Muaf Karne se Allah Taala Bande ki Izzat me ijafa karta hai
۞ Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya :
“Sadqe ne maal me kabhi koi kami nahi ki aur Muaf Karne se Allah Subhanahu Bande ko Izzat hi me badhata hai aur jo shakhs sirf Allah Subhanahu ki khatir Aajizi ikhtiyar karta hai to Allah Subhanahu uska Maqam buland Kar deta hai.”
Allah Taala ki Aayatein Momino ke Iman ko badha Allah Taala ki Aayatein Momino ke Iman ko badha deti hai Allah Taala farmata hai: "Jab Allah Taala ki Aayatein un Imanwalo ko padh kar sunayi jaati hai tou wo Aayatein un ke iman ko aur badha deti hai." 📕 Quran, 8:2
Allah apne Bando ki koi Fariyad Radd nahi karta: Hadees Allah apne Bando ki koi Fariyad Radd nahi karta Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: "Tumhara Rab bahuth Ba'haya aur Kareem hai, jab uska banda uske Saamne apne dono haath Uthata hai tou Unhen khali Lautate huye Usey apne bande se haya Aati hai." 📕 Sunan Abu Dawud, Hadees 1488-Sahih WAJAHAT: Iss Aahadees me Haya se murad Allah Apne bando ki koi bhi fariyad (Dua) zaya nahi karta, jiske talluk se ek aur riwayat me aata hai ke - Hadees: Allah…
Allah ka Zikr karne wala Zinda aur na karne wala Murda hai Zinda aur Murda ki Misaal Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ka farman hai: "Us Shakhs ki Misaal Jo Apne Rabb ko Yaad Karta hai aur Uski Misaal Jo Apne Rabb ko Yaad nahi karta ZINDA aur MURDA Jaisi hai." 📕 Sahih Bukhari, Hadees: 6407
Namaz kisi bhi Haal mein Muaf nahi Namaz kisi bhi Haal mein Muaf nahi Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: “Khade ho kar Namaz padha karo, Agar Uski bhi Taaqat na ho to Baith kar aur Agar uski bhi na ho to Pehlu ke Bal Let kar padh lo.” 📕 Sahih Bukhari, Hadees: 1117
Shaitan aadmi ke andar khoon ki tarha gardish karta… Shaitan Aadmi me khoon ki tarha gardish karta rehta hai Hadees: Jabir (R.A) se riwayat hai ke,Allah Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Aisi Auratoun ke paas naa jao jin ke Mahram unke saath naa ho kyun ke Shaitan aadmi ke andar khoon ki tarha gardish karta rehta hai." 📕 Jami` at-Tirmidhi, Hadees 1172
Insan Uske Sath Jis se wo Mohabbat karta hai Ek Ansari Sahabi Jinka chehra bada Ghamjada tha, Woh RasoolAllah (ﷺ) ke Paas Aaye, RasoolAllah (ﷺ) ne Unki Pareshani ka Sabab Pucha. Tou Unhone Kaha "Aye Allah ke Rasool(ﷺ)! Ek Gham Mujhe khaye ja raha hai, ke Mai yeh Sochta hu ke Aaj Dunia me Aapka Chehra Mubarak dekhey bagair Hum reh nahi patey, chalte aur phirtey, uthtey aur baithtey jab bhi aapki yaad aati, Aapse aa kar Hum mil letey, aapka didaar karte aur hume Sukun milta hai. lekin…
Qarzdar ko mohlat do ya Qarz muaf kar do Hadees of the Day Tangdast ko Muaf kar diya karo Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki,Nabi-e-Kareem ((ﷺ) ne farmaya - "Ek shakhs (zamane-e-guzistah me) logo ko Udhaar(Qarz) diya karta tha, woh apne ghulaam ko kaha karta kisi tangdast madiun(Karz lene wale) ke paas jana, usko muaf kar dena, uss ummid par ki Allah hum ko muaf kar de, jab uska inteqal ho gaya tou Allah Ta'ala ne usko muaf kar diya." 📕 Sahih Bukhari, Hadees 3480 Qarzdar ko mohlat…
Allah Taala Gaali galoch Karnewalo ko Pasand nahi… Gaali Galoch karna kaisa? Hadees: Jabir bin Abdullah (R.A) se riwayat hai ke,RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad farmaya: “Allah Ta’ala Gaali galoch Karnewalo ko Pasand nahi karta.” 📕 Al Adab al Mufrad, Hadees 310
Hadith: Allah Taala ke Nazdeek sab se ziyada… Hadith: 6-April: Anas (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ‟Allah Taala ke Nazdeek sab se ziyada pasandida shakhs woh hai jo us ki ayaal (makhlooq) ko ziyada nafa pohchaye. -Shoaib Ul Iman 7445
Behtareen Amal: Sila Rehmi karo aur Muaf kiya karo Behtareen Amal: Sila Rehmi karo aur Muaf kiya karo Hadeese Nabwi ﷺ Aqbaa bin Aamir (R.A) Kehte hain Ki, Mai RasoolAllah (ﷺ) ki Baargaah me Hazir hua aur Aap ka Mubarak Haath Thamkar Arz kiya:"Ya RasoolAllah (ﷺ) ! Mujhe Behtareen Amaal Bataaiye." Aap (ﷺ) ne farmaaya: "Aqbaa!∗ 1. Qata-e-Taalluk Ke Karne Wale (Tumse Rishta Todne Wale) Se Sila Rahmi Karo,∗ 2. Jo Tumhe Mehroom Kare Usey Ataa Karo.∗ 3. Jo Tum Par Zulm Kare Usey Muaf Kar Do." 📕 Mukashifat-ul-Quloob,…
Jab Banda koi Nek Amal pabandi se karta rehta hai ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Musa (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, wo kehte hain maine Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ko ek ya do baar hi nahi balke mutaddad baar ye kehte huye suna Ke: "Jab banda koi Nek Amal (pabandi se) kar raha ho, phir koi Bimari ya safar usey mashgool kar de jis ki wajha se usey wo na kar sake, to bhi uske liye itna hi sawab likha jata hai jitna ke uske tandrust aur muqeem hone ki soorat…
Jis Bande ko Nek Biwi Mil Jaye ♥ Mafhoom-e-Hadees: Anas bin Malik (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya - "Allah Ta'ala Ne Jise Nek Bibi Ata Ki, Usey Islam Ka Aadha Hissa Qayem Karne Me Madad Ki Hai, Baaki Aadhe Hisse Ke Liye Use Chahiye Ke Wo Allah Se Dare (Yaani Taqwa/Parhezgari Ikhtiyar Karey),.." - Mustadraq Al Haqim , Hadees 2681 - Tabrani Awsat , Hadees 985 - Baihaqi Shu'abul Imaan , Haddes 5101 - Mazma'ul Zawayed , Hadees 7434…
Momino ki Misaal ek dusrey par Reham karne, Dosti… Hadees of the Day Momino ki Misaal ek dusrey par Reham wali hoti hai No’man bin Bashir (R.A) riwayat karte hai ki,Huzoor Nabi-e-Akram (ﷺ) ne farmaya: "Momineen ki Misaal ek dusrey par Reham karne, Dosti rakhne aur Shafqat ka mujahira karne me ek Jism ki tarah hai, chunanche jab Jism ke kisi bhi hisse ko takleef pahunchti hai tou saara jism bekhwaabi wa bukhaar me us ka shareeq hota hai." Muttafaque Alayh – Bukhari As-Sahih, 05/2238, Raqam-5665, Muslim As-Sahih, 04/1999, Raqam-2586 Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 04/270…