Aadmi ne Pait se jyada Bura koi Bartan nahi bhara Hadees: Mikdam Ibn Madikarab (R.A) se riwayat hai ki, Maine RasoolAllah (ﷺ) ko yeh farmate huye suna ki - "Aadmi (Insan) ne Pait se Jyada Buraa koi Bartan nahi bhara. Ibne Aadam ko Chand Luqme Kaafi hai Jo Uski Peeth Ko Sidha Rakhe Agar Jyada Khana Zaruri ho tou Tihaai Pait Khane ke liye, Tihaai Paani Ke Liye aur Tihaai Saans Ke Liye.." 📕 Tirmizi, Hadees 2380
Sab Rozo me Afzal Ramzan ke Baad Muharram ke Roze ki Fazilat Muharram ke Roze ki Fazilat Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya "Sab Rozo me Afzal Ramzan ke baad Muharram ke Roze hain, Jo Allah ka Mahina hai aur Baad Namaz-e-Farz ke Tahajjud ki Namaz hai." 📕 Sahih Muslim, Vol-3, 2755 Dekhe: Muharram / Ashure Ka Roza aur Uski Fazilat Ramzan ke baad sabse ziyada fazilat wale Roze Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki, Ek Sahaabi RasoolAllah (ﷺ) ki khidmat me hazir hokar Arz karney…
3 Batey Jise Haqeeqat aur Mazak me kehna bhi Haqeeqat hai ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: "Teen Baatey Aisee hain jisko Haqeeqat me kehna bhi haqeeqat hai aur Mazak me kehna bhi Haqeeqat ho jata hai , (Wo teen Baatey hai) Nikah, Talaq aur Ruju (yaani Talaaq ke baad Biwi ko wapas apna lena)." - (Sunan Ibn Majah, JIld 2, 196-Sahih)
Riyaa ka Adna martaba bhi Shirk hai ♥ Mafhoom-e-Hadees: Tabrani wa Hakim ne Ibne Umar (RaziAllahu Anhu) se riwayat ki Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya - "Riyaa ka Adna martaba bhi Shirk hai aur tamam Bando me Allah ke Nazdik woh zyada Mehboob hai Jo parhezgar hai jo chupey huye hai. Agar wah gayab ho tou Unhey koi talaash na karey aur Gawahii de tou pehchane na jaye wah log hidayat ke imam aur Ilm ke charag hai." (Islami Akhlaq-O-Aadab, Hadees-7, Page-302)
Murgey ko bura bhala na kaho, Wo Namaz ke liye jagata hai Zaid bin Khalid (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Murgey ko bura bhala na kaho, kyun ke wo Namaz ke liye jagata hai." 📕 Sunan Abu Dawud, Hadees 5101-Sahih
Nadamat me Gunaah Muaf farma Diye jate hai Nadamat me Gunaah Muaf farma Diye jate hai Hadees: Abdullah Bin Salaam (R.A) se Mairwi hai ki, Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya - "Jab Koi Banda Allah Ta'ala ke Hazoor Taubah Karta hai aur Apne Gunaah par Nadamat Mehsoos karta hai tou Uskey Nadeem hone se pehle hee uske Tamaam Gunaah muaf farma diye jate hain." 📕 Nuzhat-Ul-Majalis, V2:228
Hadees: Jisne Ramzan ke Roze rakhe aur is ke baad… Hadith: 6-June: ✦ Roman Urdu: Abu Ayyub (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ‟Jisne Ramzan ke Roze rakhe aur is ke baad Shawaal ke 6 Roze rakhe tou goya is ne poore saal ke roze rakhe." ✦ हिंदी हदिस: अबू अयूब (र.अ) से रिवायत है के, अल्लाह के रसूल (ﷺ) ने फ़रमाया: " जिसने रमज़ान के रोज़े रखे और इस के बाद शवाल के 6 रोज़े रखे तो गोया इस ने पूरे साल…
Tawheed aur Shirk : Part:1 ✦ Mushriko ke Nek Aamal Unhe Aakhirat me koi Fayda nahi Dega: ♥ Mafhoom-e-Hadees: Ek Roz Ummhatul Momineen Hazrate Ayesha Siddiqa (RaziAllahu Anha) Ne Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Ek Shakhs Ke Talluk Se Sawaal Kiya - Ya Rasool'Allah! Abdullah-Bin-Judan Kaha Jayega? Abdullah Bin Judan Ka Kya Hoga ? Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai Ke - 'Aye Aayseha!!! Abdullah Bin Judan Jahannum me Jayega. KyunKe Usney Kabhi Apne Rab se Yeh Nahi Kaha - Ke Aye Rab!…
