Hadees: Quran ki tilawat karo, yeh Qayamat ke din… Hadith: 19 -July: Abu Umama (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: ❝Quran ki tilawat kiya karo, is liye ke yeh Qayamat ke din tilawat karne waalo ke haq me Sifarish karega.❞ 📕 Sahih Muslim 804
Allah sabse Zyada Raham karne wala aur Muaf karne wala hai Hadith : Allah Subhanahu sabse zyada Raham karne wala aur Muaf karne wala hai Abu Dhar Radi Allahu Anhu se rivayat hai, RasoolAllah ﷺ ne farmaya : "Qayamat ke din ek Admee ko laya jaega aur kaha jayega uske chote chote Gunah Uske samne pesh karo wo gunah uske samne laye jayenge jabki bade gunah us sey chupaliye jayenge. kaha jayega tuney falah falah din ye kaam kiya tha wo Iqrar karega, inkar Nahi karega aur bade Gunah se darr…
Allah ki Raza ke Bagair Koi Shifarish Nahi Kar Sakta Allah ki Raza ke Bagair Koi Shifarish Nahi Kar Sakta Aaj ke dor me aksar log yeh samajhte hain ke kisi buzurg ya wali ki shifarish se unhe Jannat mil jayegi, chahe wo Qur’an aur Sunnat ke teachings ko chhod kar apni marzi ki zindagi guzaar rahe ho. Yehi ghalat aqeeda pehle bhi kuch qaumon ka tha, jaise Isayi samajhte the ke Hazrat Isa (Alaihi Salam) unki shifarish karke unhe Jannat me le jayenge. Lekin Allah Ta’ala ne unke is…
Padosi ka haq Hadees: Jab Tum Salan Pakao Tou… Jab Tum Shorba (Salan) Pakao Tou Padosiyon ko bhi do ۞ Hadees : Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya : "Jab tum Shorba (Salan) Pakao tou usme paani jyada rakho aur padosiyon ko bhi yaad karo (diya karo)." 📕 Sahih Muslim, Hadees 6688 (2625)
Jhoot bolne wale par Allah ki Lanat hai Jhuth bolna Kaisa hai? Jhuth bolna ek Kabeera Gunah (Major sin) hai. Aksar dekha jata hai muashre me fitne aur fasad ki wajah jhuth hoti hai. tou beharhaal is post me hum jhuth ke baare me Qurano Sunnat ki rehnumayi par gour karenge. ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Jhootho par Allah ki Lanat "Beshaq Jhoot bolne waale par Allah ki Lanat hai." "बेशक झूठ बोलने वाले पर अल्लाह की लानत है|" 📕 Surah Aal-e-Imran 3:61 Jhuth Gunah ki taraf le jata hai…
Walidain ka Apni Aulaad par kitna Haq hai ? Hadees of the Day Walidain ka Apni Aulaad par kitna Haq hai ? Hazrate Abu Umama (R.A) riwayat karte hain ki,Ek aadami aaya aur uss ne arz kiya: Ya RasoolAllah (ﷺ)! Waliden ka apni Aulaad par kitna haq hai ? Aap (ﷺ) ne farmaya - "Woh (Maa-Baap) donon teri jannat hain aur dozakh." (yaani unki khidmat kar ke jannat haasil kar lo ya nafarmaani kar ke dozakh ke mustahiq ho jawo). 📕 Ibn Majah As-Sunan, 02/1208, Raqam-3662,📕 Mundhiri at-targhib wat-tarhib,03/216,…
Waseeyat me Nainsafi karne wale ka khatama bura hota hai ♥ Al Quran: Bismillahi-r-Rahmani-r-Rahim "Allah Subhanahu Tumhari Aulad ke baare me tumko irshad farmata hai ki (Jaydad me) Ek Ladke ka hissa Do Ladkiyo ke barabar hai (yani ek bete ko jitna hissa diya jayega uska aadha hissa beti ko bhi dena jaruri hai)" - (Surah Nisa(4) Aayat 11) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se rivayat hai ki Rasool'Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaye: "Aadmi 70 Saal tak (yani zindagi bhar) Neik Aaamal karta rahta hai phir Waseeyat Ke…
