Islamic Quiz 237
Qurbani Ka Gosht kya kare?
Options Are 👇
A. Sirf Khud Khaye
B. Bech dey
C. Khaye aur Khilaye
D. Sahih Jawab Ka Intezar
Sahih jawab hai : Option ( C )
✅ Khaye aur Khilaye
Qurbani Ka Gosht Khaaye Khilaye aur Jama Kare.
Daleel :
Sulaiman Bin Buraidah Apne Waalid se riwayat karte hain ki,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:
“Main Pehle Tumhe Qurbani ka Gosht 3 Din se Zyada Khaane ko Manaa karta tha
Ta’aki Qurbaani Karne ki Taakat rakhne waale Unhe bhi Dein Jo Qurbani karaney ki Haisiat nahi rakhte.
Tou Ab Jab Tak Chaaho Khaao, Doosron ko Khilaao aur Usme se Bachaao bhi.”
📕 Jami At-Tirmidhi, Hadith 1510
Wajahat: 3 Din Se Zyada Qurbaani Ka Gosht Khaana Aur Bachaana Jaiz Hai. 3 Din Ke Andar-Andar Qurbaani Ka Gosht Khatm Karne Ka Hukm Sirf Kuchh Waqt ke liye tha Jo Baad me Hataa Diya Gaya.
Read More: