Quran ke Nuzool ka Asal Maqsad aur Humara Haal

Quran ke Sath Humara Sulooq

Aaj ilm ki kami ki wajah se hum Qur’an ke Nuzool ke Asal maksad se mehroom reh gaye, aur sirf Sawab ke Lalach me Quraan ka istemaal karne lag gaye.

Jaise missal ke tour per humari Musalman behne Sawab ke liye Quran Arbi me padhti rehti hai aur padhte hue Surah Nisa ki aayat 3 aati hai jaha Allah Ta’ala fermata hai ke “Aye Musalman Mard Aadmi tum 2,3,4 biwiyo se nikah kar sakte ho.”

Ab inhone padha Arbi me aur Allah se dua ki ke “Aye Allah har Harf ke badle 10-10 neki hona.”

Lekin jab inka shohar kabhi dusra nikah karne gaya tou “kaisa karta dekhti mai,..” MashaAllah

Arey lekin quraan me hukm hai na !

“Honga Quran me lekin mujhe kya ?….”

SubhanAllah! Andaza bhi hai kya Sulooq karte hai hum Allah ki nazil karda hidayat ka.

Zindagi bhar hum isey Mehaj Sawab ke Lalach me hi padhte hai lekin kabhi iske Maney Mafhoom par Gouro Fikr nahi karte.

jabki Sawab tou bonus hai wo tou mil jayega in’sha’Allah !!!

Alahmdulillah! Quran ki Tilawat ki Fazilat apni jagah hai, Lekin Quran ka Asal maksad Insaniyat ki Hidayat hai.

jiske Talluk se Allah Rabbul Izzat Quran-e-Kareem me farmata hai:

” Aye Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam)!
Ye Mubarak Kitab (Quraan) hai Jisey Humne Aapki taraf Iss liye Nazil kiya ke log iski Aayto par Gour kare aur Aqalmand is se Naseehat hasil kare. “

[ Al-Quran, Surah Saad 38:29 ]

✦ Quran ke Nuzool ka Asal Maqsad hai ‘Insaniyat ki Hidayat

Tou Quran ke Nuzul ka Asal Maksad Hidayat hai, lekin fir bhi hum isey mahaz Sawab ke liye padhtey hai, yahi wajah hai ke hum Allah ki hidayat se Mehrum reh gaye. aur jahalat hum par taari hui.

Jiska fayda Ummat ke Baaz Sharr Pasand logo ne khub uthaya.

“Humey Maslaki aur Firqawariyat me Ulzaya, Quraan se hidatar hasil karne ke bajaye isey Murdo par bakhswaya, beshumar biddate ijad kar inhone Apni batil Dukane khub chalayi.

lekin kabhi hume Quran ke Asal maksad se Taroof nahi karwaya, Siway Ulemaye Haq ke.

Lihaja mere Azeezo! Aaj agar hume Zillat aur Ruzwayi se bahar nikalna hai tou hume chahiye ke hum Quraan e Kareem ki hidayat ko samjhey, iske Maaney Mafhoom par Gour kare.

Aur jitna ho sakey ispar khud bhi amal kare aur dusro ko bhi iski dawat dey.

♥ In’sha’Allah Ul Azeez !!!
Allah Rabbul Izzat Se Aakhir Me Dua hai ke –
Allah Hume Kahne Sun’ne se Jyada Aml ki Taufik dey.
Hum Tamam ke liye Quraane Majid Ko Padhna , Samjhna Aur Uspar Amal Karna Aasan Farmaye.
Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam aur Imaan par Zinda Rakhey.
Khatma Humara Imaan par ho.
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

Leave a Reply