Maah-e-Muharram ki Fazilat, Masnoon Amal aur Biddatein

Muharram ki Fazilat Masnoon Amal aur Biddatein

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

Muharram ki Fazilat

۞ Quran Majid ne 4 Mahinon ko Hurmat wala qaraar diya hai, inme se ek Muharram hai.

📕 Surah Tauba 9:36,
📕 Sahih Bukhari Hadees-3197

۞ Nabi Kareem (ﷺ) ne Muharram ko “Shahrullah” yaani Allah ka mahina kaha hai.

📕 Sahih Muslim-1123,
📕 Sunan Abu Dawud-2429

۞ Muharram ke mahine me Nafeel Roze rakhna Ramazan ke mahine ke Rozon ke baad Afzal tareen Roze hain.

📕 Sunan Abu Dawood 2429

۞ Muharram Qamari (Chaand ke Atbaar se) Saal ka pehla mahina hai.


Sunnat se Sabit Amaal

۞ Hadees: Muharram me kasrat se nafli roze rakhne chahiye kyunki
Nabi Kareem (ﷺ) ne farmaya “Ramzaan ke baad Afzal tareen Roze Allah ke mahine Muharram ke hain.”

📕 Sahih Muslim-1163, 1123, Abu Dawud 2429

۞ Hadees: Khusoosan Yaum-e-Ashoora (yaani 10 Muharram) ka Roza rakha jaye.
isse guzishta Saal ke Gunaah muaf ho jate hain.

📓 Sahih Muslim-1162,  Ibn Maaja-1730

۞ Hadees: 10 Muharram ke sath sath 9 Muharram ko bhi Roza rakh lena chahiye
taaki yahudiyo ki mukhalfat ho jaye. yahudi bhi Ashoora ka Roza rakhte they kyuki is din Musa (Alaihi Salam) ko Firon se nijat hasil hui thi tou woh Allah ke Shukr ke taur par Roza rakhte they.
Aur isi wajah se Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne bhi Roza rakhne ka hukm diya aur sath sath yeh bhi farmaya ki agle saal me 9 Muharram ka (bhi) Roza rakhunga lekin aapki Wafat ho gayi.

📓 Sahih Muslim-2666

۞ is mahine me Zulm wa Ziyadti se Ahtmaam ke sath bachna chahiye, bachna tou har waqt chahiye lekin Hurmat wale mahino me Gunaah ka Jurm badh jata hai, isliye ki Allah Ta’ala ne farmaya “In Mahino me tum apne Nafs par Zulm na karo”

📕 Surah Tauba 9:36


Muharram ke Hurmat ke Mutalliq Galatfehmiyan

Yeh bhi khayal rahe ki is mahine ki Hurmat Sayyidina Hazrat Husain (R.A) ke Waqiya-e-Shahadat se pehle hi sabit chali aa rahi hai. jaisa ki upar wazahat guzri. Baaz log yeh samajhte hain ki yeh mahina isliye Qabil-e-Ahtraam hai ki isme Hazrat Husain (R.A) ki Shahadat ka waqiya pesh aaya tha. yeh khayal bilkul galat hai.

Yeh Shahadat ka Waqiya to Nabi-e-Kareem (ﷺ) ki wafaat se 50 saal baad pesh aaya aur Deen ki takmeel Nabi-e-Kareem (ﷺ) ki Hayat-e-Mubarak me kar di gai thi.

📕 Surah Mayda, Ayat No-3

Isliye yeh tasawwur Qurani aayat ke bilkul khilaf hai. Phir khud isi mahine me isse badh kar Ek aur Shahadat ka Waqiya pesh aaya tha yaani pehli Muharram ko Umar Farooq (R.A) ki Shahadat ka Waqiya.

Agar baad me hone waali in Shahadaton ke Manaane ki Shar’an koi haisiyat hoti to Hazrat Umar Farooq (R.A) ki Shahadat is laaiq thi ki Ahle Islam iska aitebar karte.

