Al-Quran: Amanatein un ke haqdaaro tak pohchaaon ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Amanatein un ke haqdaaro tak pohchaaon Allah Taala Quran me farmata hai: "(Aye Imanwalo!) Yaqeenan Allah tumhe Huqm deta hai ke tum Amaanatein un ke haqdaaro tak pohchaaon." 📕 Surah An-Nisa 4:58
Apni badhai aur taarif na kiya karo Apni badhai aur taarif na kiya karo Hadees: Zainab Binte Abi Salma (R.A) se mairwi ki,Unka naam badah (Nekokar) tha, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Apna tazkiya na karo (Yaani apni badhai aur taarif na karo) Allah ko malum hai ki tum me bura aur neki wala koun hai, uska naam Zainab rakh do." 📕 Islami Akhlaq-O-Aadab, Page No#269, Hadith 17 Allah Taala hum sabko kehne sunne se jyada amal ki toufiq de. Ameen Allahumma ameen.
Murdo Ke Liye Maghfirat Talab Kiya Karo ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Jab Kisi Mayyat Ki Tadfin Se Farigh Ho jatey Tou Uski Qabr Ke Paas Ruktey Aur Farmate: "Apne Bhai Ke Liye Maghfirat Talab Karo Aur Uske Liye Sabit Qadmi Ki Ilteja Karo, Kyun Ke Ab Us'sey Sawaal Kiye Jayenge.." - (Sunan Abu Dawood, Hadith No:3221)
Hadees: Jhooth se bacho, jhooth Gunah tak le jata hai Jhooth se bacho, jhooth Gunah tak le jata hai Hadees: Abdullah bin Masood (R.A) se riwayat hai ke,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ‟Jhooth se bacho, isliye ke jhooth Gunah tak le jata hai aur Gunah Jahannum tak le jata hai." 📕 Muslim, Hadees 6805
Achchi Baaton ka Hukm do magar khud bhi Amal karo ♥ Mafhoom-e-Hadees (Roman Urdu) Usama Bin Zaid (R.A) se riwayat hai ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya: *"Qayamat ke din ek shakhs laya jayega aur usay Jahannum me dala jayega. Uske pait ki aantain (intestines) bahar nikal aayengi, aur wo gadhe ki tarah chakki ghoomne wala chakker lagayega. Jahannum wale uske paas aakar kahenge: ‘Aye falan! Kya tum logon ko nek amal ka hukm nahi karte they aur burai se nahi rokte the?’ Wo jawab dega: ‘Main zaroor hukm deta…
Neki aur Parhezgari ke kaamo me ek dusre ki madad kiya karo Neki aur Parhezgari me ek dusre ki madad karo Allah Taala Quran me farmata hai: "Neki aur Parhezgari ke kaamo me ek dusre ki madad kiya karo.Aur Gunaah wa Zulm par Madad naa karo!,Aur Allah se Daro, Beshaq Allah ka Azaab Sakht hai.” 📕 Surah Maida 5:2
Hadees: Apne liye, apni Aulaad aur apne Amwaal ke… Apne liye, apni Aulaad aur apne Amwaal ke liye bad-dua mat karo! Jabir (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ‟Tum apne liye, apni Aulaad aur apne Amwaal ke liye bad-dua mat karo! kahin qubooliyat ka waqt ho aur Allah us bad-dua ko qubool kar le (phir tum pachhtaate raho)." 📕 Muslim, Hadees 7705
Namaz ka tark karna Kufr ka Elaan hai - Namaz… ✦ Hadith: Jaabir (R.A) riwayat karte hain ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Aadmi aur Shirk o Kufr ke darmiyan fark karne wali cheez Namaz hai.’ (Muslim: al Eman 82) Is ka mtalab ye hai ke Islam aur Kufr ke darmiyan Namaz deewaar ki tarha hai. Doosre lafzo’n me namaz ka tark(chorna) Musalman ko Kufr tak paho’nchane wala amal hai. ✦ Hadith: Bareeda (R.A) riwaayat karte hain ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Humare aur Munafiqo’n ke darmiyan ahad namaz hai. Jis…
Padosiyon Ko Takleef Dene Se Baaz Aaya Karo .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Ahmad Wa Baiheqi Ne Shoaib-Ul-Imaan Me Abu Huraira (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Ki, *Ek Shakhs Ne Arz Kiya - "Ya Rasool'Allah ! Falani Aurat Ke Mutallik Zikr Kiya Jaata Hai Ki Namaz-Wa-Roza Wa Sadka Kasrat Se Karti Hai Magar Ye Baat Bhi Hai Ki Wah Apne Padosiyon Ko Zubaan Se Takleef Pahunchati Hai..." *Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Wah Jahannam Me Hai..." *Unhone Kaha - "Ya Rasool'Allah ! Falani Aurat Ki Nisbat Zikr Kiya Jaata Hai…
Sadqa Karo! Ek Aisa Zamana bhi Aayega jab koi Sadqa… Ek Aisa Zamana bhi Aayega jab koi Sadqa nahi lega Hadees: Haritha Bin Wahab (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki - "Sadqa Karo! Ek aisa Zamana bhi Tum par aane wala hai, Jab Ek Shakhs apne Maal ka Sadqa le kar Niklega aur koi Usey Qubool karney wala nahi payega. Jiskey paas Sadqa le kar jayega Wo ye Jawaab dega kiAgar Tum Kal Usey laye hotey tou Mai Qubool kar leta Aaj tou Mujhe uski Jaroorat…
Tum hargiz Bhalai ko na pohochoge jab tak apni pyari… Tum hargiz Bhalai ko na pohochoge jab tak "Tum hargiz Bhalai ko na pohochoge jab tak apni pyari cheez Allah ki raah me kharch na karoge. aur tum jo kuch kharch karoge Allah Ta'ala bakhoobi janta hai." 📕 Al-Quran; Surah Aal-e-Imran 3:92
Apne Maa Baap ko UFF tak na kehna Al-Quran: Apne Maa Baap ko UFF tak na kehna ✦ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ✦ Allah Rabbul Izzat Quraan-e-Majid me farmata hai: Aur tere Parwardigaar ne huqm de rakha hai ke Mere Alaawa kisi ki Ibadat na karna aur apne Maa Baap se Acchha Sulook kiya karna, Agar Unme ka ek ya dono teri maujoodagi me Budhaape ko pahunche (toh unki khidmat karte hue) Tum unko 'Uff' tak bhi na kahna aur na unko zhidakna aur na unko taqleef dena Aur Muhabbat se…
Zikr-e-Ilahi Me Mashgul Raha Karo ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) farmatey hai ke - "Kisi (Zaalim) Baadshah per Bad'dua me mashgul rehne ke bajaye Zikr (Zikr-e-Ilahi) me Mashgul raho." - (Mishkat Sharif) “Allahumma Ainni Ala Dhikrika Wa Shukrika Wa Husni Ibadatika” (Ya Allah! meri madad kar tera zikr karney me, aur tera shukr ada karney me aur teri achchi ibadat karney me) – Sunan Abu Dawud, Vol 1, 1509 ( Sahih) Ameen ! Allahumma Ameen !!! For more Islamic messages kindly download our Mobile…