Raste se Taqleef ki cheeze Door karna bhi Sadqa hai Raste se Taqleef ki cheeze Door karna bhi Sadqa hai Hadees: Abu Zar (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Patthar Kanta aur Haddi (wagairah) ka Raste se hata dena Sadqa (Sawab ka Kaam) hai." 📕 Tirmidhi, Hadees 1956
Allah ki Makhlook ko rahat Pohuchana sabse Afzal Sadqa Allah ki Makhlook ko rahat Pohuchana sabse Afzal Sadqa Hadees: Sa'd Bin Ubadah (R.A) se riwayat hai, Maine Nab-e-Kareem (ﷺ) se poochha "Kaunsa Sadaqah Afzal hai?" Aap (ﷺ) ne farmaya "Paani Pilana" 📕 Sunan Ibn e Maja, Hadith 3684 # Wajahat: Jahan par logo ko Paani ki Haajat ho waha "Sabeel rakhna" Ya Kuwa Ya Hauz bana dena. Isi tarah Jahan jis cheez ki Musalmano ko Zarurat ho aur takleef ho rahi ho , waha usi ka Sadqa Afzal Hoga. Aur Hasil…
Jo log Allah ke liye Aapas me Mohabbat rakhte hain Allah ke liye Aapas me Mohabbat karne walo ka inaam Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya ke, Allah Ta'ala irshaad farmata hai:"Jo log meri Azmat aur Jalaal ki wajeh se Aapas me Mohabbat rakhte hain, Qayamat ke din unke liye Aise Noor ke Meember honge jin par Ambiya aur Shuhada bhi Rashk karenge." 📕 Jame Tirmizi, Hadees: 2390 ♥ SubhanAllah! Allah Rabbul Izzat hume kehne sun'ne se Jyada amal ki Taufik dey.. Ameen, ya Rabbul Aalameen.
Sabse Bura Aadmi Wo hai Jiski Badzubani ki wajah se ... Jiski Badzubani ki wajah se Log Us se Milna Chhor de RasoolAllah (ﷺ) farmate hai ke: "Logo me Sabse Bura Aadmi Wo hai Jiski Badzubani ki wajah se Log Us se Milna Chhor de." 📕 Bukhari: Hadees 6054
Sadqa dene walo ka Silah Rab ke paas hai ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Jo Log Apna Maal Allah ki Raah me Kharch karte hai, Phir Kharch karne ke baad na tou Ahsaan Jatlaate hai aur Na Takleeef pahunchaate hai, Unka Silah tou unke Rab ke yahan hai hi, aur Qayamat ke din Unko na tou koi khauf hoga aur na woh Ghamgeen honge." 📕 Surah Baqrah 2:262
Halal Cheezo me Allah ko Sabse Napasandida Cheez Talaaq hai Halal Cheezo me Allah ko Sabse Napasandida Cheez Talaaq hai Abdullah bin Umar (R.A) se riwayat hai ke, Nabi-e-Karim (ﷺ) Ne Faramaya, "Saari Halaal Cheezo Me Allah Ta'ala ke Nazdiq Sabse Napasandida Cheez Talaaq (Divorce) Hai." 📕 Sunan Ibn Majah, Hadees 2096
Allah sabse behtar Rizq deta hai Allah sabse behtar Rizq deta hai Allah Ta'ala Quran me farmata hai: "Aur Allah sabse Behtar Rizq dene wala hai." 📕 Surah Al Juma 62:11
Sadqa wa Khairat Museebat ke Sattar (70) darwaze… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Salallahu Alaihi Wasallam) farmate hai ke, “Sadqa wa Khairat Museebat ke sattar (70) darwaze band kar deta hai” – (Tabrani Kabir, 6724) ♥ मफहूम-ऐ-हदीस: नबी-ऐ-करीम (सलाल्लाहू अलैहि वसल्लम) फरमाते है के, “सदका व खैरात मुसीबत के सत्तर (70) दरवाज़े बंद कर देता है” – (तबरानी कबीर, ६७२४) For more Islamic messages kindly download our Mobile App
Chipakar Sadqa karne ki Fazilat ... Chipakar Sadqa karne ki Fazilat Jo Banda Chipakar Sadqa Karta Hai Wo Qayamat Ke Din Allah Ke Saye me Hoga HADITH Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: "Jo shaks itne khufiya taur par sadqa karta hai ke us ke ulte haath ko bhi pata nahi chalta ke us ke seedhe haath ne kya diya hai (to wo Qayamat ke din Allah Ta'ala ke saye me hoga)." [ Sahih Bukhari 1423 ] AL-QURAN Allah Ta'ala Qur'an me farmata hain: "Agar tum Sadqe…
Insaan ke Badan ke har Jod par har Din ka Sadqa Waajib Insaan ke Badan ke Har Jod par har Din ka Sadqa Waajib Allah ke Rasool (ﷺ) farmate hain : "Insaan ke Badan ke har Jod par har us Din ka Sadqa Waajib hai Jismein Sooraj Tuloo hota hai. aur Logo ke Darmiyaan Insaaf karna bhi Ek Sadqa hai." 📕 Sahih Bukhari, Hadees : 2707
Sabse Zyada Izzat Wala woh hai jo ... Sabse Zyada Izzat Wala woh hai jo " Allah ke Nazdeek Sabse Zyada Izzat wala Woh hai Jo Sabse Zyada (Allah se) Darne wala hai." 📕 Quran, 49:13
Musalman Aapas Me Bhai-Bhai Hai ,... Allah Rabbul Izzat Quran-e-Kareem me Farmata Hai: ♥ Al-Quraan: "Beshaq Momin Aapas Me Bhai-Bhai Hai" - [Surah(49) Hujrat; Ayat-10] - Ek Riwayat Me Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai – ♥ Mafhoom-e-Hadees: “Momin Dusre Momin Ka Aaeena (Mirror) Hai, Aur Momin Dusre Momin Ka Bhai Hai. Jo Nuksaan Ko Uss Se Door Karta Hai Aur Uski Gair-Moujudgi Me Uski Hifazat Karta Hai”. – (Sunan Abu Dawud, Vol-3, Hadith no. 1486) # Subhan'Allah!! - - Kya Wakay me Aaj Hum Me…
Jahannum se Bacho Chahe Aadhe Khajur ka Sadqa hi kyu na ho Hadees of the Day Jahannum se Bacho Chahe Aadhe Khajur ka Sadqa hi kyu na ho Adi bin hatim (r.A) ne bayan kiya ki, Nabi-e-kareem (ﷺ) ne jahannam ka zikr kiya, Aur unse panah mangi aur chehre se e'araz wa naagwari ka ijahar kiya, Phir Aa'hajarat (ﷺ) ne jahannam ka zikr kiya, Aur us'se panah mangi aur chehre se e'araz wa naagwari ka ijahar kiya, shu'aba(r.A) ne bayan kiya ki do martaba Aa'hajarat (ﷺ) ke Jahannam se panah mangane ke…
Har Nek Kaam me Sadqa hai ... Hadees Of The Day Hadees: Har Nek Kaam me Sadqa hai … Abu’zar (R.A.) ne kaha ke,Rasool’Allah (ﷺ) ne Irshad farmaya ke - Apne Kisi (Musalman) Bhai ke Samney (Khushi se) tumhara Muskura dena ye bhi Sadqa hai.Aur kisi ko Acchi Baat ka Hukm Dena aur boori baat se rokna ye bhi Sadqa hai, Aur kisi Bhatke hue ko Rasta bata dena ye bhi Sadqa hai.Aur kisi Andhe ki Madad kar Dena ye bhi Sadqa hai, Aur Raste se Patthar…
Ramadan Day 28 | Namaz-e-Eid se pehle diya hua… Ramadan Hadees: Day 28 Namaz-e-Eid se pehle diya hua Sadqa-e-Fitr Qabool hua ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Ibn Abbas (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jisne Namaz-e-Eid se pehle Sadqa-e-Fitr ada kiya uskaSadqa maqbool hua, aur jo namaz ke baad ada kare touaam Sadqe mein se ek Sadqa hai." 📕 Sunan Ibn Majah 1827-Hasan