Ilm Ki Ahmiyat: Part-14 ✦ Al'khwarizmi (Inventor of Algorithm): Koun Nahi Pahchanta Inhe.. Inke Naam Se “Algorithm”. Jo bhi Science Padha Ho, aur Bilkhusus Science Jo Technology Ka Ho .. Log Iss Naam Ko Behtar Jante Hai.. Yeh “Algorithm” Al'khwarizmi Ki Hi Deyn Hai. Inhone Kaha Ke Kisi Bhi Pechida Masle Ko Hal Karne Ke Liye Steps Bandhna Chahiye,.. Uski Tarkib Yeh Hona Chahiye Steps Ki Shakl Me.. Aur Inhi Ki Steps Ko Inhi Ka Naam Diya Gaya.. Jise Hum “Algorithm” Naam Se Jante...…
Ikhlas e Niyat ki Ahmiyat Hadees Ikhlas e Niyat ki kya Ahmiyat hai aayiye jante hai Hadees ki roshni mein, Shaheed, Aalim aur Maaldar ka anjam mehaz unki niyat me Ikhlas na honey ki wajah se. Hadees: Abu Huraira (R.A) Riwayat Karte hai ke,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya – Ek Shaheed Allah ke saamne Qayamat ke din laaya jayega, Allah usey puchega ke "Tuney kya Amal kiya ?”Woh kahega ke Mai teri raah me ladh kar Shaheed hua, Allah farmayega: “Tu jhoota hai, balke tu iss liye ladha…
Momino ki Misaal ek dusrey par Reham karne, Dosti… Hadees of the Day Momino ki Misaal ek dusrey par Reham wali hoti hai No’man bin Bashir (R.A) riwayat karte hai ki,Huzoor Nabi-e-Akram (ﷺ) ne farmaya: "Momineen ki Misaal ek dusrey par Reham karne, Dosti rakhne aur Shafqat ka mujahira karne me ek Jism ki tarah hai, chunanche jab Jism ke kisi bhi hisse ko takleef pahunchti hai tou saara jism bekhwaabi wa bukhaar me us ka shareeq hota hai." Muttafaque Alayh – Bukhari As-Sahih, 05/2238, Raqam-5665, Muslim As-Sahih, 04/1999, Raqam-2586 Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 04/270…
Ilm ki Ahmiyat aur Fazilat: Quran aur Ahadith ki Roshni mein Ilm ki Ahmiyat aur Fazilat: Quran aur Ahadith ki Roshni mein Quran ki Roshni mein Al-Quran: ♥ Allah Ta’ala Yakinan Unn Logon Ko Jo Tum Me Se Imaan Laaye, Aur Jinhone Ilm Haasil Kiya Unkey Darjaat Buland Kar Ke Rahega. – Surat Al-Mujadila 58:11 Ahadith Ki Roshni Mein RasoolAllah (ﷺ) farmate hai: ♥ Ilm Haasil Karna har Musalmaan par Farz hai.– (Miskat P:24) ♥ Ilm Hasil Karna Har Ek Musalmam (Mard Aur Aurat) par Farz Hai.– (Sunan ibn Majah, Vol-1,…
Allah ka Zikr karne wala Zinda aur na karne wala Murda hai Zinda aur Murda ki Misaal Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ka farman hai: "Us Shakhs ki Misaal Jo Apne Rabb ko Yaad Karta hai aur Uski Misaal Jo Apne Rabb ko Yaad nahi karta ZINDA aur MURDA Jaisi hai." 📕 Sahih Bukhari, Hadees: 6407
Musalman Bhai ki Ahmiyat: Hadees Hazrate Anas (R.A) se riwayat hai ke,Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya, "Tum me se koi shakhs iman wala na hoga jab tak Apne bhai ke liye wo na chahey jo apne Nafs ke liye chahta hai." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 13 प्रेषित के अनुयायी अनस (र.अ) वर्णन करते है के, प्रेषित मुहम्मद(ﷺ) ने कहा, "तुम में से कोई भी ईमानवाला नहीं होगा जब तक कि वह अपने (मुस्लिम) भाई के लिए भी वह पसंद न करे जो खुद के लिए पसंद…
Allah ke Ziqre ki Fazilat aur Dawate Islam ki Ahmiyat Ala BizikriAllahi Tatma innu alQuloob- [Surah Ar Ra'ad 13:28] Aaj har koi Parehsan hai, Isliye kyunki hakikat me "Allah ke Ziqre me hi momino ke Dil Itminan patey hai" - Surah Ar-Raad 13:28. Aur Yahi Qalbi Itminan Kisiko nahi hai Aaj. Ellah ke Ek Momin Iss Itminan ka Fayda Uthata hai. Aur Yaad Rakhiye Jab Kisi Qoum ke liye Hidayat aayi hai aur Hum Uss Hidayat ko Chupa kar Baithey hai wo Apna Haq tou kaise na kaise lene hi…
Allah sabse Zyada Raham karne wala aur Muaf karne wala hai Hadith : Allah Subhanahu sabse zyada Raham karne wala aur Muaf karne wala hai Abu Dhar Radi Allahu Anhu se rivayat hai, RasoolAllah ﷺ ne farmaya : "Qayamat ke din ek Admee ko laya jaega aur kaha jayega uske chote chote Gunah Uske samne pesh karo wo gunah uske samne laye jayenge jabki bade gunah us sey chupaliye jayenge. kaha jayega tuney falah falah din ye kaam kiya tha wo Iqrar karega, inkar Nahi karega aur bade Gunah se darr…
Jamat se namaz padhne ki Ahmiyat Hadees of the Day Jamat se namaz padhne ki Ahmiyat TRANSLITERATION Abu Darda (R.A) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Teen Aadmee kisi Basti ya Jangal me ho aur phir bhi wo Jamaat se Namaz na parhe tou Unn par Shaitan musallat ho jata hai, Isliye Tum Jamaat ko laazim kar lo. Kyunki Bhediya Ussi Bakri ko khata hai jo Galle se alag ho Jaye." 📕 Sunan Abu Dawud, Hadees 542
Pardey ki Ahmiyat aur Khawateen ki Ghaflat by Sis.… https://www.youtube.com/watch?v=ZPIVow1e89k Pardey ki Ahmiyat aur Khawateen ki Ghaflat by Sis. Qamar Tafheem Khawatin ke Parde ki Ahmiyat ke ziman me Allah Taala ka hukm kya hai aur iske bare me Ilm na hone ki wajah se kis hadd tak Gaflat barti ja rahi hai. Iske Talluk se Tafseeli jankari ke liye Mohtarma Aalima Behan Qamar Tafheem ke is bayan par gour karte hai. Baraye meharbani isey jyada se jyada share karne me humara tawoon kare,. JazakAllahu khairan kaseera.
Insh Allah ka matlab aur Ahmiyat Quran ki Roshni me Insh Allah ka matlab (Meaning) Insh Allah ka Matlab hota hai "agar Allah ne chaha."(if Allah wills it) Insh Allah ki Ahmiyat ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Aur Hargiz kisi kaam ke Nisbat na kaha karo ki mai isey kal kar dunga, magar insh Allah keh kar aur agar (insha Allah kehna) bhool jao tou (jab yaad aaye) apne Parwardeegar ko yaad kar lo (in sha Allah kah lo) aur kaho ki ummid hai ke mera Parwardeegar mujhe aisi baat ki hidayat…
Namaz-e-Asar ki Ahmiyat: Jiski Namaz Asar Qaza Ho Gayee Uska Jiski Namaz Asar Qaza Ho Gayee Uska Hadees: Abdullah Bin Umar (R.A) se riwayat hai ki - RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Jiski Namaz-e-Asar Qaza ho Gayee (Yaani nahi padi Uski Misaal aisi hai ke) Uska Ghar aur Maal Sab Loot gaya." 📕 Sahih Bukhari, Namaz Ke Waqton Ka Bayan: Hadees 553
Diwaliya aur Muflis Kaun? | Gaali Galaoch aur Geebat… Diwaliya aur Muflis Kaun?Gaali Galaoch aur Geebat karne ka Azab Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke, ek baar Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne sahaba se farmaya 'Kya tum jante ho Diwaliya aur Muflis kaun hai? ' Sahaba ne arz kiya ki "Humare yahan tou Diwaliya usey maana jata hai jiske paas na ek Dirham ho aur na tou koi Saamaan!" Aap (ﷺ) ne farmaya: "Meri Ummat ka Muflis wo hai jo Qayamat ke din apne Roza, Namaz aur Zakat ko saath…