Maal kaha se kamaya aur kaha kharch kiya?
Hadees: Abu Barza (R.A) se riwayat hai ki,
Rasool’Allah (ﷺ) ne irshaad farmaya –
‟Qayamat ke Din insan ke dono qadam uss waqt tak (Hisaab ki Jagah se) nahi hatt sakte, jab tak uss se in paanch cheezon ke baarey me na puch liya jaaye.“
(1) Apni Umr kis kaam me Kharch ki ?,
(2) Apne Ilm par kya amal kiya ?,
(3) Maal kaha se kamaya ?,
(4) aur Kahan kharch kiya ?,
(5) Apni Jismani Quwwat kis kaam me lagayi ?
📕 Jami at-Tirmidhi, Hadees 2417
Discover more from Ummate Nabi ﷺ Hinglish
Subscribe to get the latest posts sent to your email.