4. Ramzan ka Umrah Hajj ke barabar sawab deta hai:
۞ Hadees: Hazrate Ibne Abbas (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki, Rasool’Allah (ﷺ) ne ek Ansari Sahabiya se farmaya “Ramzan Ke Mahine Me Umrah Karna Hajj Ke Barabar Hai.” [ Sunan Nasaii, Vol2, 21 – Sahih ]
Subhan’Allah! Gour karne wali baat hai ke Ramzan ka Umraah Hajj ke barabar sawab deta hai. lekin yaad rahe ye Hajj ko saaket nahi karta. Hajj ko Exceptional nahi kar deta ke Hajj ke badle ab hum Umrah hi karenge. aisa bilkul bhi nahi hai, lekin uske barabar ajar aur sawab deta hai.
Tou Allah Ta’ala ne jisko maalo doulat ke fazl se nawaza ho wo jarur is mahine me Umrah ki koshish karey.
5. Roza aur Quraan Sifarshi ban’ne wale hai:
Har shakhs chahta hai ke apne Aamal ke alawa bhi mai kuch aisa karu zindagi me ki meri Shifarish ho Qayamat ke din. Fir chahe Nabi ki Shifarish ho, Chahe Sahaba ki Sifarish ho, Chahe Allah ke Waliyo ki Sifarish ho. har Shakhs apne liye Allah ko Razi karne ki Sifarish ki Jeddo Jehad me laga rehta hai.
Aayiye ek Jayaz Sifarish par gour karte hai.
۞ Hadees: me aata hai ke RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) farmatey hai ke “Qayamat ke din Roza aur Quraan sifarish karnege uspe amal karnewale ke haq me.” aur Roza aakar kahega ke “Aye Allah ! ye Shakhs meri Khaatir Khane-Piney se aur Shehwat se rukta raha. lihaja meri sifarish iskey haq me kabool kar.” aur Aap (Sallallahu alaihay wasallam) ne aagey farmaya ke: “iski sifarish qabool hogi.”
Aur Quraan aa kar Allah se sifarish karega ke “Aye Allah! ye banda mere liye Raato me jaagta raha (Qayamulil yaani Raato ki Namaz me Tilwat-e-Quran karta raha). lihaja meri sifarish iskey haq me qabool kar…”
Aur Aap (ﷺ) aagey farmatey hai ke “iski bhi sifarish qabool ki jayegi, dono ki sifarish qabool ki jayegi.” [Musnade Ahmad, Tibrani]
Tou Roza Sifarashi hai, khushu aur khuju ke sath, tamam fitno se khudke Nafs ko bachatey huye, jaisa iska haq hai agar waisa isko hum rakhenge tou ‘in sha Allah ul Azeez’ hum Roze ke Sifarish ke Mustahiq ho jayenge.
♥ in sha Allah ul azeez! Allah Ta’ala Hume kehne Sun’ne se jyada amal ki taufiq dey.
To be Continued …