✦ Allah ki Raah me Kharch Karne se Maal kum nahi hota
Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya ki, Allah Subhanahu Ta’ala farmata hai
“Aye Aadam ke Betey! Kharch kar ki Mai bhi Tujh par kharch Karunga” aur Rasool’Aallah (ﷺ) ne farmaya “Allah ka Haath (Dast-e-Qudrat) bharaa hua hai (Raah-e-Haq Par) Raat Din Kharch karney se kuch kum nahi hota.”
📕 Sahih Muslim, Vol 3, Hadees no. 2308
✦ Apney Gharwalon Par Kharch Kare
Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya –
“Behtar Dinar (Ya Rupya) Jisko Aadmi Kharch Karta hai wo hai Jisey Wo Apney Gharwalon par kharch Kare aur Isi Tarah wo hai Jisey wo Kharch Karta hai Apney Janwar par Allah ki Raah me, aur Wo Jisey wo Kharch karta hai Apney Dosto par Allah ki Raah me.”
📕 Sahih Muslim, Vol 3, 2310
✦ Ziyada Sawaab Gharwalon Par Kharch Karna
Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya –
“Ek Dinar (Ya Rupya) Tumney Allah ki Raah me diya, Ek Ghulaam ko Aazaad karney me diya aur
Ek Dinar Miskeen ko diya aur Ek Apney Gharwalon Par Kharch Kiya tou Ziyada Sawaab Uss (Dinar) par hai Jo Tumney Apney Gharwalon par Kharch kiya.”
📕 Sahih Muslim, Vol 3, 2311
✦ Biwi Bacchho Par Kharch Karna Sadqa Hai
Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya ki,
“Jab Koi Insan Apni Biwi Bacchho par Kharch karta hai aur Niyat Sawaab ki ho tou wo Uske liye Sadqa hai (Sawaab ka kaam hai).”
Saad Ibne Waqqas (R.A.) se Mairvi hai ki, Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya –
“Tum Jo bhi Kharch karo aur Ussey Tumhari Niyat Allah ko Raazi karne ki hai tou Tumhe Uska Sawaab milega Yahan tak ki Apni Biwi ke Munh me jo Luqma rakhte ho Uska bhi Sawaab milega.”
📕 Sahih Bukhari; Hadees no. 56
✦ SABAQ ✦
In Ahadeeso se maloom hota hai ki Apne ghar walo par kharch karna bhi neki hai, Biwi Bachcho ko Khilana-Pilana Insan karta hai lekin Allah Ta’ala ki Raza ke liye wo ye sab khilaye tou Uss par Sawaab milta hai, ke Beshaq Amal ka Saara Daromadar Niyaton par hai.
Allah Ta’ala Hume Kehne Sun’ne se Jyada Amal ki toufiq de. Ameen Allahumma Ameen …