Badshaguni Shirk hai Badshaguni Shirk hai Hadees-e-Nabwi ﷺ Abdullah-bin-Mas'ud (R.A.) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne irshad farmaya, "Badfaeli (Badshagooni Me Yaqeen Karna) Shirk hai, Kisi Ko Badfaeli Ki Waham ho tou (Usey Chahiye) Allah Subhanahu Wa Ta'ala par bharosa kare, Allah Subhanahu Wa Ta'ala Uss Bharose ki wazah se Usko door farma dega." 📕 Sunan Ibne Majah, Jild : 3, Hadees: 419📕 Sunan Abu Dawud, Jild 3, 511-Sahih Badshaguni se bachne walo ka inaam Ibn Abbas (R.A) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ)…
Islam ka Sabse Bada Dushman Koun hai? Islam Ka Sabse Bada Dushman Koun hai? Islam ka Sabse Bada Dushman Zahil Musalman hota hai,Jahalat Usey Besabr Bana deti hai,Uski harkato se Islam ki Chavi Kharab Hoti haiaur jab Log Uski Taraf dekhte hai tousochtey hai ke "Yahi hai Islam!" 📕 Shaikh Ahmed Didat (Rehmatulahi Alaihi) इस्लाम का सबसे बड़ा दुश्मन अज्ञानी मुसलमान है, अज्ञानता उसे असहिष्णु बनाती है, उसकी हरकतों से इस्लाम की छवि खराब होती है, और जब लोग उसकी तरफ देखते हैं तो सोचते हैं के…
Marne ke Baad Roz-e-Qayamat ke Halaat Mout ke Baad ke Haalat : Insaan ko Pesh Aane Wale Marahel Ki Takleef aur Mushkilaat ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Marne ke baad insaan ko pesh aane wale marahel jinme Barzakh, Soor, Nushoor, Hashar, Hisab, Mizan aur Pul Seerat wagaira shamil hai, kis qadar takleefdeh aur mushkil honge uss ka andaza inn aayato aur hadees-e-mubarak se lagaya ja sakta hai. Irshade Bari Ta'ala hai ke - "Qayamat ka din bachon ko budha kardega." (Surah Muzammil 73:17) "Logon ke kalije mooh ko…
♫ Ramzan me Roze ki Halat me Hum*bis*tari karne ka… Ramzan me Roze ki Halat me Hum*bi*stari karne ka Gunaah aur uska Kaffara Roze ki Halat me miya biwi ka aapas me hum*bi*stari karna kitna bada gunah hai, aur uska kaffara kya hai ? tafseeli jankari ke liye is mukhtasar se audio bayan ka mutala kare. jazakAllahu khairan kaseera. Aur bhi Dekhe: ♫ Roza na rakhne ki kisko Chhut hai? ♫ Roza koun log nahi rakh sakte aur Bewajah Roza Chorne ka Azab ♫ “Roza Lag raha” Bolna kaisa hai?…
Musalmano ke Gharo me Sabse Accha aur Bura Ghar Musalmano Ke Gharo me Sabse Accha aur Bura Ghar Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) farmatey hai ke - "Musalmano ke Gharo me Sab se Behtareen Ghar wo hai Jisme koi Yateem Rehta hai aur Uss ke Saath Behtareen Salooq kiya Jaata ho.Aur Musalmano ke Gharo me se Badd'tareen Ghar wo hai ki Jis me Koi Yateem ho aur Us ke Saath Bura Salooq kiya jata ho." 📕 Tibrani Kabeer: Hadees 13434
Kisi ko Kafir kehna kaisa hai? Kisi ko Kafir kehna kaisa hai? Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Agar Koi Shakhs Kisi Shakhs ko Kaafir ya Faasiq kahe aur Woh Dar Haqeeqat Kaafir ya Faasiq na ho to Khud Kehne wala Faasiq aur Kaafir ho Jayega." 📕 Sahih Bukhari, Hadees: 6045
Momin Apne Acchey Akhlaq Ki Wajah Se Bada Martaba Pa… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne Farmaya: “Momin Apne Acchey Akhlaq Ki Wajah Se Unn Logon Jaisa Martaba Paa Leta Hai Jo Raaton Ko Ibadat Karte Hai Aur Din Ko Roze Rakhte Hai.” - (Sahih Mustadrak Haakim, 198) ♥ मफहूम-ऐ-हदीस: अल्लाह के रसूल (सलाल्लाहू अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया: “मोमिन अपने अच्छे अखलाख की वजह से उन लोगो जैसा मर्तबा पा लेता है जो रातों को इबादत करते है और दिन को रोज़े रखते है.” - (सही मुस्तदरक हाकिम, 198)…