Hazrat Usman (R.A) ki Shahadat aisi thi ki iski yadgar manai jaati. phir in Shahadato ki bina par agar islam me maatam ki ijaazat hoti to yaqinan tarikh-e-islam ki yeh dono Shahadaten aisi thi ki Ahle Islam in par jitna bhi maatam karte kum hota.

Lekin ek to Islam me maatam ki ijazat nahi, dusre yeh tamaam waqiyaat takmeel deen ke baad pesh aaye hain isliye inki yaad me majlisen aur mehfil-e-maatam qaaim karna deen me izaafa hai. jisse Allah ke Rasool (ﷺ) ne sakhti ke sath mana kiya hai.

📕 Sunan Abu Dawud 4606


Ashra-e-Muharram ki Biddatein

✦ Sanihah Karbala ko badha chadha kar bayan karna.

✦ 10 Muharram ko taziye nikaalna, unhe Qabil-e-Tazeem wa Parastish samajhna, Unse Mannaten mangna, khichda pakana, paani ya Dudh waghera ki sabeelen lagana.

✦ Apne bachon ko Hare Rang ke kapde pehna kar unhe Hazrat Husain (RaziAllahu Anhu) ka faqeer banana.

✦ 10 Muharram ko maatam ke julooson me zoq wa shauq se shirkat karna aur khel kood (Gatke aur patta bazi) se un mehfilon ki raunaq me izaafa karna.

✦ Mah-e-Muharram ko sog ka mahina samjh kar usme shadiya na karna aur kaala libas pehenna.

✦ Ghode ke juloos me sawaab ka kaam samajh kar shirkat karna.

✦ Ghode ko Mutabarruk (Barkat wala) Samajhna, usko choomna aur bachon aur Aurton ko uske Niche se Guzarne ko Sa’adat samajhna.

Yaad rahe ki in sabhi kaamo ke Biddat hone me koi Shak wa shubha nahi. Yeh khurafaat karne walo ko chahiye ki Allah se darein aur Qayamat ke din se darein jis din Allah ke Rasool (ﷺ) deen me naye naye kaam ijaad karne walo se kahenge “Door ho Door ho! (yaani door ho jaen woh log) jinhone mere baad deen ko badal daala” [Sahih Bukhari-7050]


Moulana Ahmed Raza Khan (Aala Hazrat) ke Fatwe

✦ Taziya aata dekh kar usse bachne ki koshish karein, balki uski taraf dekhna hi nahi chahiye

[Arfaan-e-shariyat, Hissa awwal, Page-15]

✦ Inka ek mustaqil risalah “Taziya Daari” hai iske Page no-4 par likhte hain “Gharz ashra-e-Muharramul Haraam agli shariyaton se is shariyate paak tak nihayat ba barkat mehel ibaadat thehra tha, in behooda rasmon ne jahilana aur fasiqana melon ka zamana kar diya”

✦ Page No-11 par likhte hain “Taziya par chadhaya hua khana nahi khana chahiye. agar niyaz de kar chadhayen ya chadha kar niyaz den to bhi iske khane se ahtraaz karen”

✦ “Ahkaam-e-shariyat” ke hissa awwal ke page no-71 par likhte hain “Muharram me siyah wa sabz kapde sog ki alaamat hain, aur sog haraam hai.”


