Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad farmaya –
“Saat (7) Halaaq (Barbad) Karne Wale Gunaahon Se Baccho”
Sahaba ne Arz kiya: “Ya RasoolAllah (ﷺ) ! Wo Kiya hai”?
Aap (ﷺ) ne farmaya –
∗ 1. Allah Ke Saath Shirk Karna. ∗ 2. Jadu Karna. ∗ 3. NaaHaq Kisi Ki Jaan Lena Jo Allah Ne Haraam Kiya Hai. ∗ 4. Sood Khana ∗ 5. Yateem Ka Maal Khana ∗ 6. Jung Ke Din Peeth Pherna (Yaani Ladayi Se Bhag Jana) ∗ 7. Paak Daaman Aurton Par Tohmat Lagana.”
Halala ka Nikah karne wale ka Gunaah (Halala karne… Halala ka Nikah karne wale ka GunaahHalala karne wale par Allah ki Lanat ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Halala aise Nikah ko kehte hai jisme koi aadmi 3 Talaq waali aurat se sirf Talaq ki niyat se Nikah aur Sohbat karta hai taaki woh Aurat pehle Shohar ke liye halal ho jaye. Yaani Galati Mard kare aur Saza Aurat bhugtey, ye kounsa deen hai ? agar aap tehkik karo tou Jaan jaoge ke ye Jahilo ki deyn hai. Halala Karna aur karwana…
Kisi Muslman ko Kafir na kaho warna kehne wale par… Kisi Muslman ko Kafir na kaho warna Hadees: Ibn Umar (R.A) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : "Jo Shakhs apney (Musalman) bhai ko Kafir keh kar pukare tou dono me se Ek par Kufr aa Jayega, Agar wo shakhs jisko usney pukara wo Kafir hai tou khair (Kufr uss par rahega) warna pukarney waley par laut aayega." 📕 Sahih Muslim, Vol 1, Hadees: 316 ✦ Sabaq: Yaad rahe ke kisi bhi Muslman ke koi Gairsharayi amal ko dekhkar…
Hadees: Mehngai ke intezar me cheezein jama karne ka gunaah Hadees: Mehngai ke intezar me cheezein jama karne ka gunaah Hadees: Ma'mar (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: ‟Jo Shakhs logon ki zaroorat ke waqt mehngaai ke intezaar me ziyada nafa kamane ki garz se cheeze jama kar ke rakhe to woh gunehgaar hai." 📕 Muslim, Hadees 4206
Munafiq ~ Jahannum ke sabse Nichley Gadhey me Rehne wale log Munafiq Ye Baat Hum sab Jantey hai ke, Jannatiyo ka Maqaam Bulandiyo par hai, Usi tarha Gunahgaro ke Azab ki Sakhtiya Jahannum Ki Gehrayion me hai. Lihaja jo Jitna Jyada Gunahgaar Uske Azab ki Shiddat bhi Utni Sakht,... Munafiqat kya hai aur Unhe Itni Sangeen Saza kyu? Allah ke Nazdeeq Shirk aur Kufr se bhi Jyada Sangeen Jurm Nifaq (Munafiqat) hai. Yaani koi Shakhs Jo Andar se Kafir-wa-Mushrik hai aur Logon ko Dikhane ke Liye Imaan ka Dawa Karey Ta'aki…
Allah Ta’ala se Qareeb karne wale Aamal Allah Ta’ala se Qareeb karne wale Aamal ۞ Hadees: Hazrate Samrah (R.A.) ne farmaya, Hum Darbaar-e-Nabuwat (ﷺ) me haazir they ke, Ek Shakhs haazir hua aur arz kiya “Ya Rasool'Allah (ﷺ) ! Allah Ta’ala ke Qareeb tar Aamal kya hain? ” Aap (ﷺ) ne farmaya “Sach Bolna aur Amanat ka Aada karna." Arz kiya gaya “Huzoor (ﷺ) Kuch aur Irshad farmaiye! ” Aap (ﷺ) ne farmaya :“Tahajjud ki Namaz aur Garmiyon ke Roze.” Phir Maine arz kiya “Huzoor (ﷺ) Kuch…
Shaitan ki Pairwi karne walo se bacho Shaitan ki Pairwi karne walo se bacho Allah Taala ka farman hai ke: "Jo Shakhs Shaitani Qadmo ki pairwi kare to Behayayi aur Burey kaamo ka hee hukm karega." 📕 Surah Noor 24:21
Waseeyat me Nainsafi karne wale ka khatama bura hota hai ♥ Al Quran: Bismillahi-r-Rahmani-r-Rahim "Allah Subhanahu Tumhari Aulad ke baare me tumko irshad farmata hai ki (Jaydad me) Ek Ladke ka hissa Do Ladkiyo ke barabar hai (yani ek bete ko jitna hissa diya jayega uska aadha hissa beti ko bhi dena jaruri hai)" - (Surah Nisa(4) Aayat 11) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se rivayat hai ki Rasool'Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaye: "Aadmi 70 Saal tak (yani zindagi bhar) Neik Aaamal karta rahta hai phir Waseeyat Ke…
Ghusse ko Qabu me Karne ka Nabvi Tarika (Gusse ko… ✦ Hadees: Gusse ko Qabu karne ki Dua ✦ Sulaiman bin Sard (R.A.) ne bayan kiya ki Main RasoolAllah (ﷺ) ki khidmat mein baitha hua tha aur qareeb hi do aadmi aapas mein Gaali Galoch kar rahe they ki ek shakhs ka munh surkh (laal) ho gaya aur gardan ki ragein phool gayeen. RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki mujhe ek aisa kalima maloom hai ki agar ye (koi bhi) Shakhs usko padh le to is ka gussa jata rahe ga.…
Acchi Tarah Wuzu se Gunaah Nikal Jaate hai Acchi Tarah Wuzu se Gunaah Nikal Jaate hai Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke - "Jo Shakhs Acchi Tarah Wuzu kare tou Uske Gunaah Badan se Nikal Jaate hai Yahan tak ki Naakhuno ke Neeche se bhi Nikal Jaate hai." 📕 Sahih Muslim, Hadees: 245
Tohfa de kar waapas lene wale ki Misaal Tohfa de kar waapas lene wale ki Misaal Ibne Abbas (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Hadiya (Tohfa) de kar waapas lene wala Uss Kutte ki tarha hai jo Qai (Vomit) kar ke fir se Chaat leta hai." 📕 Sahih al-Bukhari 2589📕 Sunan Ibn Majah 2476
Mutakabbir ka Anjam | Ghamand karne wale ko Qayamat me Azab Mutakabbir ka AnjamGhamand karne wale ko Qayamat me Azab Hadees: RasoolAllah (ﷺ) ne farmya "Qayamat ke din Mutakabbir (Ghamand karne wale) logo ko maidan e mahshar mein choti choti chiteeyon ki manind logo ki surton mai laya jayega innhen har jagah zillat dhanpe rehegi, Phir wo Jahannam ke ek aise Qaidkhane ki taraf hanke jayenge jiska naam Bulas hai, usme innhen Bhadakti huyee Aag ubalegi, Wo usme jahannamiyo ke zakhmo ke peep peeyenge jisko teenat Al Khabal kahte hain, yaani…
Allah ki Hidayat ko Chupane Wale par Lanat Allah ki Hidayat ko Chupane Wale par Lanat Hadees: Usman (R.A) ne Wuzu kiya tou Ek Shakhs se farmaya, "Main Tumko Ek Hadees Sunata hu agar Quraan Paak ki Ek Aayat (Nazil) na hoti tou Main ye Hadees Tumko na sunata ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Jab bhi koi Achchi tarah Wuzu karta hai aur Namaz parhta hai tou Uskey Ek Namaz se Dusri Namaz ke parhney tak ke Gunnah muaf kar diye Jaatey hain." 📕 Sahih Bukhari, Hadees:…
Qayamat ke Din Arsh e Ilaahi Ke Saaye Me Rehne Wale Log ♥ Mafhoom-e-Hadees: Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hain: "Qayamat Ke Din Teen(3) Shakhs Arsh-e-Ilaahi Ke Saaye Me Honge, Jis Din Ke Uss Ke Saaye Ke Siwa Koi Saaya Na Hoga. Sahaba (RaziAllahu Anhu) Ne Arz Kiya, "Ya Rasool'Allah! Wo KhushNaseeb Koun Hain ?". Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya: ∗1. Ek Wo Jis Ne Mere Kisi MusibatZadah Ummati Ki Pareshani Door Ki. ∗2. Duwwam Wo Jis Ne Meri Sunnat Ko Zinda Kiya. ∗3. Teesra Wo Shakhs Ke Jis…
Gunaah karna apne Nafs pe Zulm karna hai Gunaah karna Apne Nafs pe Zulm karna hai "Allah Tou Hargiz Bando Par Kuch Bhi Zulm Nahi Karta Magar Log Khud Apne Upar Zulm Kiya Karte Hai". 📕 Al-Quran; Surah Yunus 10:44
Gunaah se Sacchi Tauba karne ka Fayda Gunaah se Sacchi Tauba karne ka Fayda Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Gunaah se Sacchi Tauba karne wala us shakhs ki tarah ho jata hai jiska koi gunah nahi." 📕 Sunan Ibne Majah, Hadees: 4250 Hasan