» Kisi Ki Burayi Sun Ke Uss Tak Pohchana Us Se Bhi Badi Burayi Hai.
» Kisi Ki Burayi Talaash Karne Wale Ki Misaal Uss Makkhi Ke Jaisi Hai,
Jo Poora KhoobSurat Jism Chhor Kar Sirf Zakhm Par Baithti Hai”
» Burayi Ki Misaal Aise Hai Jaise, Pahaad(Hill) Se Niche Uttarne Ke Liye
Ek Qadam Uthao Tou Baki Qadam Uthe Chale Jate Hai, Aur Acchai Ki Misaal Aise Hai Jaise
Pahaad Par Chadhna Har Qadam Bohat Mushkil Se Uthta Hota Hai.
» Agar Kisi Shakhs Me 99 Buraiya Ho Aur 1 Acchayi Ho Tou Uski
Buraiyo Ko Nahi Balki 1 Acchayi Ko Bayan Kar Do.
» Tum Accha Karo Aur Zamaana Bura Samjhay, Yeh Tumharay Haq Me Behter Hai
Bajaye Iss Ke Tum Bura Karo Aur Zamana Tum Ko Accha Samjhay.
» Nek Logo Ke Sath Lage Raho, Tum Bhi Unhi Me Se Ho Jaoge,
Aur Burey Logo Se Door Raho Yaqeenan (Burayi) Se Door Ho Jaoge.