Bhai ke liye Ghaibana Dua qabool hoti hai
Abu Darda (R.A) se Riwayat hai ke,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:
”Jab koi apne bhai ke liye (ghaybane) me dua karta hai to farishte ameeen kehte hain aur kehte hain : tere liye bhi isi jaissa ho.“
Abu Darda (R.A) se riwayat hai ke,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:
“Kisi Musalman ki apne bhai ke liye Ghaibana Dua qabool hoti hai, uske paas ek farishta hai jiski ye jimmedari hoti hai ke jab woh apne kisi bhai ke liye (Ghaibana) koi acchi Dua kare tou wo farishta kehta hai ke ‘Teri ye Dua Allah qubool kare aur tere liye bhi esi tarha ki khair ata farmaye.”