Rasumat-e-Muharram Ulama-e-Islam ki Nazar me

SHAH WALIULLAH MUHADDIS DEHLVI R.A. “Aye bani Aadam! tumne islam ko badal dalne waali bahut si rasmein apna rakhi hain. (Maslan) tum 10vi Muharram ko baatil qism ke ijtema karte ho. kayi logon ne is din ko Maatam ka Din bana liya hai. halanki Allah Ta’ala ki mashiyat se haadse hamesha runama hote hi rehte hain. Agar Hazrat Husain (RaziAllahu anhu) is din (Mazloom Shaheed ke taur) Qatl kiye gaye tou woh kaun sa din hai jisme koi na koi Allah ka Nek banda faut nahi hua? (lekin tajjub ki bat hai) unhone is Sanihah Shahadat mazloomana khelkood ki cheez bana liya, tumne maatam ko Eid ke tyohaar ki tarah bana liya. goya is din Zyada khana pina farz hai aur Namazon ka tumhe koi khayal nahi”

📕 Al-Tafhimatul Ilahiyah, 1/288 Tafheem Raqam-69

✦ HAFIZ IBN KASEER R.A. “Yeh rasmen, Islam me inki koi Zaroorat nahi, agar yeh waqai acchi cheez hoti tou khairul Quroon aur is ummat ke ibtedaai aur behtar log isko zaroor karte, woh iske sabse zyada ahel the (baat yeh hai ki) Ahle Sunnat (Sunnat-e-Nabwi ki) iqteda karte hain apni taraf se bidaten nahi gadhte”

📕 Al-bidaya Wan-Nihaya-11/271

👉 SHAH ISMAIL SHAHEED R.A. “Paak wa Hind me Rafziyon ke Zer-e-Asar Taziya sazi ki jo Biddat raaij hai yeh Shirk tak pahuncha deti hai kyunki Taziye me Husain RaziAllahu anhu ki Qabr banaai jati hai aur phir usko Sajda kiya jata hai aur woh sab kuch kiya jata hai jo boot parast apne buton ke sath karte hain aur is lihaz se yeh purey taur par boot parasti hai”

📕 Siraat-e-Mustaqeem, Page-59, Az Islami Maheene Page-196


10 Muharram se Mutalliq kuch Jhoothe aur Manghadat Bayan

Yahi woh din hai jisme Allah ne Adam (Alaihi Salam) ki Tauba qubool ki.

Yahi woh din hai jisme Hazrat Ibrahim (Alaihi Salam) ko Aag se nijaat di gai.

Isi din hi Qayamat Aayegi.

Jisne Ashoora (10 Muharram) ka Roza rakha uske liye Allah ne un 60 saal ki ibadat likh di jisme Namaz, Roze bhi hain.

Jisne Ashoora ka Roza rakha usey Allah ne 1000 Hajiyo aur Umrah karne walo ka Sawab diya.

Ashoora ke din Allah ne Jibreel, Farishton, Adam (Alaihi Salam) aur Ibrahim (Alaihi Salam) ko paida kiya.

Ashoora ke din hi Allah ne dumba ki soorat me Hazrat Ismail (Alaihi Salam) ka Fidya diya.

Ashoora ke din jisne Ghusl kiya woh Marz-e-Maut ke siwaye kabhi bimar nahi hoga.

Jisne Ashoora ke din 4 Rakaat is tarah padhi ki har rakat me surah Fatihah ek martaba aur Surah Ikhlaas 50 martaba tilawat ki tou Allah ne uske maazi (past) wa mustaqbil (future) ke 50-50 saala Gunah muaf kar diye.

Yeh saari batein jhooti aur Manghadat hain [Dekhiye Al-Mozuaat Ibn Jozi-2/201,Al-Majrooheen Hafiz ibn Hibban-1/265-266]

Research Team, Peace for Humanity, Rampur.

┅┅┅━━═۞═━━┅┅┅

Jazaakumullahu khair’an Wa-Ahsanul Jazaa.

Aur bhi Dekhe:

0 thoughts on “Maah-e-Muharram ki Fazilat, Masnoon Amal aur Biddatein

  1. Junaid Akhtar says:

    Ye jo hadees bayan ki jati hai 10 moharram ko aadam (A s) ki touba kabool ki gaee or dusi ibrahim (A S) ko aag se nijat mili ye hadees nagi hai kya ye mangarat hai shaik isko bataye

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *