Awwabin (Chasht/Duha) ki 2 Rakaat Namaz Badan ke sare jod (joints) ka Sadqa hai

Awwabin (Chasht/Duha) ki 2 Rakaat Namaz Badan ke sare jod (joints) ka Sadqa hai

✦ Chasht/Awwabin ke Namaz ki Fazilat
(Badan ke sare jodo ka Sadqa) ✦

Abu Dharr (R.A.) se riwayat hai ki,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmya ki:

“Subah hote hi tum mein se har ek Shakhs ke har ek jod (joints) par Sadqa wajib ho jata hai, phir har ek tasbeeh (yani SubhanAllah kehna) sadqa hai, Har ek tamheed (Yani Alhamdulillah kahna) Sadqa hai, aur har ek tehleel(La ilaha ilAllah kehna) bhi Sadqa hai aur har ek takbir (Allahu Akbar kahna) bhi sadqa hai, (kisi ko) achchi baat sikhana bhi sadqa hai aur (kisi ko) buri baat se rokna bhi sadqa hai.
in Tamam kaamo ki jagah chasht (Duha / Awwabin) ki do rakatein kaafi ho jati hain jisko wo padh leta hai.”

📕 Sahih Muslim, Jild 2, Hadees 1671


✦ हदिस : चाश्त / अव्वाबीन के नमाज़ की फ़ज़ीलत
(बदन के सारे जोड़ का सदक़ा है) ✦

अबू ज़र (रदी अल्लाहू अन्हु) से रिवायत है की,
रसूलअल्लाह (सलअल्लाहू अलैही वसल्लम) ने फ़रमाया की:

“सुबह होते ही तुम में से हर एक शख्स के हर एक जोड (जायंट्स) पर सदक़ा वाजिब हो जाता है, फिर हर एक तसबीह (यानी सुबहान अल्लाह कहना) सदक़ा है , हर एक तम्हीद (यानी अल्हाम्दुलिल्लाह) सदक़ा है, और हर एक तहलील (ला इलाहा इलअल्लाह कहना) भी सदक़ा है और हर एक तकबीर (अल्लाहू अकबर कहना) भी सदक़ा है, (किसी को) अच्छी बात सिखाना भी सदक़ा है और (किसी को) बुरी बात से रोकना भी सदक़ा है इन तमाम कामो की जगह चाश्त (दूहा / अव्वाबिन) की दो रकातें काफ़ी हो जाती हैं जिसको वो पढ़ लेता है”

📕 सही मुस्लिम, जिल्द 2, 1671

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *