Roze Qayamat koi Dost kisi Dost ke kaam nahi aayega

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

Beshaq faisle (qayamat) ka din, unn sab (ke uthne) ka waqt muqarrar hai, uss roz koi dost kisi dost ke kaam na aayega aur na unko koi madad milegi,

magar haan! jis par Allah reham farmaaye, woh zabardast meharbaan hai,

bila shuba thohad ka darakht gunaahgaar ka khana hai, tel ki talchhat ki tarah honge woh pait me aisa khaulega jis tarah garam paani khaulta hai, usko pakad lo, phir usko kheench kar dozakh ke bilkul beech me le jaao, phir uske sar par khaulta huwa paani undel do (ke Azaab par Azaab hai) ab maza chaklo.

Tu tou badi izzat waala tha, yeh wahi cheez hai jis ke baare me tum Shaq kiya karte they, bila shuba parhezgar log Aman-o-chain ke maqaam me honge yaani baaghon aur chashmon me.

Al-Quran: Sureh Ad-Dukhan 44:40-52

Rate this post

Leave a Reply

Related Posts: