Deen aur Dunia ki Khair ke liye Dua… ✦ Roman Urdu Hadees ✦ Abu Malik, Sa'd Bin Tariq (R.A) se Mairwi hai ke, Ek shakhs Aap (Salallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat me hazir hua aur usne arz kiya, "Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasallam) ! Main apne Rab se sawal karu to kya kahu ?." Aap (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya : "Tum ye kaho ! Aye Allah mujhe Bakhsh de, Mujh par Reham farma, aur Mujhe Aafiyat de, aur Mujhe Rizk ata farma, aur aap ne Anguthe…
Jisne Farz Namazo ke alawa Din Raat me 12 rakat ada… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Ummul Momineen Umm Habiba (RaziAllahu Anha) se Rivayat hai ki RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: "Jisne Raat Din me 12 Rakat (Sunnat) Namaz ada ki uske liye Jannat me ek Ghar banaya jayega, Umme Habiba (RaziAllahu Anha) ne kaha ki jab se maine ye Hadees RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se Suni, maine uske baad se un 12 rakato ko kabhi nahi chodha..." - (Sahih Muslim, Vol 1, 1694) ✦ Ulema-e-Deen ke hisab se Wo 12 Rakat Sunnat…
Namaz Jannat ki Chaabi hai Jannat ki Chabi Namaz hai Hadees: Jabir Bin Abdullah (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad farmaya – “Jannat ki Kunji ( Key / Chaabi ) Namaaz hai aur Namaaz ki Kunji Wuzu hai.” 📕 Jami at Tirmidhi, Hadees-04 (Sahih) Ek aur riwayat me Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: "Jo shakhas Namaz padhne ko zaruri samjhe woh Jannat me dakhil hoga." 📕 Muntakhab Hadees Safa :135 in sha Allah ul Azeez! Allah Taala Hume kehne Sun'ne se jyada amal…
Jiske Dil me Jarrey Barabar bhi Guroor Hoga Wo… Allah khubsurat hai aur khubsurti ko pasand karta hai Hadees: Abdullah bin Masood (R.A) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya Ke,"Jis Aadmi ke Dil me Jarrey Barabar bhi Guroor Hoga Wo Jannat me nahi Jayega!". Ek Aadmi ne Kaha 'Aye Allah ke Rasool (ﷺ)! "Hum me Har Aadmi yah Chahta hai ki, Uska Libaas Accha ho, Jutaa Accha ho tou kya yah Ghuroor hai ?" Aap (ﷺ) ne farmaya "Allah Ta'ala Khubsurat hai aur Khubsurti ko Pasand karta hai,"Guroor…
Allah ke Nazdeek Sabse Napasandida Jagah Bazaar Allah ke Nazdeek Sabse Napasandida Jagah Bazaar Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke: "Allah ke Nazdeek (insani) Aabadiyon ka sabse Napasand Hissa unke Bazaar hai." 📕 Sahih Muslim, Hadees: 671 (1528)
Koun se Amal Hume Jannat Le Jayenge? Jannat me le jaane wale Amaal Hadees: Abu Ayyub Ansari (R.A) ne bayaan kiya ki,Ya RasoolAllah (ﷺ) ! Koi Aisa Amal Bataiye jo Mujhe Jannat me le Jaaye ? Aap (ﷺ) ne Unn se farmaya - "Allah Ki Hee Ibadat Karo! aur Uss ke Sath Kisi aur ko Shareek Na karo, Namaz Qayam karo, Zakaat detey raho, aur Sila Rehmi karte raho" Bas Yahi Amaal Tujhe Jannat me le Jayenge.." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 5983
Al-Quran: Jis Shakhs ne Dunia me Jarra barabar bhi… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Insan Apni Har acchayi aur Burayi Qayamat me dekh lega Allah Taala Quraan me farmata hai: "Jis Shakhs ne (Duniya) me Jarra barabar bhi koi burayi ki hogi tou wah usey aakhirat me dekh lega." 📕 Surah Az-Zalzalah 99:08
Kya tum log Aakhirat ki zindagi ke muqable dunia ki… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ अल्लाह तआला कुरआन में फरमाता है: ❝ क्या तुम लोग आखिरत की ज़िन्दगी के मुकाबले दुनिया की जिन्दगी पर राजी हो गए ? दुनिया का माल व मताअ तो आखिरत के मुकाबले कुछ भी नहीं। ❞ ❝ Kya tum log Aakhirat ki zindagi ke muqable dunia ki zindagi par razi ho gaye ? Dunia ka maal wa matah to aakhirat ke muqable kuch bhi nahi. ❞ 📕 Surah Taubah 9:38 (इस लिये किसी इन्सान के लिये मुनासिब…
Aadam ki tamam ki tamam Aulad khatakar hai, Lekin… ♥ Hadis-e-Nabwi ﷺ : Anas (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, Allah Ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, " Aadam ki tamam ki tamam Aulad khatakar hai, Lekin Behtar Khatakar wo hai jo Tauba kar ley" - Sunan Ibn Maajah; Arabic reference, Hadith 4392 ♥ हदीस-ऐ-नबवी ﷺ : अनस (रज़ीअल्लाहु अन्हु) से रिवायत है के, अल्लाह के रसूल (सलाल्लाहू अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया, " आदम की तमाम की तमाम औलाद खताकार है, लेकिन बेहतर खताकार वो है जो तौबा…
Qarz Ke Adayegi ke Baigair Momin Ki Rooh Jannat se Mehroom Qarz Ke Adayegi ke Baigair Momin ki Rooh Jannat se Mehroom Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya - "Momin ki Rooh Uss Waqt tak Jannat me Jaane se Rooki Rehti hai Jab tak ke Uska Qarz Ada naa kiya jaye." 📕 Sunan Ibn Majah, Hadees 570 –Sahih
Allah sabse behtar Rizq deta hai Allah sabse behtar Rizq deta hai Allah Ta'ala Quran me farmata hai: "Aur Allah sabse Behtar Rizq dene wala hai." 📕 Surah Al Juma 62:11
Jo Ilm ki Talash me Nikla Uske liye Jannat ka Raasta aasan Ilm ki Talash me Jannat ka Raasta RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Jo Shakhs ilm Haasil karne ke liye koi Raasta tay karta hai to Allah Ta'ala Uski wajah se Uske liye Jannat ka Raasta Asaan Kar Deta hai." 📕 Sunan Abu Dawood, Hadees: 3643 (Sahih)
Al-Quran: Jo log Imaan laaye aur Nek amal kiye woh… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Imaan aur Nek Amal Wale: Makhlooq Mein Sabse Behtar Allah Taala Quran me famata hai: "Jo log Imaan laaye hain aur unhon ne Nek amal kiye hain, woh beshaq saari makhlooq me sab se behtar hain." 📕 Al-Baiyinah 98:7
Allah ke Nazdeek Sabse Pyari aur Boori Jagah: Hadees Hadees: Allah Ke Rasool (ﷺ) farmate hai: "Allah ke Nazdeek Saari Aabadiyo me Sabse Pyari Jagah Uski Masjide hai aur Sabse Boori Jagah Bazar hai." 📕 Sahih Muslim; Hadees: 671 Beshaq Allah ko aisi Masjide Pasand hai Jaha Khalis Allah ki Ibadat ho, aur Jaha Kitabo Sunnat par Dars ho. Warna Surah Taubah me Allah Ta'ala ne Apne Nabi ko Ek aisi Masjid bhi Todney ka Hukm diya Jo Munafiqo ne Mehaz is liye Tamir Ki thi ke Ummat Me…