Islamic Quiz 215 : Surah Al Kausar me Kausar se muraad kya hai?

Islamic Quiz 215 : Surah Al Kausar me Kausar se muraad kya hai?

Islamic Quiz 215

Surah Al Kausar me Kausar se muraad kya hai?

Options Are 👇

A. Jannat ka ek Ghar

B. Jannat ki ek Nahar (Hauz)

C. Jannatul Firdaus

D. Inmein se koi nahi

Sahih jawab hai : Option ( B )

✅ Jannat ki ek Nahar (Hauz)

Daleel :

Allah Taala Quran me farmata hai:

“Beshak humne Aapko (O Muhammad ﷺ) Al-kauther Ata farmayee, So Apne RAB ke liye namaz parha karo aur Qurbani kiya karo , Beshak Aapka Dushman hi Be Naam-O-Nishan rahega.”

📕 Surah Al-Kauther (108)

Mafhoom-e-Hadees hai ke:
Abdullah bin Amr (R.A) se riwayat hai ki,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya :

Mera Hauz ( Kauther) ek mahine ki musafat ( yani usko cross karney ke liye ek mahina chalna parhta hai) barabar hoga, iska paani doodh se ziyada safaid aur iski khushbu Mushk se ziyada achchi hogi aur iske pyale (cups) aasman ke sitaro ki taadad ke barabar honge jo shaksh ismein se ek baar jo peeyega wo kabhi bhi piyasa na hoga.”

 📕 Sahih Bukhari, vol 8, 6579