Paanch (5) Azeem Nekiyon Ka Hukm ….

♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshaad Farmaya –
“Kaun Hai Jo Mujhse Ye Baate Sikhey, Phir Unpar Amal Kare Ya Unn Logo Ko Sikhaye Jo Unpar Amal Kare”?

*Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Farmate Hain Ki, Maine Arz Kiya: “Ya Rasool’Allah ! Mai Tayyar Hoon”.
Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Mera Haath Apne Mubarak Haath Me Le Liya
Aur Gin Kar Ye Paanch (5) Baate Irshaad Farmayi ,…
∗(1) Haraam Se Bacho ! Tum Sabse Bade Ibadat Guzaar Ban Jaoge.
∗(2) Allah Ne Jo Kuch Tumhe Diya Hai Us Par Raazi Raho Tum Sabse Badey Ghani Ban Jaoge.
∗(3) Apne Padosi Ke Saath Acha Sulook Karo Tum Momin Ban Jaoge.
∗(4) Jo Apne Liye Pasand Karte Ho Wahi Dusro Ke Liye Bhi Pasand Karo, Tum (Kaamil) Musalmaan Ban Jaoge.
∗(5) Zyada Hasaa Na Karo, Kyunki Zyada Hansna Dil Ko Murda Kar Deta Hai.

(Tirmizi Sharif)

♥ Subhan’Allah !!!
Allah Rabbul Izzat hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal ki Taufik Dey ,.. Ameen ..

5/5 - (1 vote)

Leave a Comment