♥ Al-Quraan: Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
“Jo Ghusse Ko Pee Jaate Hai Aur Doosro’n Ke Kasoor Muaf Kar Dete Hain, Aise Log Allah Ko Bohat Pasand Hain.”
– (Surah-Al-Imran 3:134)
♥ Mafhoom-e-Hadees: Jo Shakhs Kisi Ko Muaf Kar Deta Hai, Usse Allah Ta’ala Izzat se Sarfaraz Karta Hai.
– (Muslim Sharif)
♥ Mafhoom-e-Hadees: Wo Shakhs Jannati Hai Jo Raat Ko Soney Se Pehle Sab Ko Mua’af Ker Ke Soye.
♥ Mafhoom-e-Hadees: Ek Roz Sayyiduna Musaa (Kalimullah Alaihi Salam) Ne Arz Kiya Ke, “Aey Rab! Tere Nazdeek Kaun Sa Banda Zyada Izzat Wala Hai?”
Allah Ta’ala Ne Farmaya – “Wo Jo Badla Lene Ki Kuwwat Ke Ba’wajud (Dushman Ko) Muaf Karde”.
– (Sho’abul Iman, Jild-6, Page No.319, Hadith no. 8327)
♥ Qaul-e-Mubarak: Logon Ko Itni Jaldi Muaf Kar Diya Karo Jitni Jaldi Tum Allah Se Muafi Ki Ummid Rakhte Ho.
– Hazrate Umar-e-Farooq (RaziAllahu Anhu)
♥ Qaul-e-Mubarak: Agar Tum Badla Lena Chahte Ho Tou Aisa Badla Lo Ke, Saamne Wala Zindagi Bhar Yaad Rakhe, Aur Aisa BADLA ! Muaf Kar Dena Hain.
– Hazrate Ali (Razi Allahu Anho)
♥ Qaul-e-Mubarak: Bhookey Ko Khana Kheelana, Hajat-Ravayi Karna, Dushman Ko Muaf Kar Dena Acche Nafs Ki Zeenat Hai.
– Hazrate Khwaja Moin-Ud-Din Chitsti (Rahmatullah Alayh)
♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!!
Allah Ta’ala hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufk De
Ameen ! Alahumma Ameen
Related Posts: