Ramzan ke Aakhri Ashrey me Jyada Ibadat ki Ahmiyat
Hadees: Umme Aayesha (R.A) se riwayat hai ki:
“Jab (Ramazan ka) Aakhri ashra aata tou Nabi (ﷺ) apna tehband mazboot baandh letey (yaani ibadat ke liye apni kamar kas letey) aur un raaton me Aap (ﷺ) khud bhi jagtey aur apne ghar walon ko bhi jagaya karte they.”
📕 Sahih Al Bukhari , Vol 3, Hadith 2024
Ramazan ki Raato me Qayam ki Fazilat:
Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai Ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya “Jisne Ramazan Ki Raato me Imaan Aur Sawab Ki Niyat Ke Saath Namaz Padhi Uss ke Pichle Tamam Gunaah Muaaf Ho Jayenge“
📕 Sahih Al Bukhari, Vol 3, Hadith 2009
Nabi (ﷺ) ki Aakhri Ashre me Qayam Al Lail (Tahajjud) ki Namaz:
Hadees: Abu Zarr (R.A) se riwayat hai ki, Humne RasoolAllah (ﷺ) ke Saath Ramzan ke Roze Rakhe Unhone hum ko 23 Raat tak Qayam Al Lail Ki Namaz nahi padhayi, phir 23 Raat ko ek Tihayi Raat tak Namaz padhate rahe, Phir 24 Raat ko Namaz nahi Padhayi aur Phir 25 Raat ko Aadhi Raat tak Namaz padhate rahe.
Maine Arz kiya ki “Ya RasoolAllah (ﷺ) Kaash Aap baqi Raat me bhi Humare saath isi tarah Namaz ada farmate.”
Aap (ﷺ) ne Irshad farmaya: “Jo Shakhs Imam ke saath (Qayma me) khada ho aur Uss ke Farig hone tak saath rahe usko puri raat Qayam Al Lail (sari raat Namaz padhne) ka Sawab milta hai aur uske baad RasoolAllah (ﷺ) ne 27 Raat ko Apne Ahal O Ayal aur Ajwaz-e-Mutahharat (Ghar walo) ko bhi jama kar ke Namaz ada farmayi, Yaha tak ki Humko falah ke Nikal jane ka khatra maloom huwa, Pucha ki falah kya hai tou farmaya Sehri.”
📕 Sunan Nasaii, Jild 1, Hadith 1608-Sahih
📕 Kitab Qayam Al Lail / Tahajjud
Lailatul Qadr ki Dua (Shab-e-Qadr ki Dua)
Hadees: Ummul Mu’minin Hazrat Ayesha (R.A) ne farmaya,
“Ya RasoolAllah (ﷺ) Agar Mujhe Shab-e-Qadr Mil jaye tou kya Dua karu?”
Tou Aap (ﷺ) ne farmaya:
Kaho “Allahumma Innaka Afuwwun Tuhibbul-Afwa, F’afu Anni”
Ya Allah Tu Muaf Karne Wala Hai Aur Muaf Karne Ko Pasand Karta Hai Isliye Mujhe Muaf Farma
📕 Sunan Ibn Majah, Vol 3, Hadith 731-Sahih
📕 Jamia Tirmizi , Hadees 3513
Note: Is hadees se ye maloom hua ke Lailatul Qadar jo ramazan ke aakhri ashre ki taaq raato me se hoti hai, us me ye dua padhna chahiye, Aur zyada se zyada ibadat kar ke apne RABB ko raazi karne ki koshish karna chahiye aur apne RABB se apne gunaaho ki maghfirat talab karna chahiye, ALLAH ham sab ko lailatul qadr ki ba-barkat raato me kasrat se ibadat karne ki taufeeq de aur ham sab ke gunaah muaf kar ke hame jannatul firdaus me maqam ata farmaye…Aameen
Hadees: RasoollAllah (ﷺ) ne farmaya:
“Mera Paigham logon tak pahuchao chahe ek hi Aayat kyu na ho.”