 📕 Sahih Bukhari Book 2, Hadees 53
Haaji Ka Laqab Lagana Kaisa ? ✦ Sawaal: Apne Naam ke aagey 'Haaji' ka Laqab lagana kaisa? - Jawab: Hajj ek aisi ibadat hai jo har Sahibe Istehat Musalmano par farz hai, lekin Hajj ki Niyat sirf Allah ki ibadat ho aur dikhawe se paak ho. bilkhusus Hajj wo ibadat hai jo dikh kar aati hai. Riyaakari ka Maana(Meaning) hota hai 'Logon me Shohrat ke wastey apne amaal ka charcha karna, aisi ibadat jo khalis Allah ke liye karni hoti hai lekin hum usey logon ko…
Hadees: Har Accha kaam Sadqah hai ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ ✦ Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Har Accha kaam Sadqah hai." 📚 Sahih Muslim; Hadees: 1005 Ek aur Riwayat me Aap (ﷺ) ne faramaya: "Har Neki Sadqa Hai !Tum Apne Musalman Bhai se Pyar se Galey milo, yeh bhi Neki hai." 📚 Musnade Ahmad Jild:5 Safa:111: 14715
Al-Quran: Allah ne Tijarat ko Halal kiya aur Sood ko Haram Allah ne Tijarat ko Halal kiya aur Sood ko Haram Allah Taala Quran me farmata hai: "Allah Taala ne Tijarat (Business) ko Halal kiya hai aur Sood ko Haram karar diya hai." 📕 Surah Baqraah 2:275
Roza Iftar ki Fazilat Hadees ki Roshni me ۞ Hadees: Sulemaan Farsi (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne irshad farmaya - "Jis ne Halaal Khane ya Paani se kisi Musalman ko Roza Iftar karwaya tou Farishtay Maa-e-Ramzaan ke Auqaat me uske liye Astaghfar karte hai, aur Jibreel (Alaihay Salam) Shab-e-Qadr me Uss ke liye Astaghfar karte hai." 📕 Tibrani Al Mo'ejam Al Kabair, Jild:6, Page:242, Hadith-6162 ۞ Hadees: Rasool'Allah (ﷺ) farmate hai ke - "Jo Rozdaar ko (Iftari me) Paani Pilayega Allah Usey mere Houz…
Insaf Sab ke liye barabar : Hadees Mafhum-e-Hadees: Ummaha-Tul-Momeenin Aayesha (R.A) se riwayat hai ki,Usama (R.A) ne RasoolAllah (ﷺ) se Ek Aurat ki Muafi ki Sifarish ki (Jisne Chori ki thi aur Uska Naam Fatima tha) tou Aap (ﷺ) ne farmaya ki – “Tum se Pahle ke Log Isliye Halaaq ho gaye ki wo Kamzoro par tou Hadd (Saza) Qayam karte they aur Buland Martaba Logo ko Chorr detey they. Uss Zaat ki Qasam Jiske Haath me meri Jaan hai!Agar (meri beti) Fatima (R.A) ne bhi Chori ki…
Shab-e Baraat Manana kaisa? https://www.youtube.com/watch?v=yTvkAMhFQTg Shab-e Baraat Haqeeqat ke Aaine mein Shab e Barat me kya hota hai, Shabe Barat me Jagna kaisa hai, Shab e Barat ki Namaze kaisi hoti hai, kya Shab e Barat manana Sunnat se sabit hai, shab-e-barat according to hadith, shab-e-barat background? Tafseeli jankari ke is video bayan ka mutala farmaye. JazakAllahu khairan kaseera.
Kisi Aurat ko Uske Shohar ke Khilaaf Bhadkaana kaisa? Hadees: RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki: "Woh Shakhs Hum Mein se Nahi hai Jo Kisi Aurat ko Uske Shohar ke Khilaaf Ubhaare." 📕 Sunan Abu Dawood, Hadees: 2175 Sahih
3 Tarha ke Logon ke khilaf Allah Khud Gawahi dega:… 3 Tarha ke Logon ke khilaf Allah Khud Gawahi dega: Hadees e Qudsi | (1). Ek tou wo shakhs jis ne mere Naam par Ahad (Waada) kiya aur phir waada khilafi ki ...
Gusse mein ek Doosre ke Raaz kholna kaisa hai? Gusse mein ek Doosre ke Raaz kholna kaisa hai? ۞ Hadees: Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: "Jab tumhe koi shakhs tumhari (kisi kamzor amal) ko buniyad banakar bura bhala kahe, jiska usey ilm hai, tou tum usey us ki aisi baat par bura bhala na kaho jo tumhe maloom hai (lekin logon ko maloom nahi). pas iska ajar tumhe milega, aur uska wabaal usi shakhs par hoga." 📕 Sahih al jame' lil albaani: 594
Har taraf phaili hui Qatlo Garat giri me ibadat karna kaisa? Har taraf phaili hui Qatlo Garat giri me ibadat karna kaisa? Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) farmate hai: "Har Taraf Phaili hui Qatl-o-Ghaarat giri mein Ibaadat karna Meri taraf Hijrat Karne ki tarah hai." 📕 Sahih Muslim, Hadees: 2948 (7400)
Ilm-e-Hadees aur Hadees ki Kisme ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ • Hadees ka ilm sahih aur khalis niyyat ke sath sirf Allah Ta'ala ki raza ke liye haasil kare. • Hadees ka ilm naam kamaane aur duniya ke maqsado ke liye hargiz haasil naa kare warna kuch faydah na hoga. • Allah Ta'ala se dua karte rahe ki iss mubarak ilm ke haasil hone me Allah Ta'ala ki taufeeq haasil rahe, halaat durust rahe, koi rukaawat aur mushkil pesh na aaye aur Allah Rabbul Izzat hadees ke…
Bure Rishtedar se Rishta Todna Kaisa hai? https://www.youtube.com/watch?v=w5215udMFdQ Bure Rishtedar se Rishta Todna Kaisa hai? Bure Rishtedar se Rishta todna,Qata Rehmi ya Qata Talluk karna kaisa hai Jabke Unhone hume Dhoka bhi diya hai by @Adv. Faiz Syed
Dunia me 4 Qisam ke Logo ki Niyato ka badla: Hadees Hadees: Abu Kabshah Anmaari (R.A) se kehte hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Mai tum se ek Hadees bayan karta hoon usey yaad rakhna:1). Sadqa karne se kisi ke maal me kami waqai nahi hoti",2). Jis kisi par Zulm hua ho aur woh Sabr kare tou Allah uski Izzat me Izafa farmata hai",3). Jo Shakhs (logon se) mangna shuru kar de tou Allah uss par Fikr aur tangi ka darwaza khol deta hai (aur woh har qisam ke…