Agar Kisi Muamle Me Ikhtelaaf Ho Jaye .... ☆ Paltaado Apni Baato Ko Allah Aur Rasool Ki Taraf .. Momino Me Agar kisi Baat Par Ikhtelaaf ho Jaye Tou Unhe Chahiye Ke Apni Baato Ko Allah aur Uske Rasool Ki Taraf Palta Dey ,.. Yaani Quraano-Hadees ko Insaf Ka Mayar Banaye ,.. Jiske Talluk Se Allah Rabbul Izzat Farmata Hai - ♥ Al-Quraan: "Aye Emaanwalo ! Ita'at Karo Allah Ki Aur Uske Rasool Ki, Aur Ita'at Karo Unki Jo Ulool Amr Hai (Isme Khalifa-e-Wakt Aur Ulma Isme Shamil…
Khushnaseeb hai wo shakhs jo nasihat hasil kare Khushnaseeb hai wo shakhs jo nasihat hasil kare Hadees: Abdullah bin Masood (R.A.) se riwayat hai ke,RasoolAllah (ﷺ) ne farmate hai ke "Khushnaseeb hai wo shakhs jo doosro se nasihat hasil kare." 📕 Sunan Ibne Majah, Hadees 46
Ilm Ki Ahmiyat: Part-2 Ba'Qoul Qurane Majid: "Iqra' Bi'asmi Rabbika Al-Ladhi Khalaqa." - Bus Fir Musalmano Ki Aaneywali Naslo Ne Apne Rabb Ka Naam Lekar Aisa Ilm Haasil Kiya Jo Rehti Duniya Tak Logon Ke Liye Faydemand Sabit hua. Phir Chahey Wo Shariyat Ka Ilm Ho Ya Fir Duniyawi Ilm, (Religious Knowledge or Universal Knowledge) Bina Tafrik Aur Fark Kiye Rab Ka Naam Letey Aur Har Uloom Ko Padh Letey. Aur Naa Sirf Padhtey Balki Har Uloom me Maharat Haasil Kar Li, Balke Inhone…
Namaz chut jaye to kya kare Hadees ki roshni mein Kisi wajah se agar Namaz chut jaye to kya kare janiye Hadees ki roshni mein Namaz padhna bhool jaye aur Waqt Nikal Jaye tou kya kare ۞ Hadees: Hazrate Anas (R.A.) riwayat karte hain ke RasoolAllah ﷺ ne farmaya: "Jo Shakhs Namaz bhool jaye (ya so jaye) toh us ka kaffara iske siwa koi nahi ke jis waqt usey yaad aaye us Namaz ko padh le." 📕 Sahih al Bukhari, Hadees 597, Sahih Muslim: al Masaajid, 684 TAFSEER: 👆 Is hadith ki Tafseer me…
Hadees: Jo Shakhs Jhoothi Qasam kha kar kisi ka maal le lega Hadees of the Day Jo Shakhs Jhoothi Qasam kha kar kisi ka maal le lega Ash'as bin Qais (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jo Shakhs Jhoothi Qasam kha kar kisi ka maal le lega, wo Allah ke samne kodhi (leprosy) ho kar pesh hoga." 📕 Abu Dawood 3244
Jo Shakhs Kamaata nahi aur logon se Maangta phirta… Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) farmate hai: "Jo Shakhs (logon se) maangne ka Darwaaza kholta hai, (Kamaata nahi hai aur logon se Maangta phirta hai) tou Allah Ta'ala us par Tangi (Financial Crisis) ka Darwaaza khol deta hai." 📕 Tirmizi, Hadees: 2325
Hadd se jyada tareef na kare: Hadees Hadd se jyada tareef na kare Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne Suna ki :Ek Shakhs Dusre Shakhs ki Tareef kar raha hai aur Tareef mein Bohot Mubalgha se kaam le raha tha to Nabi Kareem (ﷺ) ne farmaya: “Tumne Usey Halaak kar diya ya Tumne us Shakhs ki Kamar ko tod diya.” 📕 Sahih Bukhari, Hadees: 6060 Hadd se jyada Tareef karna ya kisi ke Mooh pe Taarif Karna Goya usko Halaq karne ke barabar hai.
