♠ Mafhoom-e-Hadees: Abu Zar Aur Muaz Bin Jabal (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke,
Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ke –
“Jahaa Bhi Raho Allah Ta’ala Se Dartey Raho Aur Gunaah Ke Baad Neki Ker Liya Karo
Ke Wo Neki Iss Gunaah Ko Meeta Degi Aur Logo Ke Saat Husn-e-Akhlaq Se Pesh Aao”.
– (Tirmizi Shareef)
# Sabaq: Gunaah Ke Baad Neki Karne Se Murad Hai Ke
Koi Gunaah Humse Jane-Anjane Me Ho Jaye Tou
Usey Kisi Neki Ke Sabab (Wasile Se) Apne Rab Se Istigfar Wa Toubah Karte rahe ,.