Sadqa fitr se Murad Ramdan ke Mahine ke pura hone par Namaze Eid se pahle har Musalman shakhs ki taraf se Fitra ada karna hai.
♫ Sadqaa-e-Fitr Ke Audio Bayan Ke Liye is Link Par Jaye
✦ Hadees: Hazrat Ibne Umar (RaziAllahu Anhu) se marvi hai ke,
Rasool’Allah (Sallallahu Alahi Wasallam) ne Muslmano ke Ghulam, Azad, Mard , Aurat , Bache, Budhe sab par Sadka Farz kiya hai “Ek Saa’a(Taqriban 2.5 kg) Khajuro me aur ek saa’a Jau se aur is ke baare me Huqm diya hai ki yah Fitra Namaz-e-Eid ke liye Niklne se pahle ada kar dia jaye.”
– Is Hadis se malum hua ki Sadqa-e-Fitr farz hai.
Sadka Fitr ki Tadat aur Cheeze
✦ Hadees: Hazrate Abu Saeed Khudri (RaziAllahu Anhu) marvi hai ki,
“Hum Anaaz me se ek saa’a ya Jau me se ek saa’a, ya Khajoor me se ek saa’a ya Paneer me se ek saa’a ya Munakqe me ek saa’a Sadka Fitr nikalte they.”
– Is Se Malum Hua Ki In Tamam Chezo Me Se Ya Aise Anaz Jo Logo Ki Khuraaq Hai In Sab Me Se Ek Saa’a Yaani 2Kg 500Gm Sadka Fitr Nikala Jayega.
Kya Khuraaq ke Badle Qeemat bhi di ja sakti hai ?
behtar yahi hai ki jo Anaz Hadees me maujud hai unhi se adayagi ki jaye agar ye na ho tou jo kuch bhi Khuraaq ke taur par istemal kiya jata hai wah Sadqa ke taur par diya jaye.
lekin agar koi kisi majboori ki wajah se Qeemat dena chahe tou kuch ulema ise jaiz qarar dete hai kyo ki hadees me Sadka-e-Fitr ka jo maqsad bayan hua hai wah Masakeen ko khilana hai jaisa ki –
✦ Hadees: Hazrat ibne abbas (RaziAllahu Anhu) se marvi hai ki,
Rasool-e-Kareem (Sallallahu Alahi Wasallam) ne Sadqa-e-Fitr ko farz qarar diya taaki roze ke liye behuda kamo se paaki hasil ho jaye aur garibo ko khana bhi mil jaye.
Chunanche jis ne usey Namaz-e-Eid se pahle pahle ada kar diya tou yeh aisi Zakat hai jo Qabul kar li gayi aur jis ne usey Namaz ke baad ada kar diya tou wah aam Sadqaat me se ek Sadqa hai.”
– is hadis se ye bhi malum hua ki sadka namaz-e-eid se pahle ada kar dena zaruri hai agar eid se 1,2 din pahle ada kar diya jaye tou bhi koi harz nahi,..