♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah Bin Umar(RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Gaib Ki Kunjian 5 Hain, Jinhe Allah Ke Ilaawa Koi Nahi Janta”.
∗1. Koi Nahi Jaanta Ke Kal Kya Hoga ?.
∗2. Koi Nahi Jaanta Ke Maa Ke Pait Me Kya Hai ?.
∗3. Koi Nahi Jaanta Ke Kal Woh Kya Kamaega ?.
∗4. Koi Nahi Jaanta Ke Iski Mout Kahan Waaqey Hogi ?.
∗5. Koi Nahi Jaanta Ke Baarish Kab Hogi ?.
– (Sahih Bukhari)
Related Posts:
Geebat Karney Walon Ka Azaab .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Anas Bin Malik (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Jab Mujhe Meraj Ata Ki Gayee Tou Uss Raat Mera Guzar Ek Qoum Par Se Hua Jinkey Nakhun Taanbey(Copper) Ke They Aur Wo Un Nakhuno Se Apney Chehrey Aur Seeney Ko Khurach Rahey They Tou Mainey Kaha Ye Kaun Log Hain Aye Jibril ?,.. To Unhoney Kaha Ki - Ye Wo Log Hain Jo Logon Ka Gosht Khatey Hain (Yaani Unki Geebat Kartey Hain) Aur Unki Izzat Aur Aabru Ke Peechey Parey Rahtey Hain,.." - (Sunan Abu Dawud , Vol 3, 1449…
Baitullah Ka Hajj Sahib-e-Istehaat Musalman Per Farz Hain… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Ali (RaziAllahu Anhu) Farmate Hain Ki, Huzoor-e-Paak (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Jo Shakhs Raah Ke Kharch Aur Baitullah Sharif Tak Pahucha Dene Wali Sawaari Ka Kharch Ka Maalik Ho Aur Fir Usney Hajj Nahi Kiya Tou Uske Yahudi Ya Nasrani Ho Ker Marne Me Koi Fark Nahi Aur Yeh Isliye Ki Quraan Majid Me Hain Ki Allah-e-Ta'ala Ke Liye Baitullah Ka Hajj Karna Logon Per Farz Hain, Jab Ki Hajj Ke Saare Zaruri Kharch Ka Maalik Ho!" - (Tirmizi Sharif)
Jab Banda-e-Momin Wazu Karta Hai .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: ‘Jis waqt Banda-e-Momin Wuzu shuru karta hai, phir kulli karta hai tou is ke mun’h ke Gunah nikal (jhad) jate hain. Phir jis waqt Naak Jhaadta hai is ke Naak ke Gunah nikal jaate hain. *Phir jis waqt Chehra dhota hai is ke Chehre ke Gunah nikal jaate hain. Yaha’n tak ke is ki Aankho’n ki palko’n ke neeche se bhi Gunah nikal jaate hain. *Chehra dhote waqt Guhan daadhi ke kinaro’n se bhi girte hain aur Jis waqt wo haath dhota hai tou is ke dono’n hatho’n se Gunah nikal jate hain yaha’n…
Qabro Ki Ziyarat Mardo Par Halaal Aurto Par Haraam .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Tum Qabro Ki Ziyarat Kiya Karo Kyunki Wo Tumhey Mout Ki Yaad Dilati Hain" - (Sahih Muslim, Vol2, 2259) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Buraida (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Mainey Tumhey Mana Kiya Tha Qabro Ki Ziyarat Karney Se Lekin Ab Tum Ziyarat Karo Unki". - (Sahih Muslim, Vol5, 5114) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Qabro Ki Ziyarat Karo Kyunki Ye Tumhey Aakhirat Ki Yaad…
Allah Ka Bando Par Kya Haq Hai ? » Jawaab: Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai Ke - ★ Mafhoom-e-Hadees: Allah Ka Haq Bando Par Ye Hai Ke Sirf Usi Ki Ibadat Karey, Aur Kisiko Uska Shareek Na Thehraye.. Aur Bando Ka Haq Allah Par Ye Hai Ke Jo Koyi Shirk Na Karey Usey Azaab Na Dey. - (Bukhari:2856, Muslim:30) ♥ Al-Quraan: "Jo Log Emaan Laaye Aur Apne Emaan Ko Zulm Se Mahfooj Kiya Unke Liye Aman Hai Aur Wahi Hidayat Paney Wale Log Hain..” – (Surah 6 Al-An’am, Aayat-82)
