Rishte Naate Jodne ka Matlab ye Nahi ki sirf Badla… Rishte Naate Jodne ka asal Matlab Burai karne wale se Bhalai karo Allah ke Rasool ﷺ ne farmaya ki: "Kisi Kaam ka Badla dena Sila Rehmi nahi hai balki Sila Rehmi karne wala wo hai ki jab Uskey Sath Sila Rahmi ka mamla na kiya ja raha ho tab bhi wo Sila Rehmi kare." 📕 Bukhari, Hadees 5991
Hamesha Allah ki Neymato ka Shukr Ada karte rehna… Hajra (Alaihay Salam) ke Inteqal ke baad jab Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) apne bete Ismayil (Alaihay Salam) se mulaqat ke liye aaye tab Unhe maloom hua ke Ismayeel (Alaihay Salam) Ka Nikaah, Makkah Me Hi Rahne Wali Ek Khatoon (Aurat) Se Ho Gaya. Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) Jab Ghar Par Ja Kar Dastak Di Tou UnKi Bahu Se Mulaaqat Huyee. Unki Bahu Ne Unhe Pahechana Nahi Ke Ye Mere Sasur (Father In Law) Hai. KyonKi Woh Unhe Paheli Baar Dekh…
Raston par Baithne ka Haq Ada karo Raaston par Baithne ka Haq Ada karo Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Sadko (Rasto) par baithane se bacho." Sahaba ne kaha ki "hum log wahi baithne ko majaboor hain. yeh wah jagah hai jahaa hum baithate hain aur jahaa hum baat karate hain." is par, Nabi (ﷺ) ne kaha - "Yadi tum wahaa baithane ke lie majaboor ho, to Raaste ka Haq ada karo." Sahaba ne poochha aur Raste ka Haq kya hai? Nabi (ﷺ) ne kaha, "Apni…
Hadees: Bure Akhlaaq amal ko is tarah kharab kar… Bure Akhlaaq amal ko is tarah kharab kar dete hai jis tarah Hadees: Abdullah bin Abbas (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Bure Akhlaaq amal ko is tarah kharab kar dete hai jis tarah sirka Shahad ko kharab kar deta hai." 📕 Tibrani Kabeer, Hadees 10777
Jab koi Dua kare to Pehle Rab ki Tareef bayan kare Jab koi Dua kare to Pehle Rab ki Tareef bayan kare Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke: "Jab Tum me se koi Dua kare to Pehle apne Rab ki Tareef bayan kare, Phir Nabi ﷺpar Durood bheje, Uske baad jo chahe Dua mange." 📕 Abu Dawood, Hadees: 1481-Sahih
Momino ki Misaal ek dusrey par Reham karne, Dosti… Hadees of the Day Momino ki Misaal ek dusrey par Reham wali hoti hai No’man bin Bashir (R.A) riwayat karte hai ki,Huzoor Nabi-e-Akram (ﷺ) ne farmaya: "Momineen ki Misaal ek dusrey par Reham karne, Dosti rakhne aur Shafqat ka mujahira karne me ek Jism ki tarah hai, chunanche jab Jism ke kisi bhi hisse ko takleef pahunchti hai tou saara jism bekhwaabi wa bukhaar me us ka shareeq hota hai." Muttafaque Alayh – Bukhari As-Sahih, 05/2238, Raqam-5665, Muslim As-Sahih, 04/1999, Raqam-2586 Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 04/270…
Ramadan Day 11 | Khajur se Iftar kare aur Khajur na… Ramadan Quotes: 11th Ramzan ✦ Roman Urdu Hadees: Salman-Bin-Amr (R.A.) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya:"Jab Tum me se koi Roza Iftar karne lage tou Khajur se Iftar kare aur agar Khajur na miley tou Paani se kare, Kyunki Paani Paak karne waala hai." [Sunan Ibn Majah 1699-Sahih]
