Hadith : Allah Subhanahu sabse zyada Raham karne wala aur Muaf karne wala hai
Abu Dhar Radi Allahu Anhu se rivayat hai,
RasoolAllah ﷺ ne farmaya :
“Qayamat ke din ek Admee ko laya jaega aur kaha jayega uske chote chote Gunah
Uske samne pesh karo wo gunah uske samne laye jayenge jabki bade gunah us sey chupa
liye jayenge. kaha jayega tuney falah falah din ye kaam kiya tha wo Iqrar karega,
inkar Nahi karega aur bade Gunah se darr raha hoga, kaha jayega ussay
har burayee ke badle ek neki de do,
wo ye sunkar kahega mere aise bhi gunah hai jinhein main yaha nahi dekh raha.
Abu Dhar (Radi Allahu Anhu) ne kaha Maine RasoolAllah ﷺ ko dekha
Aap ﷺ ye hadith bayan karke itna muskuraye ke Aap ﷺ ke dandan e
Mubarak (teeth) nazar aane lage
📕 Al Silsila As-Sahiha , 3679