Jannat ki Basharat in 6 halaton me agar Mout aajaye tou …

Hadith: Jo bhi Musalman in 6 halaton mein se kisi bhi ek halat mai faut hua (mout aayi) to uske liye Jannat ki Basharat hai

RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya “6 Halatein aisee hain jo bhi Musalman inme se kisi bhi halat mein faut hua (yaani mar gaya) toh Allah Subhanahu par zimma hai ke wo usko jannat mai dakhil kare.”

1. Wo Shakhs jo Jihad karne ke liye nikla agar ussi is halat mai faut ho gaya toh Allah ke zimme mein hai.

2. Wo Shakhs jo kisi janaze ke sath chala agar wo ussi halat main faut ho gaya toh Allah ka zimme mein hai.

3. Wo Shakhs jisne kisi Mareez ki Ayadat ki agar wo ussi halat main faut ho gaya to wo Allah ke zimme mein hai .

4. Wo jisne achchi tarha wazu kiya phir namaz padhne ke liye masjid ki taraf chala agar wo ussi halat mai faut hua toh wo Allah ke zimme mein hai.

5. Wo Shakhs jo Muslamano ke ameer (imam) ke paas sirf uski madad aur izzat ke liye aaya aur ussi halat mein faut ho gaya tou ye Allah ke zimme mein hai.

6. Wo Shakhs jo apne Ghar me hai kisi Musalman ki Gheebat nahi karta, naa un par Narazgi ka izhar karta hai aur na Gusse ka agar wo Faut ho gaya toh Allah ke zimme mein hai.

Ref: Al-Silsila-As-Sahiha-618

Leave a Reply