3 Tarah ke Log Jin Par Farishte ne Lanat ki aur Nabi… 3 Tarah ke Log Jin Par Farishte ne Lanat ki aur Nabi (ﷺ) ne Ameen Kaha Hadees: Ek Roz Aap (ﷺ) jab Mimber pe chadhe tou pahle kadam pe Aameen kaha, fir dusre Qadam pe bhi Aameen kaha aur teesre Qadam pe bhi Aameen kaha. Jab Sahaba (R.A) ne iski wajah puchi Tou fir Aap (ﷺ) ne irshad farmaya ki : 1. Pahle kadam pe Jibreel (Alaihi Salam) ne kaha ki: "lanat ho us shaks par jisne Ramzan ka mahina pa kar bhi Allah ki bakshish na pa saka." Phir…
Allah se kare door to Taleem bhi Fitna : Dr. Allama Iqbal Allah se kare Door to Taleem bhi Fitna Allah se kare Door to Taleem bhi Fitna,Imlaq bhi, Aulad bhi Jagir bhi Fitna. Nahaq ke liye Uthey to Shamsheer bhi Fitna,Shamsheer hi kya Nara-e-Taqbeer bhi Fitna. 📕 Dr. Allama Iqbal ✦ WAJAHAT: Allah se Door Karne waali Tamam Cheeze Insan ke liye Fitna hai, Chahe wo Gairjaruri Taleem hi Kyu Na ho, Imlaq yani Khandani Rusuk hi kyu na ho ,. aur Chahe wo Aulaad hi ya jaydad hi kyu Na…
Jo Matam kare wo Musalmano me se nahi ... Jo Matam kare wo Musalmano me se nahi Abdullah Ibn Masood (R.A) se riwayat hai ke,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Jo (Apne) Chehre ko Peete, Ghireban Phadey (Maatam karey) aur Zamana-e-Jahliat ki batain kare (Noha karey) wo hum (Musalmanon) me se nahi hai." 📕 Bukhari Hadees no. 1297 Noha / Matam karna aur Dekhna dono Haram hai ... ✦ Muharram ke Ashre (10 Dinno) me Shia Hazrat Maatam ya Noha karte hain. Jo Quran wa Sunnat Ki Roshni me Haram, Biddat…
Shukriya ada karne ka Huqm aur Fazilat Hadith: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Wo Allah ka Shukrghuzar nahi ho sakta jo bando ka Shukrguzar na ho." (Sunan Abu Dawood, Vol 3, Hadith 1383-Sahih) "Aur jo Allah ki yaad se ghafil ho jata hai tou Allah uss par ek Shaitan muqarrar kar deta hai phir wo uska saathi ban jata hai." (Al Quran; Surah Az-Zukhruf 43:36) "Agar tum meri neymaton ka Shukriya ada karogey tou aur ziyada dunga aur agar nashukri karogey tou…
Acchi Tarah Wuzu se Gunaah Nikal Jaate hai Acchi Tarah Wuzu se Gunaah Nikal Jaate hai Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke - "Jo Shakhs Acchi Tarah Wuzu kare tou Uske Gunaah Badan se Nikal Jaate hai Yahan tak ki Naakhuno ke Neeche se bhi Nikal Jaate hai." 📕 Sahih Muslim, Hadees: 245
Duniya me is tarah raho, jaise koi ajnabi pardesi rehta hai Duniya me is tarah raho, jaise koi ajnabi pardesi Hadees: Abdullah bin Umar (R.A.) se riwayat hai ke, Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: "Duniya me is tarah raho jaise koi ajnabi pardesi rehta hai ya is tarah zindagi guzaaro jaise koi raasta chalta huwa Musafir." 📕 Bukhari, Hadees: 6416
Kisi bhi Musalman Bhai ki taraf Hathiyar se Ishara na kare Kisi bhi Musalman Bhai ki taraf Hathiyar se Ishara na kare Abu Huraira (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Koi Shakhs apne kisi deeni bhai ki taraf hathiyar se ishara na karey kyunki wo nahi janta mumkin hai ke Shaitan uskey haath se chura de aur phir wo kisi Musalman ko maar kar uski wajah se jahannum ke Ghaddey me gir jaye." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 7072