Allah Sota Nahi Hai Aur ... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Musa (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Hum Me Khade Hokar 5 Baatein Irshaad Farmayee, »(1). Allah Sota Nahi Hai Sur Sona(Sleeping) Uski Shaan Nahi Hai, »(2). Allah Tarazu Ko Jhukate Hain Aur Upar Uthatey Hain (Yani Kisi Ka Rizq Ziyada Kisi Ka Kam Kar Deta Hain), »(3). Din Ke Aamal, Raat Ke Aamal Karne Se Pahle Unki(Allah Ki) Baargah Me Pesh Kiye Jate Hain, »(4). Raat Ke Aamal Din Ke Aamal Karne Se Pahle Pesh Kiye Jate Hain, »(5). Uska Hijab Noor Hai Agar Usey Hata De Tou Uskey Chehre Ki…
Logo Par Reham Karne ke Fayde ♥ Al-Quraan: Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! "Jo Ghusse Ko Pee Jaate Hai Aur Doosro'n Ke Kasoor Muaf Kar Dete Hain, Aise Log Allah Ko Bohat Pasand Hain." - (Surah-Al-Imran 3:134) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Jo Shakhs Kisi Ko Muaf Kar Deta Hai, Usse Allah Ta'ala Izzat se Sarfaraz Karta Hai. - (Muslim Sharif) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Wo Shakhs Jannati Hai Jo Raat Ko Soney Se Pehle Sab Ko Mua’af Ker Ke Soye. ♥ Mafhoom-e-Hadees: Ek Roz Sayyiduna Musaa (Kalimullah Alaihi Salam) Ne Arz Kiya Ke, "Aey Rab! Tere Nazdeek Kaun Sa Banda Zyada Izzat Wala Hai?" Allah Ta'ala Ne Farmaya - "Wo Jo Badla Lene…
Khane Ke Faraiz : Ikhatthe Hokar Khaao, Alag Alag Na Khaao… ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Ikhatthe Hokar Khaao, Alag Alag Na Khaao, Ki Barqat Jamaat Ke Saath Hai, Aur Khadey Hokar Na Khaao Aur Na Piyo.." - (Ibne Maajah, Jild-4, Safa-21, Hadees-3287) ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Koi Khaana Khaye Tou Wo Uss Waqt Tak Haath Na Dhoye Jab Tak Wo Ungliyon Ko Chaat Na Le.." - (Bukhari Sharif) ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Khana Kha Ke Shukar Ada Karne Wale Ka Darja, Sabr Karne Wale Rozedar Ke Barabar Hota Hai.." - (Tirmizi, Hadees-2021)
Khala Ka Darja Maa Ki Tarah Hai ... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah-Bin-Umar (RaziAllahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki, Ek Shaksh Rasooll'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Baargah Me Hazir Hua Aur Arz Kiya Ke - "Ya Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Mujhse Bohot Bada Gunaah Ho Gaya Hai! Kya Mere Liye Tauba Hai ? .." *Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya: "Kya Tumhari Maa (Zinda) Hain ? *Usney Kaha: "Nahi" *Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Phir Farmaya: "Kya Tumhari Khala Hain ? " *Usney Kaha : "Ji Haan!" *Tou Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Aagey Farmaya aur Kaha: "Phir Unkey Saath Husn-e-Sulooq(Respectful Behaviour) Karo ,.." - [Jami At-Tirmidhi, Vol 1, Hadith 1966…
Gibat Karne ka Gunah aur Azab ♥ Mafhoom-e-Hadees: Anas Bin Malik (RaziAllahu Anhu) se Riwayat hai ke RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaaya: “Jab Mujhe Meraaj Karaayi Gayi tou Mera Guzar Ek Aisi Qaum Par Hua Jin Ke Naakhoon Taambey (Nails of Copper) Ke They Jo Apne Chehron aur Seenon (faces & chests) Ko Chhil (Scratch) Rahey They..." *Mai Ne Poocha : Aye Jibreel ! Yeh Kaun Hain ? *Unho Ne Kaha : "Yeh Woh Hai Jo Doosrey Logon Ka Gosht Khaatey (Yaani Gheebat/Back Biting) Aur Unki Izzaton se Kheltey Hain.” - [Sunan Abu Daawood, Kitaab UL-Adab, Hadees (Saheeh) : 4878] # Sabaq: Musalmaan Ki Gheebat…