Haq par hote hue Jhagda chor do Haq par hote hue Jhagda chor do Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: “Main Us Shakhs Ke Liye Jannat Mein Ek Mahel Ka Zimmedar Hun Jo Haq Par Hote Hue Zagda Chhod De.” 📕 Sunan Abu Dawood, Hadees 4800 (Sahih)
Ilm-o-Hidayat ki Misaal 3 Tarah ki hai Ilm-o-Hidayat ki Misaal 3 Tarah ki hai Hadees: Abu Musa (R.A) se riwayat hai ke,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Allah Ta'ala ne Mujhe Jis Ilm-o-Hidayat ke Saath Bheja hai Uski Misaal Uss Baarish ki Tarah hai Jo kisi Zameen par Khub Barsey. (Aur jis Zameen par Barish barsi woh 3 Tarah ki thi)" 1). Uska Ek Tukda Umda Tha Jisne Paani ko Apne Andar Jazab kar liya, phir Khub Ghaas aur Sabza Ugaya. 2). Zameen ka Ek Dusra Umda Tukda…
Ilm Ki Ahmiyat: Part-7 Allah Rabbul Izzat ne Quraan mein baar baar musalmano ko ubhara hai duniyawi ilm hasil karne ke liye, sharayi ilm toh yakinan hasil karna hai, yeh toh bunyadi hai iski... lekin uske saath-saath duniyawi ilm bhi hasil karna hai, jo bohot se logon ne isko tark kar diya. Momin ki sifat ke woh zikr karte hain Allah ka. Allah Rabbul Izzat iske talluk se Quraan mein ek jagah farmata hai: "Yakinan zameen-o-aasman ki paidaish mein, aur raat aur din ke…
Hadees: Jab bohot jyada Zina hone lagega to Gareebi… Jab bohot jyada Zina hone lagega to Gareebi aur Mohtaazgi aayegi Hadees: Abdullah bin Umar (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Jab bohot jyada Zinaa hone lagega to Gareebi aur Mohtaazgi aam ho jayegi." 📕 Shuab-Ul-Iman, Hadess 7369
Ilm ki Ahmiyat: Part-1 〘 Bismillah-Hirrahman-Nirrahim 〙Allah Ke Naam Se Shuru Jo Nihayat Maherbaan Aur Rahem Wala Hai RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) par pehli wahi nazil hoti hai, Surah Alaq (96) ki ibtedayi 5 aayate aap par nazil hoti hai "Iqra' Biasmi Rabbika al-ladhi Khalaqa" (parh apne rab ke naam se jiss ne paida kiya)" Jab farishtey Jibrayil (Alaihi Salam) aaye aur RasoolAllah se kaha: "Iqra! (padho)" tou Aap ﷺ ne kaha: "Maa Ana'bi Qaari ! (Mai padhna likhna nahi janta)"Fir uss awaaz ne jordar kaha: "iqra!" tou…
Ilm Ki Ahmiyat: Part-9 Jung-e-Badr Ka Wakiya Hum Sab Hi Jantey Hai, Jung-e-Badr Me Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Haare Hue Kaidiyon Se Kaha Ke – “Jo Log Fidiya De Dengey, Unhey Chorra Jayega.. Aur Jo Fidiya Nahi De Saktey Wo Madina Ke 10-10 Baccho Ko Padhna-Likhana Sikha Kar Apni Riihayi Kara Ley” # Humara Yeh Sawaal Hai Ke: "Unn Kafiro aur Mushriko Ne Madina Ke Baccho Ko Kya Sikhaya Hoga? Ilme Hadees? Ilme Quraan?.. Kya Sikhaya Hoga ? ,...- Zaahir Si…
Ilm ki Talash me rehne wale ki Fazilat | Puraane… Ilm ki Talash me rehne wale ki fazilatPuraane Gunaaho ki Maghfirat Hadees: RasoolAllah (ﷺ) farmate hai ke - "Jis Ne Ilm Talash Kiya Tou Yeh Talash Uss Ke Gujasta Gunaaho Ka Kaffara Ho Gayi” 📕 Miraatul Manahij, Jild 1, Safa 203 Wajahat: Taalib-e-Ilm se Sagira Gunaah Muaf hote jate hai, Jaise (Gunaah-e-Saghira) Wuzu Namaz Vagaira Ibadat se Lihaza Iska Matlab Yeh Nahi ke Talibe Ilm Jo Chahe Gunaah kare. Balki Matlab yeh hai ki Allah Ta’ala Niyat-e-Khair se Ilm ki…