Waqt par Namaz Padhna
Hadees: Ubadah Ibn As-Samit (R.A) se riwayat hai ki,
Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya –
“Mere baad tum par aisey log hukmaran hongey jinki mashguliyat unko waqt par namaz ki adayeegi se rok degi, yahan tak ki waqt nikal jayega, isliye tum apney waqt par namaz parhna.”
Ek shakhs ne pucha Ki:
“ya Rasool’Allah (ﷺ)! kya main unkey (Jamaat me sharik ho kar dobara) namaz parh lu ?”
Aap (ﷺ) ne farmaya “haan agar tu chahey.”