Mayyat Ka Shog(Gham) : Matam Karne Se Mana Farmaya ….

♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Zainab Bint Hajash (RaziAllahu Anha) Ke Bhai Ka Inteqal Ho Gaya. Teen Din Ke Baad Unhone Khushboo Mangwaee Aur Usko Lagaya. Phir Kaha Mujhe Khushboo Ki Zaroorat Nahi Thi Magar Maine “Rasool’Allah (Sallallaho Alaihi Wasallam) Se Suna Ke Jo Aurat Aur Mard Allah Ta’ala Aur Qayamat Par Emaan Rakhta Ho Uske Liye Halaal Nahi Ke Teen Din Se Ziyadah Kisi Mayyat Par Shog Karey’ Siwaye Shohar Ke Jiska Sog 4 Mah(Month) 10 Din Hai.”
– (Bukhari ‘ Al’janaez Baab Al’shiyaab Al’baid Ul Kafan’ Hadees : 1264 ‘ 1271′ 1272′ 1273’ 1287) – @[156344474474186:]

» Agar Mayyat Ko Dekh Kar Rona Aaye Aur Aansu Jaari Hon Tou Manaa Nahi, Isliye Ke Yeh Be-Ikhtiyar Rona Hai Jo Jayez Hai.
♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallaho Alaihi Wasallam) Ne Farmaya –
“Allah Ta’ala Aankh Ke Rone Rone Aur Dil Ke Pareshan Hone Ki Wajah Se Azaab Nahi Hota Balki Zuban Ke Chillane Aur Wa’waila Karne Se Azaab Hota Hai”.
– (Bukhari’ Al’janez’ Baab Al’baka’a Indal Mareeda’ Hadees :1304′ Wa Muslim’ Al’janaez’ Baab Al’baka’a Alal May’yati’ Hadees:924)

♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Abdullah Bin Masood (RaziAllah Anhu) Riwayat Karte Hain Ke Rasool’Allah (Sallallaho Alaihi Wasallam) Ne Farmaya –
“Woh Hum Me Se Nahi Hai Jo Rukhsaar Peete’ Girebaan Phadhe Aur Jahiliyat Ki Pukaar Pukare”. (Yaani Noha Aur Wa’waila Kare).
– (Bukhari’ Al’janaez ‘ Baab Lais Mana’min Shqaul’joyub’ Hadees :1294,1297,1298)

♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Abu Malik Ashari (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki Rasool’Aallah (Sallallaho Alaihi Wasallam) Ne Farmaya –
“Noha (Matam) Karna Jahiliyat Ka Kaam Hai, Aur Noha Karne Waali Agar Bina Taubah Ke Mar Jaye Tou Allah Ta’ala Usko Tarkol Ka Libas Aur Dozakh Ke Sholo Ka Kurta Pahnayega”.
(Sunan Ibn Majah, Vol 1, H-1581 Hasan)

♥ Mafhoom-e-Hadees: Jarir Ne Farmaya Ki Sahabi Muawiyah (RaziAllahu Anhu) Ne Apne Khutbe Me Kaha Ki, “Rasool’Aallah (Sallallaho Alaihi Wasallam) Ne Noha Karne Se Mana Farmaya Hai”.
(Sunan Ibn Majah, Vol 1, H-1580 Sahih)

♥ Mafhoom-e-Hadees: Umma Atiyyah (RaziAllah Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
“Rasool’Allah (Sallallaho Alaihi Wasallam) Ne Hume Noha (Matam) Karne Se Mana Farmaya Hai”.
(Sunan Abu Dawud, Vol 2, H-1350 Sahih)

» Sabab : Huzoor (Sallallaho Alahi Wasallam) Ne Noha’ Matam Aur Baen Karna(Aawaz Ke Saath Chilla Kar Rona) Maamnu Yani Mana Farmaya Hai Aur Ba’ase Azaab Hai.

» Dua: Aye Allah! Tamaam Musalmano Ko Deen-e-Islam Ki Samajh Ata Farma Aur Nabi-e-Paak (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Sunnaton Par Amal Ki Toufik Ata Farma (Aameen Ya Rabbul Aalameen).

Rate this post

Leave a Reply

Related Posts: