Behtareen Amal: Sila Rehmi karo aur Muaf kiya karo Behtareen Amal: Sila Rehmi karo aur Muaf kiya karo Hadeese Nabwi ﷺ Aqbaa bin Aamir (R.A) Kehte hain Ki, Mai RasoolAllah (ﷺ) ki Baargaah me Hazir hua aur Aap ka Mubarak Haath Thamkar Arz kiya:"Ya RasoolAllah (ﷺ) ! Mujhe Behtareen Amaal Bataaiye." Aap (ﷺ) ne farmaaya: "Aqbaa!∗ 1. Qata-e-Taalluk Ke Karne Wale (Tumse Rishta Todne Wale) Se Sila Rahmi Karo,∗ 2. Jo Tumhe Mehroom Kare Usey Ataa Karo.∗ 3. Jo Tum Par Zulm Kare Usey Muaf Kar Do." 📕 Mukashifat-ul-Quloob,…
Hadees: Jo Shakhs Jhoothi Qasam kha kar kisi ka maal le lega Hadees of the Day Jo Shakhs Jhoothi Qasam kha kar kisi ka maal le lega Ash'as bin Qais (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jo Shakhs Jhoothi Qasam kha kar kisi ka maal le lega, wo Allah ke samne kodhi (leprosy) ho kar pesh hoga." 📕 Abu Dawood 3244
Jo Zulm se Qatl kar diya jaye wo Shaheed hai ✦ Hadith : Roman Urdu: Abu Jafar (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki, Mai Suwaid bin Muqarrin (RaziAllahu Anhu) ke paas baitha tha aur unhoney kaha ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya hai ki: "Jo Zulm se Qatl kar diya jaye wo Shaheed hai." - Sunan Nasaii, Vol 3, 398-Sahih ✦ English Hadith: The One Who Fights to Protect Himself Against Injustice It was narrated that Abu Ja'far said: "I was sitting with Suwaid bin Muqarrin, and he said:…
Jisne Farz Namazo ke alawa Din Raat me 12 rakat ada… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Ummul Momineen Umm Habiba (RaziAllahu Anha) se Rivayat hai ki RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: "Jisne Raat Din me 12 Rakat (Sunnat) Namaz ada ki uske liye Jannat me ek Ghar banaya jayega, Umme Habiba (RaziAllahu Anha) ne kaha ki jab se maine ye Hadees RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se Suni, maine uske baad se un 12 rakato ko kabhi nahi chodha..." - (Sahih Muslim, Vol 1, 1694) ✦ Ulema-e-Deen ke hisab se Wo 12 Rakat Sunnat…
Al-Quran: Jo Shakhs Ziyaadati aur Zulm ke taur par… Quran: 24 - July: ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ ❝Jo shakhs Ziyaadati aur Zulm ke taur par aisa (Naahaq Maal khaayega aur Qatl wa Khoon) karega. tou Hum(Allah) usko aag (Jahannum) mein daakhil karenge aur yeh baat Allah ke liye bilkul aasaan hai.❞ 📕 Surah An-Nisa’ 4:30
Narmi Ikhteyar karo, Sakhti aur badzubani se apne… Narmi Ikhteyar karo, Sakhti aur badzubani se bacho Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Narmi Ikhteyar karo, Sakhti aur badzubani se apne aap ko bachao." 📕 Bukhari; Hadees: 6401
Apne Bhai ki Madad karo, Chahe woh Zaalim ho ya Mazloom Apne Bhai ki Madad karo, Chahe woh Zaalim ho ya Mazloom Allah Ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Tu apne Bhai ki Madad kar! chahe woh Zaalim ho ya Mazloom." Tou ek shakhs ne pucha "Aye Allah ke Rasool (ﷺ) ! Mazloom hone ki Soorat me tou hum uski madad karenge, lekin Zaalim hone ki soorat me uski Madad kaise kare?" Tou Aap (ﷺ) ne farmaya ke "Tum Usey Zulm karne se rok do, yahi uski Madad karna hai." 📕 Sahih…
