Qarz ke Ada Kiye Bagair Momin Jannat me Dakhil Na hoga ✦ Hadees: Qarz ke Ada Kiye Bagair Momin Jannat me Dakhil Na hoga ♥ Mafhoom-e-Hadees: Muhammad bin jahsh (R.A.) farmate hain ki hum Rasool'Allah ﷺ ke paas baithey hue they, Aap ne apna Sir Aasman ki taraf uthaya, phir haath apni peshani par rakha, phir farmaya: "Subhan Allah! kitni sakhti nazil hui hai? " hum log khamosh rahe aur dar gaye, jab dusra din huwa to maine Aap se poocha: "Allah ke Rasool! woh kya sakhti hai jo nazil hui…
Ramadan Day 5 : Ramzan me Jannat ke Darwaze khol diye jatey 05th Ramzan Hadith : ❝ Ramzan ke Mahine me Jannat ke Darwaze khol diye jatey hai, Jahannum ke darwaze band kar diye jatey hai aur tamam Sirkash Jinn aur Shayateen Qaid kar liye jaatey hai.❞📕 Ṣahih al-Bukhari 1800
Nek Bando ke liye Jannat ki Nematen Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke: Allah Taala farmata hai: "Maine Apne Nek Bandon ke Liye (Jannat mein) Woh Cheezein Tayyar kar Rakhi hain Jinhein kisi Aankh ne dekha na kisi Kaan ne Suna aur na kisi ke Gumaan mein Woh aayi hain." 📕 Sahih Bukhari, Hadees: 4779
Jisne Farz Namazo ke alawa Din Raat me 12 rakat ada… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Ummul Momineen Umm Habiba (RaziAllahu Anha) se Rivayat hai ki RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: "Jisne Raat Din me 12 Rakat (Sunnat) Namaz ada ki uske liye Jannat me ek Ghar banaya jayega, Umme Habiba (RaziAllahu Anha) ne kaha ki jab se maine ye Hadees RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se Suni, maine uske baad se un 12 rakato ko kabhi nahi chodha..." - (Sahih Muslim, Vol 1, 1694) ✦ Ulema-e-Deen ke hisab se Wo 12 Rakat Sunnat…
Jo Shakhs Shab e Qadr ki Raat se Mehroom Raha woh ... ۞ Hadees about Shab e Qadr ki Raat: Allah ke Nabi (ﷺ) ne farmaya: "Jo Shakhs Is (Shab-e-Qadr ki) Raat se Mehroom raha woh har tarah ki Khair aur Barkat se Mehroom raha." 📕 Ibne Majah : 1644-Sahih
Qarz ki Adayegi se Muhh na phero Qarz ki Adayegi se Muhh na phero Hadees: RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Jo Logon ka Maal Qarz ke taur par ada karne ke Niyat se leta hai tou Allah Ta'ala bhi uski taraf se ada karega aur Jo koi tabah(waste) karne ki (yaani na dene ki) Niyat se le tou Allah Ta'ala bhi usko tabah kar dega." 📕 Sahih Bukhari: Hadees 2387
Al-Quran: Aye Nabi (ﷺ)! Aap mere (Momin) bando se… Wahi baat kaha kare jo behtareen ho ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Taala Quraan me farmata hai: "Aye Nabi (ﷺ)! Aap mere (Momin) bando se keh dijiye ke wahi baat kaha kare jo behtareen ho." 📕 Surah Bani Israeel 17:53
Momin Apne Acchey Akhlaq Ki Wajah Se Bada Martaba Pa… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne Farmaya: “Momin Apne Acchey Akhlaq Ki Wajah Se Unn Logon Jaisa Martaba Paa Leta Hai Jo Raaton Ko Ibadat Karte Hai Aur Din Ko Roze Rakhte Hai.” - (Sahih Mustadrak Haakim, 198) ♥ मफहूम-ऐ-हदीस: अल्लाह के रसूल (सलाल्लाहू अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया: “मोमिन अपने अच्छे अखलाख की वजह से उन लोगो जैसा मर्तबा पा लेता है जो रातों को इबादत करते है और दिन को रोज़े रखते है.” - (सही मुस्तदरक हाकिम, 198)…
Bagair Majboori Qarz lene se bacho Bagair Majboori Qarz lene se bacho ۞ Hadees: Anas (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmate hai ke "(Bagair majboori ke) Qarz lene se bacho, is liye ke Qarz raat mein ranj wa Gham aur din mein Zillat wa Ruswaayi ka Sabab hai." 📕 Shoaib Ul Iman; Hadees: 5554
Kya tum ye Khayal Karte ho ke Aise hi Jannat me Chale Jaoge? Allah ki Madad Qareeb hai "Kya tum ye Khayal Karte ho ke Aise hi Jannat me Chale Jaoge ? halaan ke ab tak tum par wo halat nahi aaye jo tumse pehle logo par aaye they,Unhe Bimariyan aur Musibato ne is tarah gher liya ke, yaha tak ke Wakt ke Rasool aur unke Sath wale Neik log pukaar uthey ke "Allah ki madad kab aayegi ?"(phir unhe tasalli di gayi ke) Haa! Allah ki Madad Karib hai." 📕 Al Quran…
Qarz Dene ke Fazail aur Wapas na Lautane ka Anjam by… https://www.youtube.com/watch?v=pqugfgN5nAM Qarz wapis na karne ki saza Islam me Qarz Dene ka hukm, qarz dene ka sawab kya hai, iski Fazilat kya hai aur isey Wapas na Lautane ka Anjam kya ho sakta hai iske bare me tafseeli jankari ke liye is Bayan ka Mutala kare aur isey jyada se jyada share karne me humara tawoon kare,. jazakAllahu khairan kaseera. People also Search: Karz, Islamic Banking, Debt Consolidation Loan, Loan Quotes, Hadis about Karz, Karz Khatam Karne Ki Dua, Karz…
Momin tou Aise hotey hai, Jab Allah ka Zikr Aata hai… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Sacche Momin ki Pahchan Allah Taala Quran-e-Majid me farmata hai: "Momin tou aise hotey hai, Jab Allah ka Zikr aata hai tou Unke Dil hil jaate hai, aur Jab Allah ki Aayat unke Saamne padkar sunaayi jaati hai tou wo Aayat unke Imaan ko aur Zyaada kar deti hai, aur wo Allah par Poora Bharosa karte hai. Jo Namaz ki Paabandi karte hai, aur jo kuch Hamne(Allah) Unko diya hai Uss me se Kharch karte hai, Pas…
Mashallah
Allah paak har musalmano ko Hifazat farma Ameen