Aisi Baato se Biwi ke Kirdar par Shaq Karna Durust Nahi …

Biwi Ke Kirdar Par Shaq

Hadees-e-Nabwi ﷺ

Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke,
Ek dehati Nabi-e-Akram (ﷺ) ki khidmat me hazir hua aur arz kiya:

“Ya RasoolAllah (ﷺ)! Meri Biwi ne kaaley rang ka baccha paida kiya hai aur maine uska inkaar kar diya.”

Nabi-e-Akram (ﷺ) ne uss dehati se daryaft kiya:
“kya Tumhare paas Uoonth hai ?”

Dehati ne arz kiya “Ji haan!”

Nabi-e-Akram (ﷺ) ne daryaft kiya:
“Uska Rang kya hai?”

Dehati ne arz kiya “Surkh rang ke hain…”

Nabi-e-Akram (ﷺ) ne daryaft kiya:
“kya unme koi Khaaki Rang wala bhi hai?”

Dehati ne arz kiya “haan!”

Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya:
“Wo kaha se aa gaya?”

Usne kaha:
“Aye Allah ke Rasool (ﷺ) ! Shayad kisi Rang ne usko Ghaseet liya hoga
(yaani oonth ki uper Wali nasal me se koi oonth Kaaley Rang wala hoga).”

Aap (ﷺ) ne farmaya:
“Ho sakta hai ke Usko (Tumhare Bacche me bhi) Kisi Rang ne Ghaseet liya ho.
(Yaani Tumhara inkaar karna durust nahi).”

📕 Sahih Muslim 1500, In book Hadees 26


SABAQ:

Yaani ke Kisi Bacche ka Rang Apne Walidain se milta Julta na ho tou Isme Hairangi ki baat nahi, mumkin hai ke Uska Rang apne Nanhiyal ya dadhiyal me se kisi par gaya ho. Tou Nanhiyal aur Dadhiyal ka Asar Mumkin hai Bacche par.

Lihaja aisi Choti Choti Baato ki Buniyad par Biwi ke Kiradar par Shaq karna Durust nahi.

Allah Taala Hume tamam Gaflato se bachaye, Ameen Summa Ameen.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *