۞ Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) Irshad farmatey hai ki,
“Jo Aadmi kisi Musalman ke Aib ko Dekh le aur phir Usey Chhupaye tou isey Allah Ta’ala Itna Ziyada Sawaab ata karega jaise Zinda dafnayi bacchi ko Qabr se Nikal kar uski Parwarish kare aur uski Zindagi ka Saamaan kar dey.”
Hadees: Agar tum mein se kisi ko khaane ki daawat di… - Roman Urdu - ۞ Hadees: Jabir (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmate hai ke "Agar tum mein se kisi ko khaane ki daawat di jaaye, tou daawat qubool kar leni chaahiye." 📕 Muslim; Hadees 3591 - हिंदी - ۞ हदिस: जाबिर (र.अ.) से रिवायत है के अल्लाह के रसूल (सलल्लाहु अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया: "अगर तुम में से किसी को खाने की दावत दी जाये तो दावत कबूल कर लेनी चाहिए।" 📕 मुस्लिम; हदिस ३५९१ -…
Khana khane ke Adab | RasoolAllah (ﷺ) ne kabhi… Hadees: Hazrat Abu Hurairah (R.A) farmate hain: "Allah ke Rasool (ﷺ) ne kabhi bhi Kisi Khane mein Aib nahi Lagaya, Jab Aapko Pasand Aata tou Kha Lete nahi tou Chhor dete." 📕 Tirmizi, Hadees: 2031 Sahih
Kisi ke Aib ki talash me mat raho Kisi ke Aib ki talash me mat raho Allah Rabbul Izzat Quran me farmata hai: ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Aye Imanwalo! Kisi ke Aib ki talash me mat raho." 📕 Surah Al-Hujurat 49:12
ISLAM Khatrey Me Hai Ya MUSALMAN ? Aaj Musalamano Par Din-ba-Din Zulmo Seetam Ki Inteha Dekh Aksar Logon ke Muhh Se Ye Baate Sun'ne Ko Milti Hai ke "Islam Khatrey me Hai ,.." Subhan'Allah !!! ... *Yaad Rakhey Jo Log Ye Kehte Hai Ke Islam Khatrey Me Hai.. Wo Bhul Jaiye Ke Islam Ko Kabhi Khatra Tha Na Kabhi Hoga Balki Khatre Me Wo Musalman Hai Jo Is Deen Ko Chorkar Apne Nafs Ki Tabedari Kar Raha Hai.. - Jabki Is Deen Ki Fitrat Hai Ke Ye…
Gharwalo par Kharch Karna bhi Sadqa Karne ke barabar Sawaab Gharwalo par Kharch Karna bhi Sadqa Hadees: Abu Masud Al-Ansari (R.A) se Riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Jab Musalman Apney Gharwalon par Allah ka Hukm Ada Karney ki Niyat se Kharch Karey tou Usmein bhi Usey Sadqey ka Sawaab Milta Hai." 📕 Sahih Bukhari, Hadees 5351
Log Chahte hai ke Musalman Jaahil Rahe Hadees: Abdullah-Bin-Umro-Bin-Aas (RaziAllahu Anhu) Farmate Hai Ke,Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Hajjatul Wida Ke Din Khutba Diya Aur Farmaya – Pohcha Do Logon Tak ! Agar Ek Aayat Bhi Maloom Ho Tou”📚 SAHIH BUKHARI, JAMI` AT-TIRMIDHI 2669 Subhan’Allah!! Jaahir si baat hai ke Pohchaane ki baat kahi jaa rahi hai tou jab Maloom hoga ya maloom karenge tabhi tou Pohchaya jayega. lekin jab Maloom hi na ho tou kya pohchayenge hum ?. Aur Aaj Hum Dekhtey hai ke log Chahtey hai…
Aib Waali Cheeze Tijarat me Bechne ka Tareeqa Hadees of the Day Aib Waali Cheeze Tijarat me Bechne ka Tareeqa RasoolAllah (ﷺ) ne irshad farmaya - "Ek Musalman dusre Musalman ka Bhai hai aur jab musalman apne bhai ke haath koi cheez bechey jis me Aib (Burayi) ho tou jab tak bayaan na kare us sey bechna halaal nahi." 📕 Sunan ibne Majah, Hadees 2246 Sabaq: Tijarat me iss baat ka hamesha khayal rakhe ki agar kisi ko koi cheez bech rahe ho tou bechne se pehle uss…
Jo Pait bhar ke khaye aur us ka padosi bhuka rahe wo… Jo Pait bhar ke khaye aur us ka padosi bhuka rahe wo Musalman nahi Hadees: Abdullah bin Abbas (R.A) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: "Woh Shakhs (Kamil) Imanwala nahi ho sakta jo pait bhar ke khaye aur us ka padosi bhuka rahe." 📕 Shoabul Emaan, Hadees 5660
Hadees: Kisi Nabeena ya Kamzor Nigaah wale ko rasta… Hadith: 22-June: Abu Zar (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: ❝ Kisi (Nabeena ya) Kamzor Nigaah wale ko rasta dikhana Sadqa (Sawaab ka kaam) hai. 📕 Jami` at-Tirmidhi 1956
Kya Ek Musalman Dusre Musalman ko Baddua de Sakta hai? Aajkal muashre me dekha jata hai ke Musalmano ka aapas me badduwa dena aam se ho gaya hai, lekin kya Shariyat ne hume is baat ki ijajat di hai ke Musalman aapas me Baddua de, Kya musalman ko di hui bad'dua lagti hai ? janne ke liye is mukhtasar se video bayan ka mutala kare.
Jab Allah Kisi Musalmaan ko Beemari Me Mubtilah Karta hai ♥ Mafhoom-e-Hadees: Yahiya Ibn Say'eed (RaziAllahu Anhu) Se Rewayat Hai Ki RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Daur Me Ek Shakhs Ki Maut Par Dusra Ek Shakhs Ne Kaha, Woh Bara Naseebwala Tha, Kisi Beemari Ya Taqleef Ke Bagair Hi Mar Gaya, Ye Baat Sunkar RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya: "Tum Mein Se Kisne Kaha Ki Woh Bahut Nassebwala Tha ? Agar Allah Usey Kisi Beemari Mein Mubtilah Karta ! Tou (Uske Badle) Uske Gunaho Ko Maaf (Kaffara) Kar Deta.,.."…
Apne Musalman Bhai se 3 Din se Zyada Naraz naa rahey 3 din se Zyada Narazgi Hadees in Roman Urdu | Hadees: "Kisi Musalman ke liye ye Jayez Nahi ki Apne Bhai se 3 Din se Zyada Narazgi ki Wazah se Baat Chit Karna Chhor de." [Sunan Abu Dawood, Hadith 1483]
Budhapa Musalman ka Noor hai ✦ Hadees: Budhapa Musalman ka Noor Hai Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne "Safaid Baalo ko Nikaalney se Manaa farmaya hai,Aur farmaya "Ye Budhapa Musalman ka Noor hai." [ Tirmizi; Hadees. 2821 ]
Jis Musalman ke 3 Nabaaligh Bachche Faut Ho Jayein Jis Musalman ke 3 Nabaaligh Bachche Faut Ho Jayein Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jis Musalman ke 3 Nabaaligh Bachche Faut (Death) ho Jayein to Allah Ta'ala us Rahmat ke Nateeje mein jo un Bachchon se Woh Rakhta hai Usey Jannat mein Daakhil karega." 📕 Sahih Bukhari, Hadees: 1248
Musalman Aapas Me Bhai-Bhai Hai ,... Allah Rabbul Izzat Quran-e-Kareem me Farmata Hai: ♥ Al-Quraan: "Beshaq Momin Aapas Me Bhai-Bhai Hai" - [Surah(49) Hujrat; Ayat-10] - Ek Riwayat Me Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai – ♥ Mafhoom-e-Hadees: “Momin Dusre Momin Ka Aaeena (Mirror) Hai, Aur Momin Dusre Momin Ka Bhai Hai. Jo Nuksaan Ko Uss Se Door Karta Hai Aur Uski Gair-Moujudgi Me Uski Hifazat Karta Hai”. – (Sunan Abu Dawud, Vol-3, Hadith no. 1486) # Subhan'Allah!! - - Kya Wakay me Aaj Hum Me…