Tum par Ramzan ka Mubarak Mahina Aaya hai Allah Ta'ala Quran-e-Kareem me Irshad Farmata Hai - "Maahe Ramzan Wo Hai Jismey Quran Utara Gaya, Jo Logon Ko Hidayat Karne Wala Hai Aur Jismey Hidayat Ki Aur Haqq-Wa-Batil Ki Tameez Ki Nishaniyan Hain. Tum Me Se Jo Shakhs Is Mahine Me Muqim (Alive) Ho, Usey Roza Rakhna Chahiye. Haan Jo Bimar Ho Ya Musafir Ho, Usey Dusre Dino Me Ye Ginti Puri Karni Chahiye. Allah Ta'ala Ka Irada Tumhare Sath Aasani Ka Hai, Sakhti Ka Nahi. Wo Chahta Hai Ki Tum Ginti Puri Kar Lo Aur Allah Ta'ala Ki Di Hui Hidayat Par Uski Badhaiyyan (बढ़ाईय्याँ) Bayan Karo Aur…
Mujhe Ye Darr Nahi Ki Tum Mere Baad Shirk Karoge .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Uqba-Bin-Aamir (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Ek Roz Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Nikle Aur Uhad Ke Shaheedon Par Namaz Parhi Jaise Janaze Ki Namaz Parhte Hain Phir Minbar Ki Taraf Aaye Aur Farmaya - "Main Tumhara Paish Khaima Hunga Aur Gawah Hunga Aur Qasam Allah Ki - Main Hauz Ko Iss Waqt Dekh Raha Hoon Aur Mujhko Zameen Ke Khazano Ki Kunjiya Ata Ki Gayee Hain, - Yaa Zameen Ki Kunjiya Aur Qasam Allah Ki Mujhe Ye Darr Nahi Ki Tum Mere Baad Shirk Karoge - Balki Ye Darr Hai Ki Tum Duniya Ki Lalach Me Aakar…
Din Ki Shuru Aur Aahiri Me Achay Kaam Kiya Karo .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - *Jis Ne Din (Day) Ki Shuruwat Kisi Achay Kaam Se Ki Aur Apne Din (Day) Ko Achay Kaam Hi Par Khatm Kiya Tou Allah Apne Farishtay Se Farmayega, "Inn Dono (Din Ke Shuru Aur Aakhir) Ke Darmiyan Jo Sagheera Gunaah (Kum Darje Ke Gunaah) Hain Unhe Mat Likho". - (Jama-Al-Sagheer Al Suyuti, Page:813, Hadees:8423)
Mayyat Ke Ghar Khaanaa Pakaa Kar Bhijwaana ... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah bin Jaafar(RaziAllahu Anhu) farmate hain ke, jab Jaafar ki wafaat ki khabar aai to Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: "Aale Jaafar ke liye khaana Taiyyar karo in Logo’n par Aisee museebat aai hai Jis me wo khaana nahi pakaa sakenge." - (Abu Dawood: al Janaaez 3132 – Ibne Majja 1210) *Aaj Kitne Afsos Ki Baat hai Ke baaz Ahle Maiyyat Doosro’n ke Liye Khaane ka Intezaam Karte Hain. Jabki Shariyat Ka hukm Tou Ye Hai Ke Unke Liye Padosi aur Ahle Khair hazraat Khane Ka Intezam Kare ,..
Qasam Sirf Allah Ki Khaye ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah Bin Umar (RaziAllahu Anhu) Ne Bayan Kiya Ki , Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Mere Waalid Umar-Bin-Al-Khattab Ke Paas Aaye Tou Kya Dekha Ki Wo Kuchh Logon Ke Saath Chal Rahe Hain Aur Apne Waalid Ki Qasam Khaate Jaa Rahe Hain. *Ye Sunkar Aap Ne Farmaya - "Suno! Allah Paak Ne Tum Logon Ko Apne Baap-Dada Ki Qasmein Khaane Se Manaa Kiya Hai,.. Jisko Qasam Khani Hii Hai Wo Sirf Allah Hii Ki Khaaye Warna Chup Rahe..." - (Sahih Al-Bukhari, Hadith no.6646)