Allah ke Qalaam ki Pairwi karo Allah ke Qalaam ki Pairwi karo ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Aye Nabi (ﷺ) ! Keh do ke Logon Mai Tum Sab ki taraf Allah ka bheja hua Hoon Yaani Uss ka Rasool Hoon. Wo Jo Aasmano aur Zameen ka Baadshah hai. Uss ke Siwa koi Mabood nahi Wohi Zindagani Bakhashta hai aur Wo Hi Mout deta hai. Tou Allah par aur Uss ke Rasool Paigambar Ummi par Jo Allah par aur Uss ke Tamaam Qalaam par Emaan Rakhte hai Emaan Laao…
Namaz ka tark karna Kufr ka Elaan hai - Namaz… ✦ Hadith: Jaabir (R.A) riwayat karte hain ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Aadmi aur Shirk o Kufr ke darmiyan fark karne wali cheez Namaz hai.’ (Muslim: al Eman 82) Is ka mtalab ye hai ke Islam aur Kufr ke darmiyan Namaz deewaar ki tarha hai. Doosre lafzo’n me namaz ka tark(chorna) Musalman ko Kufr tak paho’nchane wala amal hai. ✦ Hadith: Bareeda (R.A) riwaayat karte hain ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Humare aur Munafiqo’n ke darmiyan ahad namaz hai. Jis…
Panch Waqt ki Namaz ke Fayde | Namaz ki fazilat… Panch Waqt ki Namaz ke Fayde, Namaz ki fazilat hadees, panch baar nehar me nahane ke barabar. Panch Waqt ki Namaz ke Fayde Hadees in Roman English ۞ Hadees: Abu hurairah (R.A) se rivayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Agar kisi shakhs ke darwaze par ek nahar jari ho aur wo roz usmein paanch baar nahaye to tumhara kya guman hai kya uske badan par kuch bhi mail baqi rahega, Sahaba (R.A) ne arz kiya Nahi koi mail baqi nahi…
Tumhare RAB ne farmaya hai ki Mujhse Dua karo ♥ Bismillahi-r-Rahmani-r-Rahim ♥ "Aur tumhare RAB ne farmaya hai ki Mujhse Dua karo Main tumhari Dua Qubul karunga." - Al-Quran 40:60 ♥ Mafhoom-e-Hadees: Thabit (RaziAllahu Anhu) se rivayat hai ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: "Tum me se har shakhs ko chahiye ki wo apni tamam hajatein apne RABB se hi maange, yaha tak ki namak bhi us se maange, aur agar jute ka tasma (less) bhi tut jaye tou wo bhi usee se maange.." - Jamia tirimizi, Jild…
Deen e Islam par Qayam rahne ki dua ♥ Mafhoom-e-Hadees: Shahr bin Hawshab (R.A.) se riwayat hai ki maine Umm Salma (R.A.) se pucha ki "Aye Ummul Momeenin! RasoolAllah (ﷺ) aapke pass jab rahte to aksar kaunsi Dua kiya karte they ? Unhone jawab diya - "Ya Muqallib Qulub thabbit Qalbi Ala Deenak" (Aye Dilo ko pherne wale(Allah) mere Dil ko tere deen par qayam rakh) Phir farmane lagi ki maine Rasool'Allah (ﷺ) se arz kiya ki aap aksar yahi dua kyu kiya karte hain ? ,. Aap…
Hadees: Jhooth se bacho, jhooth Gunah tak le jata hai Jhooth se bacho, jhooth Gunah tak le jata hai Hadees: Abdullah bin Masood (R.A) se riwayat hai ke,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ‟Jhooth se bacho, isliye ke jhooth Gunah tak le jata hai aur Gunah Jahannum tak le jata hai." 📕 Muslim, Hadees 6805
Ek Jumah Dusre Jumah Tak ke Gunahon ka Kaffara hai Ek Jummah Dusre Jumah Tak ke Gunahon ka Kaffara hai Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: “Ek Jummah Dusre Jumuah tak ke Gunahon ka Kaffara hai Jab tak Kabeera Gunahon ka Irtikaab na kiya jaye.” 📕 Ibn Maaja, Hadees: 1086 (Sahih)
Mangne wale ko jhidka na karo (Agar ho tou do warna… ♥ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ♥ ‟ Mangne wale ko jhidka na karo (Agar ho tou do warna bhali baat kaho). ‟ मांगने वाले को झिड़का न करो (अगर हो तो दे दो वरना भली बात कहो)। ‟ मांगण्याराला हाकळवु नका (होत असेल तर द्या अथवा चांगले शब्द बोला). ‟ And do not rebuke the beggar. - (Al-Quran; Surah Zuha 93:10)
Har Shakhs ke sath Bhalayi karo ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Har Shakhs ke sath Bhalayi karo ❝ Tum hargiz Bhalai ko na pohochoge jab tak apni pyari cheez Allah ki raah me kharch na karoge. ❞ 📕 Al-Quran; Surah: Aale-Imran 3:92 “Jo Bhalayi ki Sifarish karega wo Uss me se Hissa(Sawaab) Payega aur Jo Burayi ki Sifarish karega wo Uss me se Hissa (Sazaa) Ppayega”. 📕 Surah Nisa 4:85 RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya -"Meri Sifarish ka fayda har Uss Shakhs ko pahunchega Jo Shirk se bach bachakar…
Maa Baap Par Laanat Karne Se Bacha Karo .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Irshad Farmate Hai - "Gunaho Me Se Bada Gunaah Yeh Hai Ki Aadmi Apne Maa-Baap Par Lanat Kare, Logon Ne Kaha - 'Aye Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ! Bhala Kaun Apne Maa Baap Par Lanat Karega ?' *Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Matlab Ki, 'Ek Shakhs Dusre Ke Baap Ko Gaali De! Aisa Hai Ki Woh Apne Baap Ko Gaali De, Aur Dusre Ki Maa Ko Gaali De! Aisa He…
Uski 40 Raaton tak Namaz Qabool nahi hogi Uski 40 Raaton tak Namaz Qabool nahi hogi Hadees: RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki: "Jo Shakhs kisi Ghaib ki khabrein sunaane waale ke paas aaye aur us se kisi cheez ke baare me puche to 40 Raaton tak uss shakhs ki Namaz Qabool nahi hoti." 📕 Sahih Muslim; Hadees 2230 (5821)
Achchi Baaton Ka Hukm Do Magar Khud Bhi Amal Karo ♥ Mafhoom-e-Hadees: Usama Bin Zaid (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya "Qayamat Ke Din Ek Shakhs Laya Jayega Phir Wo Jahannum Me Dala Jayega Uske Pait Ki Aantein (Intestine) Bahar Nikal Aayegi, Wo Unko Liye Huye Gadhey Ki Tarah Jo Chakki Peesta Hai Chakkar Lagayega Aur Jahannum Waley Uskey Paas Ekaththey Hongey Uss Sey Puchengey 'Ki Aye Falah! Kya Tu Achchi Baat Ka Hukm Nahi Karta Tha Aur Buri Baat Se Manaa Nahi Karta…
Behtareen Amal: Sila Rehmi karo aur Muaf kiya karo Behtareen Amal: Sila Rehmi karo aur Muaf kiya karo Hadeese Nabwi ﷺ Aqbaa bin Aamir (R.A) Kehte hain Ki, Mai RasoolAllah (ﷺ) ki Baargaah me Hazir hua aur Aap ka Mubarak Haath Thamkar Arz kiya:"Ya RasoolAllah (ﷺ) ! Mujhe Behtareen Amaal Bataaiye." Aap (ﷺ) ne farmaaya: "Aqbaa!∗ 1. Qata-e-Taalluk Ke Karne Wale (Tumse Rishta Todne Wale) Se Sila Rahmi Karo,∗ 2. Jo Tumhe Mehroom Kare Usey Ataa Karo.∗ 3. Jo Tum Par Zulm Kare Usey Muaf Kar Do." 📕 Mukashifat-ul-Quloob,…
Namaz-e-Asar ki Ahmiyat: Jiski Namaz Asar Qaza Ho Gayee Uska Jiski Namaz Asar Qaza Ho Gayee Uska Hadees: Abdullah Bin Umar (R.A) se riwayat hai ki - RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Jiski Namaz-e-Asar Qaza ho Gayee (Yaani nahi padi Uski Misaal aisi hai ke) Uska Ghar aur Maal Sab Loot gaya." 📕 Sahih Bukhari, Namaz Ke Waqton Ka Bayan: Hadees 553