Islamic Quiz 214
Wo Kounse Azkar hai jo Raat me padho tou Allah ki taraf se hifazat ke liye ek farishta mukarrar kar diya jata hai?
Options Are 👇
A. Durood e Ibrahim
B. Surah Fatiha
C. Ayatul Kursi
D. Sahih jawab ka intezar
Sahih jawab hai : Option ( C )
✅ Ayatul Kursi
Daleel :
Ek Taweel Hadees ka Mafhoom hai:
Abu Hurairah (RA) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne mujhe Ramazan ki zakat ki hifazat par muqarrar farmaya. Raat mein ek shakhs achanak mere paas aaya aur mujhe pakad liya. Maine usey RasoolAllah (ﷺ) ki khidmat mein le jaane ka wada kiya, lekin usne kaha ki wo bahut muhtaaj aur zarooratmand hai. Mai ne usko chorh diya.
Subah hui to RasoolAllah (ﷺ) ne mujhse pucha,
“Abu Hurairah, guzishta raat tumhare qaidi ne kya kya kaha?” Maine kaha ki wo sakht zarooratmand hai aur baal bachon ka rona roya, isliye maine use chorh diya.
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki “wo tumse jhoot bol gaya aur wo phir aayega.” Wo phir aaya aur usko maine phir chorh diya.RasoolAllah (ﷺ) ne dobara kaha ki wo tumse jhoot bol gaya hai aur wo phir aayega.
Teesri martaba, wo phir galla uthaane laga. Maine usey phir pakad liya aur usko RasoolAllah (ﷺ) ki khidmat mein pahunchane ka wada kiya. Wo kehne laga ki “ess martaba mai tumhe kuch kalimaat sikhata hu jis se tumhe faida hoga.”
Maine pucha ki kalimaat kya hain? Usne kaha ki
“jab bistar par letne jao, to Aayatul Kursi padho. Allah ki taraf se ek nigran farishta tumhari hifazat karega aur subah tak shaitan tumhare paas nahi aayega.”
Maine usko phir chorh diya.
RasoolAllah (ﷺ) ne mujhse muamla puchha aur maine bataya.
RasoolAllah (ﷺ) ne ye baat sun kar farmaya ke agarche woh shakhs jhoota tha lekin tum se ye baat sach keh gaya hai. Aye Abu hurairah ! tum ko ye bhi maloom hai ke teen raaton se tumhara muamla kis se tha? unhone kaha nahi. Aap (ﷺ) ne farmaya ke “woh Shaitan tha.”