1. “La ilaha illallahul-Azimul-Halim. La ilaha illallahu Rabbul-‘Arshil-‘Azim. La ilaha illallahu Rabbus-samawati, wa Rabbul-ardi, wa Rabbul-‘Arshil- Karim”
Tarjuma › Allah ke elaawah koi saccha mabood nahin azmat waala, burdbaar hai, Allah ke elaawah koi mabood barhaq nahi Arsh-e Azeem ka Rab hai. Allah ke elaawah koi mabood barhaq nahin. Aasmano ka Rab hai aur Zameen ka Rab hai, Arsh-e-Kareem ka Rab hai.
📕 Sahih Bukhari:6346,
📕 Sahih Muslim, Kitaab Zikr WadDuwa; 2730
2. “Allahu Allahu Rabbi laa ushriku bihi shai’an.“
Tarjuma › Allah, Allah mera Rab hai, main uske saath kisi cheez ko bhi shareek nahin karta.
📕 Sunan Abu Dawood:1525-Hasan;
📕 Sunan Ibne Majah: 3882
3. “Laa ilaaha illa anta subhaanaka inni kuntu min al-zaalimeen.“
Tarjuma › Tere elaawa koi sachha mabood nahin, tu paak hai, yaqeenan main hi zaalimon mein se hoon.
📕 Sunan Tirmizi:3505, Mustadrak Hakim:1/505 H:862
[table id=1 /]
Assalamualaikum Mera naam Mohammed Munawar Hussain hai Mai karz Se pareshan hoo bahut jyada karz ho chuka hai ataa kaise hoga nahi samajh araha hai aap koi dua bataye air mere karz ki adayigi ke liye Allah subhaanoutala Se mere leye dua Kare aur khaas baat mujhe ek beta hua hai 31 December 2019 ko par wo paidaish ke waqt Se bimaar hai Allah subhaanoutala Se khususan dua Kare ki mere bete ko jald shifa e kamila ataa farmaye ameen sumameen air koi dua mujhe bhi bataye hum sab milkar Allah subhaanoutala Se dua Kare ki wo mere bete ko jald shifa e kamila ataa farmaye ameen sumameen