Munafiq ~ Jahannum ke sabse Nichley Gadhey me Rehne wale log Munafiq Ye Baat Hum sab Jantey hai ke, Jannatiyo ka Maqaam Bulandiyo par hai, Usi tarha Gunahgaro ke Azab ki Sakhtiya Jahannum Ki Gehrayion me hai. Lihaja jo Jitna Jyada Gunahgaar Uske Azab ki Shiddat bhi Utni Sakht,... Munafiqat kya hai aur Unhe Itni Sangeen Saza kyu? Allah ke Nazdeeq Shirk aur Kufr se bhi Jyada Sangeen Jurm Nifaq (Munafiqat) hai. Yaani koi Shakhs Jo Andar se Kafir-wa-Mushrik hai aur Logon ko Dikhane ke Liye Imaan ka Dawa Karey Ta'aki…
Allah Ta’ala se Qareeb karne wale Aamal Allah Ta’ala se Qareeb karne wale Aamal ۞ Hadees: Hazrate Samrah (R.A.) ne farmaya, Hum Darbaar-e-Nabuwat (ﷺ) me haazir they ke, Ek Shakhs haazir hua aur arz kiya “Ya Rasool'Allah (ﷺ) ! Allah Ta’ala ke Qareeb tar Aamal kya hain? ” Aap (ﷺ) ne farmaya “Sach Bolna aur Amanat ka Aada karna." Arz kiya gaya “Huzoor (ﷺ) Kuch aur Irshad farmaiye! ” Aap (ﷺ) ne farmaya :“Tahajjud ki Namaz aur Garmiyon ke Roze.” Phir Maine arz kiya “Huzoor (ﷺ) Kuch…
Bewaon (Widow) aur Miskeeno (Poor) ke kaam aane wale… Bewaon aur Miskeeno ke kaam aane wale ki Fazilat Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya "Bewaon (Widow) aur Miskeenon (Gareeb) ke kaam aane wala Allah ki Raah me Jihaad karne wale ke barabar hai, ya Raat bhar Ibadat aur Din bhar Roza rakhne wale ke barabar hai." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 6006
Quran padhne Wale ki Fazilat Quran padhne Wale Nek Farishto ke Sath Honge Hadees: Aisha (R.A) se riwayat hai kiRasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: "Jo shakhs Quran padhta hai aur usko padhne me mahir ho,tou wo Shakhs aise likhne wale (Farishto) ke saath hoga. jo Buzurg aur Nekokar (Kiramin-Bararah) hain. Aur Jo Shaksh Quran padhta hai aur uske liye mushkil hota hai touusko Dohra (double) Ajar milega." 📕 Jami'at Tirmidhi, Hadees 813 ♥ Subhan'Allah ! Allah Rabbul Izzat hum Sabko Kehne Sun'ne se Jyada Amal Ki…
Ilm ki Talash me rehne wale ki Fazilat | Puraane… Ilm ki Talash me rehne wale ki fazilatPuraane Gunaaho ki Maghfirat Hadees: RasoolAllah (ﷺ) farmate hai ke - "Jis Ne Ilm Talash Kiya Tou Yeh Talash Uss Ke Gujasta Gunaaho Ka Kaffara Ho Gayi” 📕 Miraatul Manahij, Jild 1, Safa 203 Wajahat: Taalib-e-Ilm se Sagira Gunaah Muaf hote jate hai, Jaise (Gunaah-e-Saghira) Wuzu Namaz Vagaira Ibadat se Lihaza Iska Matlab Yeh Nahi ke Talibe Ilm Jo Chahe Gunaah kare. Balki Matlab yeh hai ki Allah Ta’ala Niyat-e-Khair se Ilm ki…
Behayai Phailane wale ke liye Dardnak Azaab ✦ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ✦ "Jo Log yeh Pasand karte hai ke Behayaee Musalmano me Khoob Phaile tou Unko Duniya aur Aakhirat me Dukh dene waala Azaab hoga, Allah sab kuch janta hai aur tum kuch bhi nahi jantey" 📕 Al-Quran; Sureh-Noor 24:19
Islamic Quiz 390 : Ek Sahabi ne jab ek Surah padh… Quran ki tilawat ki apni ek roohani taaseer hai. Ek Sahabi jab Surah padh rahe the to ek ajeeb waqiya hua jo RasoolAllah ﷺ ne samjhaya Islamic Quiz 390 Ek Sahabi ne jab ek Surah padh rahe the to ek baadal unke kareeb aaya aur unka ghoda bidakne laga. RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: “Wo Sakeena tha jo Quran ki tilawat ki wajah se utra.” Us waqt wo kaunsi Surah padh rahe the? A. Surah Al-Baqara B. Surah Aal-e-Imran C. Surah…