Hadith: Jab tum me se koi paani piye tou bartan me… Hadith: 29-March: Abu Qatadah (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ‟Jab tum me se koi paani piye to usey chahiye ke bartan me saans na le. -Bukhari 154
Al-Quran: Yateemo ko unke maal de diya karo aur… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Yateemo ko unke maal de diya karo aur kharab maal ko acche maal se tabdeel na kiya karo." 📕 Quran; Surah Nisa 4:2
Behtareen Amal: Sila Rehmi karo aur Muaf kiya karo Behtareen Amal: Sila Rehmi karo aur Muaf kiya karo Hadeese Nabwi ﷺ Aqbaa bin Aamir (R.A) Kehte hain Ki, Mai RasoolAllah (ﷺ) ki Baargaah me Hazir hua aur Aap ka Mubarak Haath Thamkar Arz kiya:"Ya RasoolAllah (ﷺ) ! Mujhe Behtareen Amaal Bataaiye." Aap (ﷺ) ne farmaaya: "Aqbaa!∗ 1. Qata-e-Taalluk Ke Karne Wale (Tumse Rishta Todne Wale) Se Sila Rahmi Karo,∗ 2. Jo Tumhe Mehroom Kare Usey Ataa Karo.∗ 3. Jo Tum Par Zulm Kare Usey Muaf Kar Do." 📕 Mukashifat-ul-Quloob,…
Hadees: Logon ko Deen sikhaao aur aasaniya paida… Logon ko Deen sikhaao aur Aasania paida karo Hadees: Abdullah Ibne Abbas (R.A.) se riwayat hai ke,Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Logon ko Deen sikhaao aur aasaniya paida karo, tangi paida na karo." 📕 Musnade Ahmed, Hadees 2136
Jab Gussa aaye tou kya kare? Gusse ka Ilaj Hadees: Abdullah Ibne Abbas (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jab Tum me se kisi ko Gussa aaye to usey chahiye khamoshi ikhtiyar kare." 📕 Musnade Ahmed, Hadees: 2136
Kya Quran Padhe Tou Amal Karna Padta aur Na Padhe… – Quraan Se Doori Ki Ek Intehayi Ghatiya Wajah Yeh Bhi Hai Ke - "Quraan Padhey Tou Amal Karna Padta Aur Naa Padhe Tou Bach Jatey,.." Subhan’allah!! # Agar Wakay Me “Quran Ko Padhey Tou Amal Karna Padta Aur Na Padhey Tou Chal Jata” Iss Usool Ko Maan Ley Tou Hume Batayiye Sabse Pahle Jannat Ka Mustahik Koun ? ... - Jaahir Si Baat Hai Kaafir Hi Jannat Ke Mustahik Hotey ,.. Wo Tou Kehetey Ke – “Aye Allah Padhna…
Jab Mera Banda Neki ka Iraada kare tou Aye Farishto!… Neki ka Sawaab 10 se lekar 700 Guna Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) farmate hai ke -Allah Ta’ala farmata hai aur Iska Farmaan-e-Haq hai ke, "Jab Mera Banda Neki ka Iraada kare tou (Aye Farishto)! Iski 1 Neki likho. Phir agar Woh ker Chuke tou Iski 10 Nekiyan Likh lo, Agar Woh Burayi ka Iraada kare tou Kuch na likho, Agar Kar Chuke Tou 1 Hee Burayi Likho, Aur agar Na kare tou Iske Liye bhi 1 Neki Likho" 📕…
Agar Tumhare Zariye Ek bhi Aadmi ko Hidayat mil jaye tou ... Hadees of the Day Agar Tumhare Zariye Ek bhi Aadmi ko Hidayat mil jaye Hazrate Ali (R.A) se riwayat hai ke,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Allah ki Qasam! agar tumhare Zariye ek bhi Aadmi ko Hidayat mil jaye tou wo Tumhare liye Surkh Untoun (Camel) se behtar hai." 📕 Muslim, Hadees 2406 Surkh Unthon ki Naslo me se sabse behtareen Nasl hai, aur Allah Uss Bandey se jyada raazi hota hai Jo Logon Me Awaam me hidayat ki Dawat deta hai,…
Al-Quran: Udhaar lo to likh liya karo Udhaar lo to likh liya karo Allah Rabbul Izzat Quran me farmata hai: "Aye Imaanwalo ! Jab tum kisi mutayyan muddat ke liye udhar ka koi muamla karo to usey likh liya karo." 📕 Surah Baqraah 2:282
Deen Me Biddat Kar Liye Tou Kya Hua ? Imam Malik (Rahmatullah Alayh) Ke Paas Ek Shakhs Aaya Aur Kahne Laga Agar Mai Eid Ki Namaz Se Pahle Khali Wakt Hai Mere Paas 2 Rakat Nafeel Padh Liye Tou Kaisa Hai? * Aap Imam Malik Ne Kaha - Ke Rasool'Allah(Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Aisa Kaam Na Kiya! Tu Bhi Na Karna.. * Usne Kaha - Namaz Hi Tou Padh Raha Hu, Padh Liye Tou Kya Hua ? * Tou Imaam Malik (Rahmatullah Alayh) Ne Surah Noor Ki Ayat No.63…
Namaz chut jaye to kya kare Hadees ki roshni mein Kisi wajah se agar Namaz chut jaye to kya kare janiye Hadees ki roshni mein Namaz padhna bhool jaye aur Waqt Nikal Jaye tou kya kare ۞ Hadees: Hazrate Anas (R.A.) riwayat karte hain ke RasoolAllah ﷺ ne farmaya: "Jo Shakhs Namaz bhool jaye (ya so jaye) toh us ka kaffara iske siwa koi nahi ke jis waqt usey yaad aaye us Namaz ko padh le." 📕 Sahih al Bukhari, Hadees 597, Sahih Muslim: al Masaajid, 684 TAFSEER: 👆 Is hadith ki Tafseer me…
Hadees: Jab Aadmi apni Biwi ko paani pilaata hai tou… Hadees: Irbaz bin Saariyah (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jab Aadmi apni Biwi ko paani pilaata hai tou uspar bhi Sawaab diya jata hai." 📕 Musnade Ahmed, Hadees 17155
Al-Quran: Apne Parwardigaar ki Humd aur Tasbeeh Bayaan Karo Apne Parwardigaar ki Humd aur Tasbeeh Bayaan Karo ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Taala Quraan me farmata hai: "Apne Parwardigaar ki humd ke saath saath us ki tasbeeh bayaan karo aur us se magfirat maango. Yaqeen jaano woh bahot muaf karne waala hai." 📕 Surah An-Nasr 110:3
Wo Mushrik kehlaye is Amal par tou Hum Momin kaise ? Wo Mushrik kehlaye is Amal par tou Hum Momin kaise ? Mushrikane Makka ki Asal jo Kamjori thi, Asal Jo Unka Shirk tha Wo Tauhid Al-Ibada thi, Ibadat me wo Allah ke siwa Dusro ko bhi Shareek kiya karte they. Yahi Asal Shirk tha Unka Jiske Liye wo Qayamat tak ke liye Mushrikeen kehlaye. Hala ke wo bhi Allah ko Rab mantey they. Aur Allah Ta'ala ne Quraan ki chand Ayato me Inka Akeeda bayan kiya aur farmaya ke -…