Jis Shakhs ka Amalnama uski Peeth piche diya jayega Jis Shakhs ka Amalnama uski Peeth piche diya jayega Allah Ta'ala farmata hai: "Aur Jis Shakhs ka Aamaal Naama Uski Peeth Piche se diya Jayega, tou woh Maut ko Bulane Lagega, aur Bhadakti huyi Jahannam mein Daakhil hoga." 📕 Quran 84: 10-12
Hadees: Apne liye, apni Aulaad aur apne Amwaal ke… Apne liye, apni Aulaad aur apne Amwaal ke liye bad-dua mat karo! Jabir (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ‟Tum apne liye, apni Aulaad aur apne Amwaal ke liye bad-dua mat karo! kahin qubooliyat ka waqt ho aur Allah us bad-dua ko qubool kar le (phir tum pachhtaate raho)." 📕 Muslim, Hadees 7705
Hadees: Logon ko Deen sikhaao aur aasaniya paida… Logon ko Deen sikhaao aur Aasania paida karo Hadees: Abdullah Ibne Abbas (R.A.) se riwayat hai ke,Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Logon ko Deen sikhaao aur aasaniya paida karo, tangi paida na karo." 📕 Musnade Ahmed, Hadees 2136
Khana khilao aur Salaam ko Aam karo Khana khilao aur Salaam ko Aam karo Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke - "Tum Khana khilao aur har shakhs ko Salaam karo chahe tum usey jante ho ya nahi jante ho." 📕 Sahih Bukhari, Hadees: 28
Al-Quran: Apne Parwardigaar ki Humd aur Tasbeeh Bayaan Karo Apne Parwardigaar ki Humd aur Tasbeeh Bayaan Karo ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Taala Quraan me farmata hai: "Apne Parwardigaar ki humd ke saath saath us ki tasbeeh bayaan karo aur us se magfirat maango. Yaqeen jaano woh bahot muaf karne waala hai." 📕 Surah An-Nasr 110:3
Takabbur aur Dikhawe Wale Aamal se Bacha karo ۞ Hadees: Abu Darda (RaziAllahu Anhu) se marwi hain, Unohne Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) se Arz kiya "Mujhe Wasiyat Farmayiye"! *Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya : "Pakeeza Hunar Ikhtiyar kar, Nek Amal kar, Allah Ta'ala se Har Din ki Rozi Talab Karta Reh aur Apne Aapko Murdon me Shumaar kar! aur Har Insan ke liye Zaruri Hain ki Wo Apne Nek Aamaal par naa itrayen, Kyonki Yeh Aamaal ke Liye Ek Azeem Halaqat Hain! Aisa Aadmi Amal Karke Allah…
Unhe Darna Chahiye Ke Kahi Unke Amaal Barbaad Na Ho Jaye Ek Sahaabi They! Wo Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ko 2 Din Dikhayi Na Diye. tou Aap ﷺ Ne Kaha - 'Ke Uski Khabar Laao! Wo Kaha Hai?' Ek Shakhs Nikley aur Unke Ghar Gaye aur Pucha Ke - 'Wo Kaha Hai ?.' Tou Unki Biwi Ne Kaha Ke - 'Wo 2 Din Se Ghodo ke Astabal me Rotey Hue Baithey Hai,, Aap Jakar Samjhaiye Unhe...' Jab Unke Paas Pohchey aur Pucha Ke - 'Tumahara Kya Mu'amla Hai ? Kyu Ro…
Jab Tum me se koi Shakhs kisi Aisey Aadmi ko dekhey… ♥ Mafhum-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya - "Jab Tum me se koi Shakhs kisi Aisey Aadmi ko dekhey Jo Maal aur Shakal aur Surat me Uss se Badhkar hai tou uss Waqt usey aisey Aadmi ka Khayal karna chahiye jo Uss se kum darje ka hai." - Sahih Bukhari, Vol-7, Hadith 6490